1
Lúqá 12:40
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Tum bhí taiyár raho; kyúṉki jis ghaṛí tumheṉ gumán bhí na hogá, Ibn i Ádam á jáegá.
Compare
Explore Lúqá 12:40
2
Lúqá 12:31
Háṉ, us kí bádsháhat kí talásh meṉ raho, to yih chízeṉ bhí tumheṉ mil jáeṉgí.
Explore Lúqá 12:31
3
Lúqá 12:15
Aur us ne un se kahá, ki Ḳhabardár, apne áp ko har tarah ke lálach se bacháe rakkho: kyúṉki kisí kí zindagí us ke mál kí kasrat par mauqúf nahíṉ.
Explore Lúqá 12:15
4
Lúqá 12:34
Kyúṉki jaháṉ tumhárá ḳhazána hai, wahíṉ tumhárá dil bhí lagá rahegá.
Explore Lúqá 12:34
5
Lúqá 12:25
Tum meṉ aisá kaun hai, jo fikr karke apní ʻumr meṉ ek ghaṛí baṛhá sake?
Explore Lúqá 12:25
6
Lúqá 12:22
Phir us ne apne shágirdoṉ se kahá; Is liye maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Apní ján kí fikr na karo, ki ham kyá kháeṉge; aur na apne badan kí, ki kyá pahineṉge
Explore Lúqá 12:22
7
Lúqá 12:7
Balki tumháre sir ke sab bál bhí gine húe haiṉ. Ḍaro nahíṉ: tumhárí qadr to bahut sí chiṛiyoṉ se ziyáda hai.
Explore Lúqá 12:7
8
Lúqá 12:32
Ai chhoṭe galle, na ḍar; kyúṉki tumháre Báp ko pasand áyá, ki tumheṉ bádsháhat de.
Explore Lúqá 12:32
9
Lúqá 12:24
Kauwoṉ par gaur karo, ki na bote haiṉ, na káṭte; na un ke khattá hotá hai, na koṭhí; taubhí Ḳhudá unheṉ khilátá hai; tumhárí qadr to parandoṉ se kahíṉ ziyáda hai.
Explore Lúqá 12:24
10
Lúqá 12:29
Aur tum is kí talásh meṉ na raho, ki kyá kháeṉge aur kyá píeṉge, aur na shakkí bano.
Explore Lúqá 12:29
11
Lúqá 12:28
Pas jab Ḳhudá maidán kí ghás ko jo áj hai, aur kal tanúr meṉ jhoṉkí jáegí, aisí poshák pahinátá hai; to ai kamiʻtiqádo, tum ko kyúṉ na pahiná degá?
Explore Lúqá 12:28
12
Lúqá 12:2
Kyúṉki koí chíz dhaṉkí nahíṉ, jo kholí na jáegí; aur na koí chíz chhipí hai, jo jání ṉa jáegí.
Explore Lúqá 12:2
Home
Bible
Plans
Videos