1
Lúqá 10:19
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Dekho, maiṉ ne tum ko iḳhtiyár diyá, ki sáṉpoṉ aur bichchhúoṉ ko kuchlo, aur dushman kí sárí qudrat par gálib áo; aur tum ko hargiz kisí chíz se zarar na pahuṉchegá.
Compare
Explore Lúqá 10:19
2
Lúqá 10:41-42
Ḳhudáwand ne jawáb meṉ us se kahá; Marthá, Marthá, tú to bahut chízoṉ kí fikr o taraddud meṉ hai: lekin ek chíz zarúr hai; aur Maryam ne wuh achchhá hissa chun liyá hai, jo us se chhíná na jáegá.
Explore Lúqá 10:41-42
3
Lúqá 10:27
Us ne jawáb meṉ kahá, ki Ḳhudáwand apne Ḳhudá se, apne sáre dil aur apní sárí ján aur apní sárí táqat aur apní sárí ʻaql se mahabbat rakh; aur Apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakh.
Explore Lúqá 10:27
4
Lúqá 10:2
Aur wuh un se kahne lagá, ki Fasl to bahut hai, lekin mazdúr thoṛe haiṉ; is liye fasl ke málik kí minnat karo, ki apní fasl káṭne ke liye mazdúr bheje.
Explore Lúqá 10:2
5
Lúqá 10:36-37
In tínoṉ meṉ se us shaḳhs ká, jo ḍákúoṉ meṉ ghir gayá thá, terí dánist meṉ kaun paṛausi ṭhahrá? Us ne kahá; Wuh jis ne us par rahm kiyá. Yisúʻ ne us se kahá; Já, tú bhí aisá hí kar.
Explore Lúqá 10:36-37
6
Lúqá 10:3
Jáo; dekho, maiṉ tumheṉ goyá barroṉ ko bheṛiyoṉ ke bích meṉ bhejtá húṉ.
Explore Lúqá 10:3
Home
Bible
Plans
Videos