YouVersion Logo
Search Icon

Lúqá 11

11
1Phir aisá húá ki wuh kisí jagah duʻá máṉgtá thá; jab máṉg chuká, to us ke shágirdoṉ meṉ se ek ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, jaisá Yúhanná ne apne shágirdoṉ ko duʻá máṉgní sikháí, tú bhí hameṉ sikhá. 2Us ne un se kahá; Jab tum duʻá máṉgo, to kaho, ki Ai Báp, terá nám pák máná jáe. Terí bádsháhat áe. 3Hamárí roz kí roṭí har roz hameṉ diyá kar. 4Aur hamáre gunáhoṉ ko muʻáf kar; kyúṉki ham bhí apne har qarzdár ko muʻáf karte haiṉ. Aur hameṉ ázmáish meṉ na lá.
5Phir us ne un se kahá; Tum meṉ se kaun hai, jis ká ek dost ho, aur wuh ádhí rát ko us ke pás jákar us se kahe, ki Ai dost, mujhe tín roṭiyáṉ de: 6kyúṉki merá ek dost safar karke mere pás áyá hai, aur mere pás kuchh nahíṉ ki us ke áge rakkhúṉ; 7aur wuh andar se jawáb meṉ kahe; Mujhe taklíf na de: ab darwáza band hai, aur mere laṛke mere pás bichhaune par haiṉ; maiṉ uṭhkar tujhe de nahíṉ saktá. 8Maiṉ tum se kahtá húṉ; Agarchi wuh is sabab se ki us ká dost hai, uṭhkar use na de, táham us kí behayáí ke sabab uṭhkar jitní darkár haiṉ use degá. 9Pas maiṉ tum se kahtá húṉ; Máṉgo, to tumheṉ diyá jáegá; ḍhúṉdho, to páoge; darwáza khaṭkhaṭáo, to tumháre wáste kholá jáegá. 10Kyúṉki jo koí máṉgtá hai, use miltá hai; aur jo ḍhúṉḍhtá hai, wuh pátá hai; aur jo khaṭkhaṭátá hai, us ke wáste kholá jáegá. 11Tum meṉ se aisá kaun sá báp hai, ki jab us ká beṭá roṭí máṉge, to use patthar de? yá machhlí máṉge, to machhlí ke badle use sáṉp de? 12yá anḍá máṉge, to us ko bichchhú de? 13Pas jab ki tum bure hokar apne bachchoṉ ko achchhí chízeṉ dení jánte ho, to ásmání Báp apne máṉgnewáloṉ ko Rúhuʼl Quds kyúṉ na degá?
14Phir wuh ek gúṉgí badrúh ko nikál rahá thá. Aur jab wuh badrúh utar gayí, to aisá húá ki gúṉgá bolá; aur logoṉ ne taʻajjub kiyá. 15Lekin un meṉ se baʻz ne kahá; Yih to badrúhoṉ ke sardár Baʻalzabúl kí madad se badrúhoṉ ko nikáltá hai. 16Baʻz âur log ázmáish ke liye us se ek ásmání nishán talab karne lage. 17Magar us ne un ke ḳhayáloṉ ko jánkar un se kahá, ki jis kisí bádsháhat meṉ phúṭ paṛe, wuh wírán ho játí hai; aur jis ghar meṉ phúṭ paṛe, wuh barbád ho játá hai. 18Aur agar Shaitán bhí apná muḳhálif ho jáe, to us kí bádsháhat kis tarah qáim rahegí? kyúṉki tum merí bábat kahte ho, ki Yih badrúhoṉ ko Baʻalzabúl kí madad se nikáltá hai. 19Aur agar maiṉ badrúhoṉ ko Baʻalzabúl kí madad se nikáltá húṉ, to tumháre beṭe kis kí madad se nikálte haiṉ? pas wuhí tumháre munsif hoṉge. 20Lekin agar maiṉ badrúhoṉ ko Ḳhudá kí qudrat se nikáltá húṉ, to Ḳhudá kí bádsháhat tumháre pás á pahuṉchí. 21Jab zoráwar ádmí hathyár báṉdhe húe apní hawelí kí rakhwálí kartá hai, to us ká mál hifázat se rahtá hai; 22lekin jab us se koí zoráwar hamla karke us par gálib átá hai, to us ke sab hathyár, jin par us ká bharosá thá chhín letá, aur us ká mál lúṭkar báṉṭ detá hai. 23Jo merí taraf nahíṉ, wuh mere ḳhiláf hai; aur jó mere sáth jamaʻ nahíṉ kartá, wuh bakhertá hai. 24Jab nápák rúh ádmí meṉ se nikaltí hai, to súkhe maqámoṉ meṉ árám ḍhúṉḍhtí phirtí hai; aur jab nahíṉ pátí, to kahtí hai, ki Maiṉ apne usí ghar meṉ lauṭ jáúṉgí jis se niklí húṉ; 25aur ákar use jhaṛá húá aur árásta pátí hai. 26Phir jákar âur sát rúheṉ apne se burí hamráh le átí hai, aur wuh us meṉ dáḳhil hokar waháṉ bastí haiṉ; aur us ádmí ká pichhlá hál pahle se bhí ḳharáb ho játá hai.
27Jab wuh yih báteṉ kah rahá thá, to aisá húá ki bhíṛ meṉ se ek ʻaurat ne pukárkar us se kahá; Mubárak hai wuh peṭ jis meṉ tú rahá, aur wuh chhátiyáṉ jo tú ne chúsíṉ. 28Us ne kahá; Háṉ, magar ziyáda mubárak wuh haiṉ, jo Ḳhudá ká kalám sunte, aur us par ʻamal karte haiṉ.
29Jab baṛí bhíṛ jamaʻ hotí játí thí, to wuh kahne lagá, ki Is zamáne ke log bure haiṉ: wuh nishán talab karte haiṉ; magar Yúnus ke nishán ke siwá koí âur nishán un ko na diyá jáegá. 30Kyúṉki jis tarah Yúnus Nínaweh ke logoṉ ke liye nishán ṭhahrá, usí tarah Ibn i Ádam bhí is zamáne ke logoṉ ke liye ṭhahregá. 31Dakkhin kí malika is zamáne ke ádmíoṉ ke sáth ʻadálat ke din uṭhkar inheṉ mujrim ṭhahráegí; kyúṉki wuh dunyá ke kanáre se Sulaimán kí hikmat sunne ko áí: aur dekho, yaháṉ wuh hai jo Sulaimán se bhí baṛá hai. 32Nínaweh ke log is zamáne ke logoṉ ke sáth ʻadálat ke din khaṛe hokar inheṉ mujrim ṭhahráeṉge: kyúṉki unhoṉ ne Yúnus kí manádí par tauba kar lí; aur dekho, yaháṉ wuh hai jo Yúnus se bhí baṛá hai.
33Koí shaḳhs chirág jalákar tahḳháne meṉ yá paimáne ke níche nahíṉ rakhtá, balki chirágdán par rakhtá hai, táki andar ánewáloṉ ko raushní dikháí de. 34Tere badan ká chirág terí áṉkh hai; jab terí áṉkh durust hai, to terá sárá badan bhí raushan hai; aur jab ḳharáb hai, to terá badan bhí tárík hai. 35Pas dekhná, jo raushní tujh meṉ hai táríkí to nahíṉ. 36Pas agar terá sárá badan raushan ho, aur koí hissa tárík na rahe, to wuh tamám aisá raushan hogá, jaisá us waqt hotá hai, jab chirág apní chamak se tujhe raushan kartá hai.
37Jab wuh bát kar rahá thá, to kisí Farísí ne us kí din kí daʻwat kí; pas wuh andar jáke kháná kháne baiṭhá. 38Farísí ne yih dekhkar taʻajjub kiyá, ki us ne kháne se pahle gusl nahíṉ kiyá. 39Ḳhudáwand ne us se kahá, ki Ai Farísío, tum piyále aur rikábí ko úpar se to sáf karte ho; lekin tumháre andar lúṭ aur badí bharí húí hai. 40Ai nádáno, jis ne báhar ko banáyá, kyá us ne andar ko nahíṉ banáyá? 41Háṉ, andar kí chízeṉ ḳhairát kar do, to dekho, sab kuchh tumháre liye pák hogá.
42Lekin ai Farísío, tum par afsos hai! ki podíne aur sudáb#11:42 sudáb Aik khushbudar jaṛi booṭi jo soṉf k nam se jani jati hai. aur har ek tarkárí par dahyakí dete ho, aur insáf aur Ḳhudá kí mahabbat se gáfil rahte ho: lázim thá, ki yih bhí karte aur wuh bhí na chhoṛte. 43Ai Farísío, tum par afsos hai! ki tum ʻibádatḳhánoṉ meṉ aʻlá darje kí kursíáṉ aur bázároṉ meṉ salám cháhte ho. 44Tum par afsos hai! kyúṉki tum un poshída qabroṉ kí mánind ho, jin par ádmí chalte haiṉ, aur un ko is bát kí ḳhabar nahíṉ.
45Phir sharaʻ ke ʻálimoṉ meṉ se ek ne jawáb meṉ us se kahá, ki Ai ustád, in bátoṉ ke kahne se tú hameṉ bhí beʻizzat kartá hai. 46Us ne kahá; Ai sharaʻ ke ʻálimo, tum par bhí afsos hai! ki tum aíse bojh, jin ká uṭháná mushkil hai, ádmíoṉ par ládte ho, aur áp ek unglí bhí un bojhoṉ ko nahíṉ lagáte. 47Tum par afsos hai! ki tum to nabíoṉ kí qabroṉ ko banáte ho, aur tumháre bápdádá ne un ko qatl kiyá thá. 48Pas tum gawáh ho, aur apne bápdádá ke kámoṉ ko pasand karte ho; kyúṉki unhoṉ ne to un ko qatl kiyá thá, aur tum un kí qabreṉ banáte ho. 49Isí liye Ḳhudá kí hikmat ne kahá hai, ki Maiṉ nabíoṉ aur rasúloṉ ko un ke pás bhejúṉgí; wuh un meṉ se baʻz ko qatl kareṉge, aur baʻz ko satáeṉge, 50táki sab nabíoṉ ke ḳhún kí, jo biná e ʻálam se baháyá gayá, is zamáne ke logoṉ se bázpurs kí jáe; 51Hábíl ke ḳhún se lekar us Zakaryáh ke ḳhún tak, jo qurbángáh aur maqdis ke bích meṉ halák húá; maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Isí zamáne ke logoṉ se sab kí bázpurs kí jáegí. 52Ai sharaʻ ke ʻálimo, tum par afsos hai! ki tum ne maʻrifat kí kunjí chhín lí: tum áp bhí dáḳhil na húe, aur dáḳhil honewáloṉ ko bhí roká.
53Jab wuh waháṉ se niklá, to faqíh aur Farísí use betarah chimaṭne aur chheṛne lage, táki wuh bahut sí bátoṉ ká zikr kare; 54aur us kí ghát meṉ rahe, táki us ke muṉh kí koí bát pakṛeṉ.

Currently Selected:

Lúqá 11: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in