Aʻmál 1
1
1Ai Thiyufilus, maiṉ ne pahlá risála un sab bátoṉ ke bayán meṉ tasníf kiyá, jo Yisúʻ shurúʻ meṉ kartá aur sikhátá rahá, 2us din tak ki wuh un rasúloṉ ko jinheṉ us ne chuná thá, Rúhuʼl Quds ke wasíle se hukm dekar, úpar uṭháyá na gayá. 3Us ne dukh sahne ke baʻd bahut se subútoṉ se apne áp ko un par zinda záhir bhí kiyá; chunáṉchi wuh chálís din tak unheṉ nazar átá, aur Ḳhudá kí bádsháhat kí báteṉ kahtá rahá: 4aur un se milkar un ko hukm diyá, ki Yarúshalem se báhar na jáo, balki Báp ke us waʻde ke púrá hone ke muntazir raho, jis ká zikr tum mujh se sun chuke ho. 5Kyúṉki Yúhanná ne to pání se baptisma diyá; magar tum thoṛe dinoṉ ke baʻd Rúhuʼl Quds se baptisma páoge.
6Pas unhoṉ ne jamaʻ hokar us se yih púchhá, ki Ai Ḳhudáwand, kyá tú isí waqt Isráíl ko bádsháhí phir ʻatá karegá? 7Us ne un se kahá; Un waqtoṉ aur míʻádoṉ ká jánná, jinheṉ Báp ne apne hí iḳhtiyár meṉ rakkhá hai, tumhárá kám nahíṉ. 8Lekin jab Rúhuʼl Quds tum par názil hogá, to tum quwwat páoge; aur Yarúshalem, aur tamám Yahúdiya, aur Sámariya meṉ, balki zamín kí intihá tak, mere gawáh hoge. 9Yih kahkar wuh un ke dekhte dekhte úpar uṭhá liyá gayá; aur badlí ne use un kí nazaroṉ se chhipá liyá. 10Aur us ke játe waqt, jab wuh ásmán kí taraf gaur se dekh rahe the, to dekho, do mard safed poshák pahine un ke pás á khaṛe húe, 11aur kahne lage; Ai Galílí mardo, tum kyúṉ khaṛe ásmán kí taraf dekhte ho? Yihí Yisúʻ, jo tumháre pás se ásmán par uṭháyá gayá hai, usí tarah phir áegá jis tarah tum ne use ásmán par játe dekhá hai.
12Tab wuh us paháṛ se jo Zaitún ká kahlátá hai, aur Yarúshalem ke nazdík, sabt kí manzil ke fásile par hai, Yarúshalem ko phire. 13Aur jab us meṉ dáḳhil húe, to us báláḳháne par chaṛhe, jis meṉ wuh, yaʻní Patras aur Yúhanná, aur Yaʻqúb aur Andriyás, aur Filippus aur Tomá, aur Bar Tulmáí aur Matí, aur Halfáí ká beṭá Yaʻqúb aur Shamaʻún Zelotes aur Yaʻqúb ká beṭá Yahúdáh, rahte the. 14Yih sab ke sab, chand ʻauratoṉ aur Yisúʻ kí máṉ Maryam, aur us ke bháiyoṉ ke sáth ek dil hokar, duʻá meṉ mashgúl rahe.
15Aur unhíṉ dinoṉ Patras bháiyoṉ meṉ, jo taḳhmínan ek sau bís shaḳhsoṉ kí jamáʻat thí, khaṛá hokar kahne lagá; 16Ai bháiyo, us nawishte ká púrá honá zarúr thá, jo Rúhuʼl Quds ne Dáúd kí zabání us Yahúdáh ke haqq meṉ pahle se kahá thá, jo Yisúʻ ke pakaṛnewáloṉ ká rahnumá húá; 17kyúṉki wuh ham meṉ shumár kiyá gayá, aur us ne is ḳhidmat ká hissa páyá. 18(Us ne badkárí kí kamáí se ek khet hásil kiyá; aur sir ke bal girá, aur us ká peṭ phaṭ gayá, aur us kí sárí antṛiyáṉ nikal paṛíṉ. 19Aur yih Yarúshalem ke sab rahnewáloṉ ko maʻlúm húá, yaháṉ tak ki us khet ká nám un kí zabán meṉ Haqal Damá paṛ gayá, yaʻní Ḳhún ká Khet.) 20Kyúṉki Zabúr meṉ likhá hai, ki
Us ká ghar ujaṛ jáe,
Aur us meṉ koí basnewálá na rahe:
aur
Us ká ʻuhda dúsrá le le.
21Pas jitne ʻarse tak Ḳhudáwand Yisúʻ hamáre sáth átá játá rahá, yaʻní Yúhanná ke baptisma se lekar Ḳhudáwand ke hamáre pás se uṭháe jáne tak, jo barábar hamáre sáth rahe, 22cháhiye ki un meṉ se ek mard hamáre sáth us ke jí uṭhne ká gawáh bane. 23Phir unhoṉ ne do ko pesh kiyá, ek Yúsuf ko, jo Bar Sabá kahlátá, aur jis ká laqab Yústus hai, dúsrá Mattiyyáh ko: 24aur yih kahkar duʻá máṉgí; Ai Ḳhudáwand, tú jo sab ke diloṉ kí jántá hai, yih záhir kar, ki in donoṉ meṉ se tú ne kis ko chuná hai, 25ki wuh is ḳhidmat aur risálat kí jagah le, jise Yahúdáh chhoṛkar apní jagah gayá. 26Phir unhoṉ ne un ke báre meṉ qurʻa ḍálá, aur qurʻa Mattiyyáh ke nám ká niklá. Pas wuh un gyárah rasúloṉ ke sáth shumár húá.
Currently Selected:
Aʻmál 1: URDR55
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapistaging.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)