Aur jab kháná khá chuke, to Yisúʻ ne Shamaʻún Patras se kahá, ki Ai Shamaʻún, Yúhanná ke beṭe, kyá tú in se ziyáda mujh se mahabbat rakhtá hai? Us ne us se kahá; Háṉ, Ḳhudáwand; tú to jántá hí hai, ki maiṉ tujhe ʻazíz rakhtá húṉ. Us ne us se kahá; To mere barre chará. Us ne dobára us se phir kahá, ki Ai Shamaʻún, Yúhanná ke beṭe, kyá tú mujh se mahabbat rakhtá hai? Wuh bolá; Háṉ, Ḳhudáwand, tú to jántá hí hai, ki maiṉ tujh ko ʻazíz rakhtá húṉ. Us ne us se kahá; To merí bheṛoṉ kí gallabání kar. Us ne tísrí bár us se kahá, ki Ai Shamaʻún, Yúhanná ke beṭe, kyá tú mujhe ʻazíz rakhtá hai? Chúṉki us ne tísrí bár us se kahá; Kyá tú mujhe ʻazíz rakhtá hai, is sabab se Patras ne dilgír hokar us se kahá; Ai Ḳhudáwand, tú to sab kuchh jántá hai; tujhe maʻlúm hí hai, ki maiṉ tujhe ʻazíz rakhtá húṉ. Yisúʻ ne us se kahá; To merí bheṛeṉ chará.