YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 29

29
1Aur un ko pák karne kí ḳhátir, táki wuh mere liye káhin kí ḳhidmat ko anjám deṉ, tú un ke wáste yih karná, ki ek bachhṛá aur do be‘aib meṉḍhe lená. 2Aur beḳhamírí roṭí, aur beḳhamír ke kulche, jin ke sáth tel milá ho, aur tel kí chupṛí húí beḳhamírí chapátiyáṉ lená. Yih sab gehúṉ ke maide kí banáná. 3Aur in ko ek ṭokrí meṉ rakhkar us ṭokrí ko bachhṛe aur donoṉ meṉḍhoṉ samet áge le áná. 4Phir Hárún aur us ḳe beṭoṉ ko ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par lákar un ko pání se nahláná. 5Aur wuh libás lekar Hárún ko kurta, aur afod ká jubba, aur afod, aur sínaband pahináná, aur afod ká kárígarí se buná huá kamarband us ke báṉdh dená. 6Aur ‘amáme ko us ke sir par rakhkar us ‘amáme ke úpar muqaddas táj lagá dená. 7Aur masah karne ká tel lekar us ke sir par ḍálná, aur us ko masah karná. 8Phir us ke beṭoṉ ko áge lákar un ko kurte pahináná. 9Aur Hárún aur us ke beṭoṉ ke kamarband lapeṭkar un ke pagṛiyáṉ báṉdhná, táki kahánat ke mansab par hamesha ke liye un ká haqq rahe: aur Hárún aur us ke beṭoṉ ko maḳhsús karná. 10Phir tú us bachhṛe ko ḳhaima e ijtimá‘ ke sámne láná, aur Hárún aur us ke beṭe apne háth us bachhṛe ke sir par rakkheṉ. 11Phir us bachhṛe ko Ḳhudáwand ke áge ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par zabh karná. 12Aur us bachhṛe ke ḳhún meṉ se kuchh lekar use apní unglí se qurbángáh ke síṉgoṉ par lagáná, aur báqí sárá ḳhún qurbángáh ke páye par unḍel dená. 13Phir us charbí ko, jis se antṛiyáṉ ḍhakí rahtí haiṉ, aur jigar par kí jhillí ko, aur donoṉ gurdoṉ ko, aur un ke úpar kí charbí ko lekar sab qurbángáh par jaláná. 14Lekin us bachhṛe ke gosht aur khál aur gobar ko ḳhaimagáh ke báhar ág se jalá dená, is liye ki yih ḳhatá kí qurbání hai. 15Phir tú ek meṉḍhe ko lená, aur Hárún aur us ke beṭe apne háth us meṉḍhe ke sir par rakkheṉ. 16Aur tú us meṉḍhe ko zabh karná, aur us ká ḳhún lekar qurbángáh par chároṉ taraf chhiṛakná. 17Aur tú menḍhe ko ṭukṛe ṭukṛe káṭná, aur us kí antṛiyoṉ aur páyoṉ ko dhokar us ke ṭukṛoṉ aur us ke sir ke sáth milá dená. 18Phir is púre meṉḍhe ko qurbángáh par jaláná. Yih Ḳhudáwand ke liye soḳhtaní qurbání hai. Yih ráhatangez ḳhushbú, ya‘ní Ḳhudáwand ke liye átashín qurbání hai. 19Phir dúsre meṉḍhe ko lená, aur Hárún aur us ke beṭe apne háth us meṉḍhe ke sir par rakkheṉ. 20Aur tú is meṉḍhe ko zabh karná, aur us ke ḳhún meṉ se kuchh lekar Hárún aur us ke beṭon ke dahine kán kí lau par, aur dahine háth, aur dahine páṉw ke angúṭhoṉ par lagáná, aur ḳhún ko qurbángáh par chároṉ taraf chhiṛak dená. 21Aur qurbángáh par ke ḳhún aur masah karne ke tel meṉ se kuchh kuchh lekar Hárún, aur us ke libás par, aur us ke sáth us ke beṭoṉ aur un ke libás par chhiṛakná. Tab wuh apne libás samet, aur us ke sáth hí us ke beṭe apne apne libás samet muqaddas hoṉge. 22Aur tú meṉḍhe kí charbí, aur moṭí dum ko, aur jis charbí se antṛiyáṉ ḍhakí rahtí haiṉ, us ko aur jigar par kí jhillí ko, aur donoṉ gurdoṉ ko, aur un ke úpar kí charbí ko, aur dahiní rán ko lená: is liye ki yih taḳhsísí meṉḍhá hai. 23Aur beḳhamírí roṭí kí ṭokrí meṉ se, jo Ḳhudáwand ke áge dharí hogí, roṭí ká ek girda aur ek kulcha, jis meṉ tel milá húá ho, aur ek chapátí lená. 24Aur in sabhoṉ ko Hárún aur us ke beṭoṉ ke háthoṉ par rakhkar in ko Ḳhudáwand ke rúbarú hiláná, táki yih hiláne ká hadya ho. 25Phir in ko un ke háthoṉ se lekar qurbángáh par soḳhtaní qurbání ke úpar jalá dená, táki wuh Ḳhudáwand ke áge ráhatangez ḳhushbú ho; yih Ḳhudáwand ke liye átashín qurbání hai. 26Aur tú Hárún ke taḳhsísí meṉḍhe ká sína lekar us ko Ḳhudáwand ke rúbarú hiláná, táki wuh hiláne ká hadya ho: yih terá hissa ṭhahregá. 27Aur tú Hárún aur us ke beṭoṉ ke taḳhsísí meṉḍhe ke hiláne ke hadye ke síne ko, jo hiláyá já chuká hai, aur uṭháe jáne ke hadye kí rán ko, jo uṭháí já chukí hai, lekar un donoṉ ko pák ṭhahráná, 28táki yih sab baní Isráíl kí taraf se hamesha ke liye Hárún aur us ke beṭoṉ ká haqq ho: kyúṉki yih uṭháe jáne ká hadya hai. So yih baní Isráíl kí taraf se un kí salámatí ke zabíhoṉ meṉ se uṭháe jáne ká hadya hogá, jo un kí taraf se Ḳhudáwand ke liye uṭháyá gayá hai. 29Aur Hárún ke ba‘d us ke pák libás us kí aulád ke liye hoṉge, táki un hí meṉ wuh masah o maḳhsús kiye jáeṉ. 30Us ká jo beṭá us kí jagah káhin ho, wuh jab pák maqám meṉ ḳhidmat karne ko ḳhaima e ijtimá‘ meṉ dáḳhil ho, to un ko sát din tak pahine rahe. 31Aur tú taḳhsísí meṉḍhe ko lekar, us ke gosht ko kisí pák jagah meṉ ubálná. 32Aur Hárúṉ aur us ke beṭe meṉḍhe ká gosht, aur ṭokrí kí roṭiyáṉ ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par kháeṉ. 33Aur jin chízoṉ se un ko maḳhsús aur pák karne ke liye kaffára diyá jáe, wuh un ko bhí kháeṉ: lekin ajnabí shaḳhs un men se kuchh na kháne páe, kyúṉki yih chízeṉ pák haiṉ. 34Aur agar maḳhsús karne ke gosht yá roṭí meṉ se kuchh subh tak bachá rah jáe, to us bache húe ko ág se jalá dená. Wuh hargiz na kháyá jáe, is liye ki wuh pák hai. 35Aur tú Hárún aur us ke beṭoṉ ke sáth, jo kuchh maiṉ ne hukm diyá hai, wuh sab ‘amal meṉ láná, aur sát din tak un kí taḳhsís karte rahná. 36Aur tú har roz ḳhatá kí qurbání ke bachhṛe ko kaffáre ke wáste zabh karná: aur tú qurbángáh ko us ke kaffára dene ke waqt sáf karná aur use masah karná, táki wuh pák ho jáe. 37Tú sát din tak qurbángáh ke liye kaffára dená, aur use pák karná, to qurbángáh niháyat pák ho jáegí; aur jo kuchh us se chhú jáegá, wuh bhí pák ṭhahregá.
38Aur tú har roz sadá ek ek baras ke do do barre qurbángáh par chaṛháyá karná. 39Ek barra subh ko aur dúsrá barra zawál aur g̣urúb ke darmiyán chaṛháná. 40Aur ek barre ke sáth aifah ke dasweṉ hisse ke barábar maida dená, jis meṉ hín ke chauthe hisse kí miqdár meṉ kúṭkar nikálá húá tel milá húá ho; aur hín ke chauthe hisse kí miqdár meṉ tapáwan ke liye mai bhí dená. 41Aur tú dúsre barre ko zawál aur g̣urúb ke darmiyán chaṛháná, aur us ke sáth subh kí tarah nazr kí qurbání, aur waisá hí tapáwan dená, jis se wuh Ḳhudáwand ke liye ráhatangez ḳhushbú aur átashín qurbání ṭhahre. 42Aisí hí soḳhtaní qurbání tumhárí pusht dar pusht ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par Ḳhudáwand ke áge hamesha húá kare. Waháṉ maiṉ tum se milúṉgá aur tujh se báteṉ karúṉgá. 43Aur wahíṉ maiṉ baní Isráíl se muláqát karúṉgá, aur wuh maqám mere jalál se muqaddas hogá. 44Aur maiṉ ḳhaima e ijtimá‘ ko aur qurbángáh ko muqaddas karúṉgá; aur maiṉ Hárún aur us ke beṭoṉ ko muqaddas karúṉgá, táki wuh mere liye káhin kí ḳhidmat ko anjám deṉ. 45Aur maiṉ baní Isráíl ke darmiyán sukúnat karúṉgá, aur un ká Ḳhudá húṉgá; 46tab wuh ján leṉge, ki maiṉ Ḳhudáwand un ká Ḳhudá húṉ, jo un ko Misr ke mulk se is liye nikálkar láyá, ki maiṉ un ke darmiyán sukúnat karúṉ. Maiṉ hí Ḳhudáwand un ká Ḳhudá húṉ.

Currently Selected:

Ḳhurúj 29: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in