Lúqá 10
10
1In bátoṉ ke baʻd Ḳhudáwand ne sattar ádmí âur muqarrar kiye, aur jis jis shahr aur jagah ko ḳhud jánewálá thá, waháṉ unheṉ do do karke apne áge bhejá. 2Aur wuh un se kahne lagá, ki Fasl to bahut hai, lekin mazdúr thoṛe haiṉ; is liye fasl ke málik kí minnat karo, ki apní fasl káṭne ke liye mazdúr bheje. 3Jáo; dekho, maiṉ tumheṉ goyá barroṉ ko bheṛiyoṉ ke bích meṉ bhejtá húṉ. 4Na baṭúá le jáo, na jholí, na jútiyáṉ; aur na ráh meṉ kisí ko salám karo. 5Aur jis kisí ghar meṉ dáḳhil ho, pahle kaho, ki Is ghar kí salámatí ho. 6Agar waháṉ koí salámatí ká farzand hogá, to tumhárá salám us par ṭhahregá; nahíṉ to, tum par lauṭ áegá. 7Usí ghar meṉ raho, aur jo kuchh un se mile kháo piyo; kyúṉki mazdúr apní mazdúrí ká haqqdár hai. Ghar ghar na phiro. 8Aur jis shahr meṉ dáḳhil ho, aur waháṉ ke log tumheṉ qubúl kareṉ, to jo kuchh tumháre sámne rakkhá jáe, kháo: 9aur waháṉ ke bímároṉ ko achchhá karo, aur un se kaho, ki Ḳhudá kí bádsháhat tumháre nazdík á pahuṉchí hai. 10Lekin jis shahr meṉ dáḳhil ho, aur waháṉ ke log tumheṉ qubúl na kareṉ, to us ke bázároṉ meṉ jákar kaho, ki 11Ham is gard ko bhí, jo tumháre shahr se hamáre páṉwoṉ meṉ lagí hai, tumháre sámne jháṛe dete haiṉ; magar yih ján lo, ki Ḳhudá kí bádsháhat nazdík á pahuṉchí hai. 12Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Us din Sadom ká hál us shahr ke hál se ziyáda bardásht ke láiq hogá. 13Ai Ḳhurázín, tujh par afsos! ai Baitsaidá, tujh par afsos! kyúṉki jo muʻjize tum meṉ záhir húe, agar wuh Súr aur Saidá meṉ záhir hote, to ṭáṭ oṛhkar aur ḳhák meṉ baiṭhkar kab ke tauba kar lete. 14Magar ʻadálat meṉ Súr aur Saidá ká hál tumháre hál se ziyáda bardásht ke láiq hogá. 15Aur ai Kafarnahúm, kyá tú ásmán tak baland kiyá jáegá? Nahíṉ, balki tú ʻÁlam i arwáh meṉ utárá jáegá. 16Jo tumhárí suntá hai wuh merí suntá hai; aur jo tumheṉ nahíṉ mántá, wuh mujhe nahíṉ mántá; aur jo mujhe nahíṉ mántá, wuh mere bhejnewále ko nahíṉ mántá.
17Wuh sattar ḳhush hokar phir áe, aur kahne lage; Ai Ḳhudáwand, tere nám se badrúheṉ bhí hamáre tábiʻ haiṉ. 18Us ne un se kahá; Maiṉ Shaitán ko bijlí kí tarah ásmán se girá húá dekh rahá thá. 19Dekho, maiṉ ne tum ko iḳhtiyár diyá, ki sáṉpoṉ aur bichchhúoṉ ko kuchlo, aur dushman kí sárí qudrat par gálib áo; aur tum ko hargiz kisí chíz se zarar na pahuṉchegá. 20Taubhí is se ḳhush na ho, ki rúheṉ tumháre tábiʻ haiṉ; balki is se ḳhush ho, ki tumháre nám ásmán par likhe húe haiṉ.
21Usí ghaṛí wuh Rúhuʼl Quds se ḳhushí meṉ bhar gayá aur kahá; Ai Báp, ásmán aur zamín ke Ḳhudáwand, maiṉ terí hamd kartá húṉ, ki tú ne yih báteṉ dánáoṉ aur ʻaqlmandoṉ se chhipáíṉ, aur bachchoṉ par záhir kíṉ: háṉ, ai Báp, kyúṉki aisá hí tujhe pasand áyá. 22Mere Báp kí taraf se sab kuchh mujhe sauṉpá gayá; aur koí nahíṉ jántá, ki Beṭá kaun hai, siwá Báp ke; aur koí nahíṉ jántá, ki Báp kaun hai, siwá Beṭe ke, aur us shaḳhs ke, jis par Beṭá use záhir karná cháhe. 23Aur shágirdoṉ kí taraf mutawajjih hokar ḳháss unhíṉ se kahá; Mubárak haiṉ wuh áṉkheṉ jo yih báteṉ dekhtí haiṉ, jinheṉ tum dekhte ho. 24Kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Bahut se nabíoṉ aur bádsháhoṉ ne cháhá, ki jo báteṉ tum dekhte ho dekheṉ, magar na dekhíṉ; aur jo báteṉ tum sunte ho suneṉ, magar na suníṉ.
25Aur dekho, ek ʻálim i sharaʻ uṭhá, aur yih kahkar us kí ázmáish karne lagá, ki Ai ustád, maiṉ kyá karúṉ, ki hamesha kí zindagí ká wáris banúṉ? 26Us ne us se kahá, ki Tauret meṉ kyá likhá hai? Tú kis tarah paṛhtá hai? 27Us ne jawáb meṉ kahá, ki Ḳhudáwand apne Ḳhudá se, apne sáre dil aur apní sárí ján aur apní sárí táqat aur apní sárí ʻaql se mahabbat rakh; aur Apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakh. 28Us ne us se kahá; Tú ne ṭhík jawáb diyá: yihí kar, to tú jíegá. 29Magar us ne apne taíṉ rástbáz ṭhahráne kí garaz se Yisúʻ se púchhá, Phir merá paṛausí kaun hai? 30Yisúʻ ne jawáb meṉ kahá, ki Ek ádmí Yarúshalem se Yarího kí taraf já rahá thá, ki ḍákúoṉ meṉ ghir gayá; unhoṉ ne us ke kapṛe utár liye, aur márá bhí, aur adhmúá chhoṛkar chale gaye. 31Ittifáqan ek káhin usí ráh se já rahá thá; aur use dekhke katrákar chalá gayá. 32Isí tarah ek Lewí us jagah áyá; wuh bhí use dekhke katrákar chalá gayá. 33Lekin ek Sámarí safar karte karte waháṉ á niklá, aur dekhkar tars kháyá, 34aur us ke pás áyá, aur us ke zaḳhmoṉ ko tel aur mai lagákar báṉdhá, aur apne jánwar par sawár karke saráe meṉ le gayá, aur us kí ḳhabargírí kí. 35Dúsre din do dínár nikálkar bhaṭiyáre ko diye aur kahá; Is kí ḳhabargírí karná; aur jo kuchh is se ziyáda ḳharch hogá, maiṉ phir ákar tujhe adá kar dúṉgá. 36In tínoṉ meṉ se us shaḳhs ká, jo ḍákúoṉ meṉ ghir gayá thá, terí dánist meṉ kaun paṛausi ṭhahrá? 37Us ne kahá; Wuh jis ne us par rahm kiyá. Yisúʻ ne us se kahá; Já, tú bhí aisá hí kar.
38Phir jab já rahe the, to wuh ek gáṉw meṉ dáḳhil húá: aur Marthá nám ek ʻaurat ne use apne ghar meṉ utárá. 39Aur Maryam nám us kí ek bahin thí; wuh Yisúʻ ke páṉwoṉ ke pás baiṭhkar us ká kalám sun rahí thí. 40Lekin Marthá ḳhidmat karte karte ghabrá gayí; pas us ke pás ákar kahne lagí; Ai Ḳhudáwand, kyá tujhe ḳhayál nahíṉ, ki merí bahin ne ḳhidmat karne ko mujhe akelá chhoṛ diyá hai? Pas use farmá, ki merí madad kare. 41Ḳhudáwand ne jawáb meṉ us se kahá; Marthá, Marthá, tú to bahut chízoṉ kí fikr o taraddud meṉ hai: 42lekin ek chíz zarúr hai; aur Maryam ne wuh achchhá hissa chun liyá hai, jo us se chhíná na jáegá.
Currently Selected:
Lúqá 10: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)