Yúhanná 19
19
1Is par Pílátus ne Yisúʻ ko lekar koṛe lagwáe. 2Aur sipáhíoṉ ne káṉṭoṉ ká táj banákar us ke sir par rakkhá, aur use argawání poshák pahináí; 3aur us ke pás á ákar kahne lage; Ai Yahúdíoṉ ke bádsháh, ádáb! Aur us ke tamáṉche bhí máre. 4Pílátus ne phir báhar jáke logoṉ se kahá, ki Dekho, maiṉ use tumháre pás báhar le átá húṉ, táki tum jáno, ki maiṉ us ká kuchh jurm nahíṉ pátá. 5Yisúʻ káṉṭoṉ ká táj rakkhe, aur argawání poshák pahine báhar áyá, aur Pílátus ne un se kahá; Dekho yíh ádmí! 6Jab sardár káhin aur piyádoṉ ne use dekhá, to chilláke kahá, ki Salíb de! Salíb! Pílátus ne un se kahá, ki Tum hí ise le jáo aur salíb do, kyúṉki maiṉ is ká kuchh jurm nahíṉ pátá. 7Yahúdíoṉ ne use jawáb diyá, ki Ham ahl i sharíʻat haiṉ, aur sharíʻat ke muwáfiq wuh qatl ke láíq hai, kyúṉkí us ne apne áp ko Ḳhudá ká Beṭá banáyá. 8Jab Pílátus ne yíh bát suní, to âur bhí ḍará, 9aur phir qilʻe meṉ jákar Yisúʻ se kahá; Tú kaháṉ ká hai? Magar Yísúʻ ne use jawáb na diyá. 10Pas Pílátus ne us se kahá; Tú mujh se boltá nahíṉ? Kyá tú nahíṉ jántá, ki mujhe tere chhoṛ dene ká bhí iḳhtiyár hai, aur salíb dene ká bhí iḳhtiyár hai? 11Yisúʻ ne use jawáb diyá, ki Agar tujhe úpar se na diyá jatá, to terá mujh par kuchh iḳhtiyár na hotá; is sabab se jis ne mujhe tere hawále kiyá, us ká gunáh ziyáda hai. 12Is par Pílátus us ke chhoṛ dene meṉ koshish karne lagá; magar Yahúdíoṉ ne chillákar kahá; Agar tú is ko chhoṛe detá hai, to Qaisar ká ḳhairḳhwáh nahíṉ. Jo koí apne áp ko bádsháh banátá hai, wuh Qaisar ká muḳhálif hai. 13Pílátus yih báteṉ sunkar Yisúʻ ko báhar láyá, aur us jagah jo Chabútara aur ʻIbrání meṉ Gabbatá kahlátí hai, taḳht í ʻadálat par baiṭhá. 14Yíh Fasah kí taiyárí ká din, aur chhaṭe ghanṭe ke qaríb thá. Phir us ne Yahúdíoṉ se kahá; Dekho, yih hai tumhárá bádsháh. 15Pas wuh chilláe, ki Le já, le já, use salíb de! Pílátus ne un se kahá; Kyá maiṉ tumháre bádsháh ko salíb dúṉ? Sardár káhinoṉ ne jawáb diyá, ki Qaisar ke siwá hamárá koí bádsháh nahíṉ. 16Is par us ne us ko un ke hawále kiyá, táki salíb diyá jáe.
Pas wuh Yisúʻ ko le gaye, 17aur wuh apní salíb áp uṭháe húe us jagah tak báhar gayá, jo Khopṛí kí jagah kahlátí hai, jis ká tarjuma ʻIbrání meṉ Gulgutá hai. 18Waháṉ unhoṉ ne us ko, aur us ke sáth âur do shaḳhsoṉ ko salíb dí, ek ko idhar, ek ko udhar, aur Yisúʻ ko bích meṉ. 19Aur Pílátus ne ek kitába likhkar salíb par lagá diyá: us meṉ yih likhá húá thá; Yisúʻ Násarí Yahúdíoṉ ká Bádsháh. 20Us kitába ko bahut se Yahúdíoṉ ne paṛhá, is liye ki wuh maqám jaháṉ Yisúʻ salíb diyá gayá thá, shahr ke nazdík thá: aur wuh ʻIbrání aur Latíní aur Yúnání meṉ líkhá húá thá. 21Pas Yahúdíoṉ ke sardár káhinoṉ ne Pílátus se kahá, ki Yahúdíoṉ ká Bádsháh na likh, balki yih, ki us ne kahá; Maiṉ Yahúdíoṉ ká Bádsháh húṉ. 22Pílátus ne jawáb diyá, ki Maiṉ ne jo likh diyá, wuh likh diyá.
23Jab sípáhí Yísúʻ ko salíb de chuke, to us ke kapṛe lekar chár hisse kiye, har sipahí ke liye ek hissa, aur us ká kurta bhí liyá; yih kurta binsilá sarásar buná húá thá. 24Is liye unhoṉ ne ápas meṉ kahá, ki Ise pháṛeṉ nahíṉ, balki us par qurʻa ḍáleṉ, táki maʻlúm ho ki kis ká nikaltá hai. Yih is liye húá ki wuh nawishta púrá ho jo kahtá hai, ki
Unhoṉ ne mere kapṛe báṉṭ liye,
Aur merí poshák par qurʻa ḍálá.
Chunáṉchi sipáhíoṉ ne aisá hí kiyá. 25Aur Yisúʻ kí salíb ke pás us kí máṉ, aur us kí máṉ kí bahin, Maryam Klopás kí bíwí, aur Maryam Magdalíní khaṛí thíṉ. 26Yisúʻ ne apní máṉ aur us shágird ko jis se mahabbat rakhtá thá, pás khaṛe dekhkar, máṉ se kahá, kí Ai ʻaurat, dekh, terá beṭá yih hai. 27Phir shágird se kahá; Dekh, terí máṉ yih hai: aur usí waqt se wuh shágird use apne ghar le gayá.
28Is ke baʻd, jab Yisúʻ ne ján liyá, ki ab sab báteṉ tamám húíṉ, táki nawishta púrá ho, to kahá, ki Maiṉ piyásá húṉ. 29Waháṉ ek sirke se bhará húá bartan rakkhá thá. Pas unhoṉ ne sirke meṉ bhigoe húe isfanj ko zúfe kí sháḳh par rakhkar, us ke muṉh se lagáyá. 30Pas jab Yisúʻ ne wuh sirká piyá, to kahá, ki Tamám húá: aur sir jhukákar ján de dí.
31Pas chúṉki taiyárí ká din thá, Yahúdíoṉ ne Pílátus se darḳhwást kí, ki un kí ṭáṉgeṉ toṛ dí jáeṉ, aur lásheṉ utár lí jáeṉ, tákí Sabt ke din salíb par na raheṉ; kyúṉki wuh Sabt ek ḳháss din thá. 32Pas sipáhíoṉ ne ákar pahle aur dúsre shaḳhs kí ṭáṉgeṉ toṛíṉ, jo us ke sáth maslúb húe the. 33Lekin jab unhoṉ ne Yisúʻ ke pás ákar dekhá ki wuh mar chuká hai, to us kí ṭáṉgeṉ na toṛíṉ. 34Magar un meṉ se ek sipáhí ne bhále se us kí paslí chhedí aur fiʼlfaur us se ḳhún aur pání bah niklá. 35Jis ne yih dekhá hai usí ne gawáhí dí hai, aur us kí gawáhí sachchí hai; aur wuh jántá hai ki sach kahtá hai, táki tum bhí ímán láo. 36Yih báteṉ is liye húíṉ ki yih nawishta púrá ho, ki Us kí koí haḍḍí na toṛí jáegí. 37Phir ek âur nawishta kahtá hai, ki Jise unhoṉ ne chhedá, us par nazar kareṉge.
38In bátoṉ ke baʻd Aramatiya ke rahnewále Yúsuf ne, jo Yisúʻ ká shágird thá, (lekin Yahúdíoṉ ke dar se ḳhufya taur par,) Pílátus se ijázat cháhí, ki Yisúʻ kí lásh le jáe. Pílátus ne ijázat dí. Pas wuh ákar us kí lásh le gayá. 39Aur Níkudemus bhí áyá, jo pahle Yisúʻ ke pás rát ko gayá thá, aur pachás ser ke qaríb murr aur ʻúd milá húá láyá. 40Pas unhoṉ ne Yisúʻ kí lásh lekar use sútí kapṛe meṉ ḳhushbúdár chízoṉ ke sáth kafnáyá, jis tarah ki Yahúdíoṉ meṉ dafn karne ká dastúr hai. 41Aur jis jagah use salíb dí gayí, waháṉ ek bág thá, aur us bág meṉ ek nayí qabr thí, jis meṉ kabhí koí na rakkhá gayá thá. 42Pas unhoṉ ne Yahúdíoṉ kí taiyárí ke din ke báʻis Yisúʻ ko wahíṉ rakh diyá, kyúṉki yih qabr nazdík thí.
Currently Selected:
Yúhanná 19: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)