Yúhanná 21
21
1In bátoṉ ke baʻd Yisúʻ ne phir apne áp ko Tibiriyás kí jhíl ke kanáre shágirdoṉ par záhir kiyá, aur is tarah záhir kiyá. 2Shamaʻún Patras aur Tomá jo Tauam kahlátá hai, aur Nathanʼel jo Qáná e Galíl ká thá, aur Zabdí ke beṭe, aur us ke shágirdoṉ meṉ se do âur shaḳhs jamaʻ the. 3Shamaʻún Patras ne un se kahá, ki Maiṉ machhlí ke shikár ko játá húṉ. Unhoṉ ne us se kahá; Ham bhí tere sáth chalte haiṉ. Wuh nikalkar kishtí par sawár húe, magar us rát kuchh na pakṛá. 4Aur subh hote hí Yisúʻ kanáre par á khaṛá húá; magar shágirdoṉ ne na pahcháná ki yih Yisúʻ hai. 5Pas Yisúʻ ne un se kahá; Bachcho, tumháre pás kuchh kháne ko hai? Unhoṉ ne jawáb diyá, ki Nahíṉ. 6Us ne un se kahá, ki Kishtí kí dahiní taraf jál ḍálo, to pakṛoge. Pas unhoṉ ne ḍálá, aur machhliyoṉ kí kasrat se phir kheṉch na sake. 7Is liye us shágird ne jis se Yisúʻ mahabbat rakhta thá, Patras se kahá, ki Yih to Ḳhudáwand hai. Pas Shamaʻún Patras ne yih sunkar, ki Ḳhudáwand hai, kurta kamar se báṉdhá, kyúṉki naṉgá thá, aur jhíl meṉ kúd paṛá. 8Aur báqí shágird ḍoṉgí par sawár machhliyoṉ ká jál kheṉchte húe áe, kyúṉki wuh kanáre se kuchh dúr na the, balki taḳhmínan do sau háth ká fásila thá. 9Jis waqt kanáre par utre, to unhoṉ ne koeloṉ kí ág, aur us par machhlí rakkhí húí aur roṭí dekhí. 10Yisúʻ ne un se kahá; jo machhliyáṉ tum ne abhí pakṛí haiṉ, un men se kuchh láo. 11Shamaʻún Patras ne chaṛhkar ek sau trepan baṛí machhliyoṉ se bhará húá jál kanáre par kheṉchá; magar báwujúd machhliyoṉ kí kasrat ke jál na phaṭá. 12Yisúʻ ne un se kahá; Áo, kháná khá lo; aur shágirdoṉ meṉ se kisí ko jurʼat na húí ki us se púchhtá, ki Tú kaun hai? kyúṉki wuh jánte the, ki Ḳhudáwand hí hai. 13Yisúʻ áyá, aur roṭí lekar unheṉ dí; isí tarah machhlí bhí dí. 14Yisúʻ murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke baʻd yih tísrí bár shágirdoṉ par záhir húá.
15Aur jab kháná khá chuke, to Yisúʻ ne Shamaʻún Patras se kahá, ki Ai Shamaʻún, Yúhanná ke beṭe, kyá tú in se ziyáda mujh se mahabbat rakhtá hai? Us ne us se kahá; Háṉ, Ḳhudáwand; tú to jántá hí hai, ki maiṉ tujhe ʻazíz rakhtá húṉ. Us ne us se kahá; To mere barre chará. 16Us ne dobára us se phir kahá, ki Ai Shamaʻún, Yúhanná ke beṭe, kyá tú mujh se mahabbat rakhtá hai? Wuh bolá; Háṉ, Ḳhudáwand, tú to jántá hí hai, ki maiṉ tujh ko ʻazíz rakhtá húṉ. Us ne us se kahá; To merí bheṛoṉ kí gallabání kar. 17Us ne tísrí bár us se kahá, ki Ai Shamaʻún, Yúhanná ke beṭe, kyá tú mujhe ʻazíz rakhtá hai? Chúṉki us ne tísrí bár us se kahá; Kyá tú mujhe ʻazíz rakhtá hai, is sabab se Patras ne dilgír hokar us se kahá; Ai Ḳhudáwand, tú to sab kuchh jántá hai; tujhe maʻlúm hí hai, ki maiṉ tujhe ʻazíz rakhtá húṉ. Yisúʻ ne us se kahá; To merí bheṛeṉ chará. 18Maiṉ tujh se sach sach kahtá húṉ, ki Jab tú jawán thá, to áp hí apní kamar báṉdhtá thá, aur jaháṉ cháhtá thá, phirtá thá; magar jab tú búṛhá hogá, to apne háth lambe karegá, aur dúsrá shaḳhs terí kamar báṉdhegá, aur jaháṉ tú na cháhegá, waháṉ tujhe le jáegá. 19Us ne in bátoṉ se ishára kar diyá, ki wuh kis tarah kí maut se Ḳhudá ká jalál záhir karegá. Aur yih kahkar us se kahá, ki Mere píchhe ho le. 20Patras ne phirkar us shágird ko píchhe áte dekhá, jis se Yisúʻ mahabbat rakhtá thá, aur jis ne shám ke kháne ke waqt us ke síne ká sahárá lekar púchhá thá, ki Ai Ḳhudáwand, terá pakaṛwánewálá kaun hai? 21Patras ne use dekhkar Yisúʻ se kahá; Ai Ḳhudáwand, is ká kyá hál hogá? 22Yisúʻ ne us se kahá; Agar maiṉ cháhúṉ, ki yih mere áne tak ṭhahrá rahe, to tujh ko kyá? tú mere píchhe ho le. 23Pas bháiyoṉ meṉ yih bát mashhúr ho gayí, ki wuh shágird na maregá. Lekin Yisúʻ ne us se yih nahíṉ kahá thá, ki yih na maregá; balki yih, ki Agar maiṉ cháhúṉ, ki yih mere áne tak ṭhahrá rahe, to tujh ko kyá?
24Yih wuhí shágird hai, jo in bátoṉ kí gawáhí detá hai aur jis ne in ko likhá hai; aur ham jánte haiṉ, ki us kí gawáhí sachchí hai.
25Aur bhí bahut se kám haiṉ, jo Yisúʻ ne kiye; agar wuh judá judá likhe játe, to maiṉ samajhtá húṉ, ki jo kitábeṉ likhí játíṉ, un ke liye dunyá meṉ guṉjáish na hotí.
Currently Selected:
Yúhanná 21: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)