YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 18

18
1Aur jo kuchh Ḳhudáwand ne Músá aur apní qaum Isráíl ke liye kiyá, aur jis tarah se Ḳhudáwand ne Isráíl ko Misr se nikálá, sab Músá ke ḳhusar Yitro ne, jo Midyán ká káhin thá, suná. 2Aur Músá ke ḳhusar Yitro ne Músá kí bíwí Saffúrah ko, jo maike bhej dí gayí thí, 3aur us ke donoṉ beṭoṉ ko sáth liyá: in meṉ se ek ká nám Músá ne yih kahkar Jairsom rakkhá thá, ki Maiṉ pardes meṉ musáfir húṉ; 4aur dúsre ká nám yih kahkar Ilí‘azar rakkhá thá, ki Mere báp ká Ḳhudá merá madadgár húá, aur us ne mujhe Fir‘aun kí talwár se bacháyá. 5Aur Músá ká ḳhusar Yitro us ke beṭoṉ aur bíwí ko lekar Músá ke pás us biyábán meṉ áyá, jaháṉ Ḳhudá ke paháṛ ke pás us ká ḍerá lagá thá, 6aur Músá se kahá, ki Maiṉ terá ḳhusar Yitro terí bíwí ko, aur us ke sáth us ke donoṉ beṭoṉ ko lekar tere pás áyá húṉ. 7Tab Músá apne ḳhusar se milne ko báhar niklá, aur kornish bajá lákar us ko chúmá, aur wuh ek dúsre kí ḳhair o ‘áfiyat púchhte húe ḳhaime meṉ áe. 8Aur Músá ne apne ḳhusar ko batáyá ki Ḳhudáwand ne Isráíl kí ḳhátir Fir‘aun aur Misríoṉ se kyá kyá kiyá, aur in logoṉ par ráste meṉ kyá kyá musíbateṉ paṛíṉ, aur Ḳhudáwand un ko kis kis tarah bachátá áyá. 9Aur Yitro in sab ihsánoṉ ke sabab se, jo Ḳhudáwand ne Isráíl par kiye, ki un ko Misríoṉ ke háth se naját baḳhshí, bág̣ bág̣ húá. 10Aur Yitro ne kahá, Ḳhudáwand mubárak ho, jis ne tum ko Misríoṉ ke háth aur Fir‘aun ke háth se naját baḳhshí, aur jis ne is qaum ko Misríoṉ ke panje se chhuṛáyá. 11Ab maiṉ ján gayá, ki Ḳhudáwand sab ma‘búdoṉ se baṛá hai, kyúṉki wuh un kámoṉ meṉ, jo unhoṉ ne g̣urúr se kiye, un par g̣álib húá. 12Aur Músá ke ḳhusar Yitro ne Ḳhudá ke liye soḳhtaní qurbání aur zabíhe chaṛháe: aur Hárún aur Isráíl ke sab buzurg Músá ke ḳhusar ke sáth Ḳhudá ke huzúr kháná kháne áe. 13Aur dúsre din Músá logoṉ kí ‘adálat karne baiṭhá: aur log Músá ke ás pás subh se shám tak khaṛe rahe. 14Aur jab Músá ke ḳhusar ne sab kuchh, jo wuh logoṉ ke liye kartá thá, dekh liyá, to us se kahá, Yih kyá kám hai jo tú logoṉ ke liye kartá hai? Tú kyúṉ áp akelá baiṭhtá hai, aur sab log subh se shám tak tere ás pás khaṛe rahte haiṉ? 15Músá ne apne ḳhusar se kahá, Is ká sabab yih hai, ki log mere pás Ḳhudá se daryáft karne ke liye áte haiṉ. 16Jab un meṉ kuchh jhagṛá hotá hai, to wuh mere pás áte haiṉ; aur maiṉ un ke darmiyán insáf kartá aur Ḳhudá ke ahkám aur sharí‘at un ko batátá húṉ. 17Tab Músá ke ḳhusar ne us se kahá, ki Tú achchhá kám nahíṉ kartá. 18Is se tú kyá, balki yih log bhí jo tere sáth haiṉ, qata‘í ghul jáeṉge; kyúṉki yih kám tere liye bahut bhárí hai; tú akelá ise nahíṉ kar saktá. 19So ab tú merí bát sun. Maiṉ tujhe saláh detá húṉ, aur Ḳhudá tere sáth rahe. Tú in logoṉ ke liye Ḳhudá ke sámne jáyá kar, aur in ke sab mu‘ámale Ḳhudá ke pás pahuṉchá diyá kar. 20Aur tú rusúm aur sharí‘at kí báteṉ in ko sikháyá kar; aur jis ráste in ko chalná aur jo kám un ko karná ho, wuh in ko batáyá kar. 21Aur tú in logoṉ meṉ se aise láiq ashḳhás chun le, jo ḳhudátars aur sachche aur rishwat ke dushman hoṉ; aur un ko hazár hazár, aur sau sau, aur pachás pachás, aur das das ádmíoṉ par hákim baná de, 22ki wuh har waqt logoṉ ká insáf kiyá kareṉ; aur aisá ho ki baṛe baṛe muqaddame to wuh tere pas láeṉ, aur chhoṭí chhoṭí bátoṉ ká faisala ḳhud hí kar diyá kareṉ. Yúṉ terá bojh halká ho jáegá, aur wuh bhí us ke uṭháne meṉ tere sharík hoṉge. 23Agar tú yih kám kare, aur Ḳhudá bhí tujhe aisá hí hukm de, to tú sab kuchh jhel sakegá, aur yih log bhí apní jagah itmínán se jáeṉge. 24Aur Músá ne apne ḳhusar kí bát mánkar, jaisá us ne batáyá thá, waisá hí kiyá. 25Chunáṉchi Músá ne sab Isráílíoṉ meṉ se láiq ashḳhás chune; aur un ko hazár hazár, aur sau sau, aur pachás pachás, aur das das ádmíoṉ ke úpar hákim muqarrar kiyá. 26So yihí har waqt logoṉ ká insáf karne lage. Mushkil muqaddamát to wuh Músá ke pás le áte the, par chhoṭí chhoṭí bátoṉ ká faisala ḳhud hí kar dete the. 27Phir Músá ne apne ḳhusar ko ruḳhsat kiyá, aur wuh apne watan ko rawána ho gayá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 18: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in