1
Lúqá 9:23
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Aur us ne sab se kahá, ki Agar koí mere píchhe áná cháhe, to apní ḳhudí se inkár kare, aur har roz apní salíb uṭháe, aur mere píchhe ho le.
Compare
Explore Lúqá 9:23
2
Lúqá 9:24
Kyúṉki jo koí apní ján bachání cháhe, wuh use khoegá; aur jo koí mere wáste apní ján khoe, wuhí use bacháegá.
Explore Lúqá 9:24
3
Lúqá 9:62
Yisúʻ ne us se kahá, ki Jo koí apná háth hal par rakhkar píchhe dekhtá hai, wuh Ḳhudá kí bádsháhat ke láiq nahíṉ.
Explore Lúqá 9:62
4
Lúqá 9:25
Aur ádmí agar sárí dunyá ko hásil kare aur apní ján ko kho de, yá us ká nuqsán uṭháe, to use kyá fáida hogá?
Explore Lúqá 9:25
5
Lúqá 9:26
Kyúṉki jo koí mujh se aur merí bátoṉ se sharmáegá, Ibn i Ádam bhí, jab apne aur apne Báp aur pák firishtoṉ ke jalál meṉ áegá, to us se sharmáegá.
Explore Lúqá 9:26
6
Lúqá 9:58
Yisúʻ ne us se kahá, ki Lomṛiyoṉ ke bhaṭ hote haiṉ, aur hawá ke parandoṉ ke ghoṉsle; magar Ibn i Ádam ke liye sir dharne kí bhí jagah nahíṉ.
Explore Lúqá 9:58
7
Lúqá 9:48
Jo koí is bachche ko mere nám par qubúl kartá hai, wuh mujhe qubúl kartá hai; aur jo mujhe qubúl kartá hai, wuh mere bhejnewále ko qubúl kartá hai; kyúṉki jo tum meṉ sab se chhoṭá hai, wuhí baṛá hai.
Explore Lúqá 9:48
Home
Bible
Plans
Videos