Yúhanná 20
20
1Hafte ke pahle din, Maryam Magdalíní aise taṛke ki abhí andherá hí thá, qabr par áí, aur patthar ko qabr se haṭá húá dekhá. 2Pas wuh Shamaʻún Patras aur us dúsre shágird ke pás, jise Yisúʻ ʻazíz rakhtá thá, dauṛí húí gayí, aur un se kahá, ki Ḳhudáwand ko qabr se nikál le gaye; aur hameṉ maʻlúm nahíṉ ki use kaháṉ rakh diyá. 3Pas Patras aur wuh dúsrá shágird nikalkar qabr kí taraf chale. 4Aur donoṉ sáth sáth dauṛe: magar wuh dúsrá shágird Patras se áge baṛhkar qabr par pahle pahuṉchá. 5Us ne jhukkar nazar kí aur sútí kapṛe paṛe húe dekhe; magar andar na gayá. 6Shamaʻún Patras us ke píchhe píchhe pahuṉchá, aur us ne qabr ke andar jáke dekhá, ki sútí kapṛe paṛe haiṉ, 7aur wuh rúmál jo us ke sir se bandhá húá thá, sútí kapṛoṉ ke sáth nahíṉ, balki lipṭá húá ek jagah alag paṛá hai. 8Is par dúsrá shágird bhí, jo pahle qabr par áyá thá, andar gayá; aur us ne dekhkar yaqín kiyá. 9Kyúṉki wuh ab tak us nawishte ko na jánte the, jis ke bamújib us ká murdoṉ meṉ se jí uṭhná zarúr thá. 10Pas yih shágird apne ghar ko wápas gaye.
11Lekin Maryam báhar qabr ke pás khaṛí rotí rahí, aur jab rote rote qabr kí taraf jhukke andar nazar kí, 12to do firishtoṉ ko safed poshák pahine húe, ek ko sirháne aur dúsre ko páeṉtí baiṭhe dekhá, jaháṉ Yisúʻ ki lásh paṛí thí. 13Unhoṉ ne us se kahá; Ai ʻaurat, tú kyúṉ rotí hai? Us ne un se kahá; Is liye ki mere Ḳhudáwand ko uṭhá le gaye, aur maʻlúm nahíṉ ki use kaháṉ rakkhá. 14Yih kahkar wuh píchhe phirí, aur Yisúʻ ko khaṛe dekhá, aur na pahcháná ki yih Yisúʻ hai. 15Yisúʻ ne us se kahá, ki Ai ʻaurat, tú kyúṉ rotí hai? kis ko ḍhúṉḍhtí hai? Us ne bágbán samajhkar us se kahá, kí Miyáṉ, agar tú ne us ko yaháṉ se uṭháyá ho, to mujhe batá de, ki use kaháṉ rakkhá hai, táki maiṉ use le jáúṉ. 16Yisúʻ ne us se kahá; Maryam! Wuh phirkar us se ʻIbrání zabán meṉ bolí; Rabbúní! yaʻní Ai ustád! 17Yisúʻ ne us se kahá; Mujhe na chhú; kyúṉki maiṉ ab tak Báp ke pás úpar nahíṉ gayá; lekin mere bháiyoṉ ke pás jákar un se kah, ki Maiṉ apne Báp aur tumháre Báp ke, aur apne Ḳhuda aur tumháre Ḳhudá ke pás úpar játá húṉ. 18Maryam Magdalíní ne ákar shágirdoṉ ko ḳhabar dí, ki Maiṉ ne Ḳhudáwand ko dekhá, aur us ne mujh se yih báteṉ kahíṉ.
19Phir usí din jo hafte ká pahlá din thá, shám ke waqt, jab waháṉ ke darwáze jaháṉ shágird the, Yahúdíoṉ ke ḍar se band the, Yísúʻ ákar bích meṉ khaṛá húá, aur un se kahá, ki Tumhárí salámatí ho! 20Aur yih kahkar us ne apne háth aur paslí unheṉ dikháí. Pas shágird Ḳhudáwand ko dekhkar ḳhush húe. 21Yisúʻ ne phir un se kahá, ki Tumhárí salámatí ho; jis tarah Báp ne mujhe bhejá hai, usí tarah maiṉ bhí tumheṉ bhejtá húṉ. 22Aur yih kahkar un par phúṉká aur un se kahá, ki Rúhuʼl Quds lo. 23Jin ke gunáh tum baḳhsho, un ke baḳhshe gaye haiṉ; jin ke gunáh tum qáim rakkho, un ke qáim rakkhe gaye haiṉ.
24Magar un bárah meṉ se ek shaḳhs, yaʻní Tomá, jise Tauam kahte haiṉ, Yisúʻ ke áne ke waqt un ke sáth na thá. 25Pas báqí shágird us se kahne lage, ki Ham ne Ḳhudáwand ko dekhá hai. Magar us ne un se kahá, ki Jab tak maiṉ us ke háthoṉ meṉ meḳhoṉ ke súráḳh na dekh lúṉ, aur meḳhoṉ ke súráḳhoṉ meṉ apní unglí na ḍál lúṉ, aur apná háth us kí paslí meṉ na ḍál lúṉ, hargiz yaqín na karúṉgá.
26Áṭh roz ke baʻd, jab us ke shágird phir andar the, aur Tomá un ke sáth thá, aur darwáze band the, to Yisúʻ áyá, aur bích meṉ khaṛá hokar bolá; Tumhárí salámatí ho. 27Phir us ne Tomá se kahá, ki Apní unglí pás lákar mere háthoṉ ko dekh, aur apná háth pás lákar merí paslí meṉ ḍál, aur beiʻtiqád na ho, balki iʻtiqád rakh. 28Tomá ne jawáb meṉ us se kahá; Ai mere Ḳhudáwand! Ai mere Ḳhudá! 29Yisúʻ ne us se kahá; Tú to mujhe dekhkar ímán láyá hai; mubárak wuh haiṉ, jo bagair dekhe ímán láe.
30Aur Yisúʻ ne âur bahut se muʻjize shágirdoṉ ke sámne dikháe, jo is kitáb meṉ likhe nahíṉ gaye; 31lekin yih is liye likhe gaye, ki tum ímán láo, ki Yisúʻ hí Ḳhudá ká Beṭá Masíh hai, aur ímán lákar us ke nám se zindagí páo.
Currently Selected:
Yúhanná 20: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)