1
Lúqá 11:13
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Pas jab ki tum bure hokar apne bachchoṉ ko achchhí chízeṉ dení jánte ho, to ásmání Báp apne máṉgnewáloṉ ko Rúhuʼl Quds kyúṉ na degá?
Compare
Explore Lúqá 11:13
2
Lúqá 11:9
Pas maiṉ tum se kahtá húṉ; Máṉgo, to tumheṉ diyá jáegá; ḍhúṉdho, to páoge; darwáza khaṭkhaṭáo, to tumháre wáste kholá jáegá.
Explore Lúqá 11:9
3
Lúqá 11:10
Kyúṉki jo koí máṉgtá hai, use miltá hai; aur jo ḍhúṉḍhtá hai, wuh pátá hai; aur jo khaṭkhaṭátá hai, us ke wáste kholá jáegá.
Explore Lúqá 11:10
4
Lúqá 11:2
Us ne un se kahá; Jab tum duʻá máṉgo, to kaho, ki Ai Báp, terá nám pák máná jáe. Terí bádsháhat áe.
Explore Lúqá 11:2
5
Lúqá 11:4
Aur hamáre gunáhoṉ ko muʻáf kar; kyúṉki ham bhí apne har qarzdár ko muʻáf karte haiṉ. Aur hameṉ ázmáish meṉ na lá.
Explore Lúqá 11:4
6
Lúqá 11:3
Hamárí roz kí roṭí har roz hameṉ diyá kar.
Explore Lúqá 11:3
7
Lúqá 11:34
Tere badan ká chirág terí áṉkh hai; jab terí áṉkh durust hai, to terá sárá badan bhí raushan hai; aur jab ḳharáb hai, to terá badan bhí tárík hai.
Explore Lúqá 11:34
8
Lúqá 11:33
Koí shaḳhs chirág jalákar tahḳháne meṉ yá paimáne ke níche nahíṉ rakhtá, balki chirágdán par rakhtá hai, táki andar ánewáloṉ ko raushní dikháí de.
Explore Lúqá 11:33
Home
Bible
Plans
Videos