YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 30

30
1Aur tú baḳhúr jaláne ke liye kíkar kí lakṛí kí ek qurbángáh banáná. 2Us kí lambáí ek háth, aur chauṛáí ek háth ho; wuh chaukhúṉṭí rahe, aur us kí úṉcháí do háth ho, aur us ke síṉg usí ṭukṛe se banáe jáeṉ. 3Aur tú us ke úpar kí sath aur chároṉ pahlúoṉ ko, jo us ke girdágird haiṉ, aur us ke síṉgoṉ ko ḳhális sone se manḍhná, aur us ke liye girdágird ek zarrín táj banáná. 4Aur tú us táj ke níche us ke donoṉ pahlúoṉ meṉ sone ke do kaṛe us kí donoṉ taraf banáná. Wuh us ke uṭháne kí choboṉ ke liye ḳhánoṉ ká kám deṉge. 5Aur chobeṉ kíkar kí lakṛí kí banákar un ko sone se manḍhná. 6Aur tú us ko us parde ke áge rakhná, jo shahádat ke sandúq ke sámne hai; wuh sarposh ke sámne rahe, jo shahádat ke sandúq ke úpar hai, jaháṉ maiṉ tujh se milá karúṉgá. 7Isí par Hárún ḳhushbúdár baḳhúr jaláyá kare; har subh chirág̣oṉ ko ṭhík karte waqt baḳhúr jaláe. 8Aur zawál o g̣urúb ke darmiyán bhí jab Hárún chirág̣oṉ ko raushan kare, tab baḳhúr jaláe. Yih baḳhúr Ḳhudáwand ke huzúr tumhárí pusht dar pusht hamesha jaláyá jáe. 9Aur tum us par âur tarah ká baḳhúr na jaláná, na us par soḳhtaní qurbání aur nazr kí qurbání chaṛháná, aur koí tapáwan bhí us par na tapáná. 10Aur Hárún sál meṉ ek bár us ke síṉgoṉ par kaffára de. Tumhárí pusht dar pusht sál meṉ ek bár is ḳhatá kí qurbání ke ḳhún se, jo kaffáre ke liye ho, us ke wáste kaffára diyá jáe. Yih Ḳhudáwand ke liye sab se ziyáda pák hai.
11Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá: 12Jab tú baní Isráíl ká shumár kare, to jitnoṉ ká shumár húá ho, wuh fí mard shumár ke waqt apní ján ká fidya Ḳhudáwand ke liye deṉ, táki jab tú un ká shumár kar rahá ho, us waqt koí wabá un meṉ phailne na páe. 13Har ek jo nikal nikalkar shumár kiye húoṉ meṉ miltá jáe, wuh maqdis kí misqál ke hisáb se ním misqál de. Misqál bís jirah kí hotí hai. Yih ním misqál Ḳhudáwand ke liye nazr hai. 14Jitne bís baras ke, yá is se ziyáda ‘umr ke nikal nikalkar shumár kiye húoṉ meṉ milte jáeṉ, un meṉ se har ek Ḳhudáwand kí nazr de. 15Jab tumhárí jánoṉ ke kaffáre ke liye Ḳhudáwand kí nazr dí jáe, to daulatmand ním misqál se ziyáda na de, aur na g̣aríb us se kam de. 16Aur tú baní Isráíl se kaffáre kí naqdí lekar use ḳhaima e ijtimá‘ ke kám meṉ lagáná; táki wuh baní Isráíl kí taraf se tumhárí jánoṉ ke kaffáre ke liye Ḳhudáwand ke huzúr yádgár ho.
17Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá. 18Tú dhone ke liye pítal ká ek hauz aur pítal hí kí us kí kursí banáná, aur use ḳhaima e ijtimá‘ aur qurbángáh ke bích meṉ rakhkar us meṉ pání bhar dená. 19Aur Hárún aur us ke beṭe apne háth páṉw us se dhoyá kareṉ: 20ḳhaima e ijtimá‘ meṉ dáḳhil hote waqt pání se dho liyá kareṉ, táki halák na hoṉ, yá jab wuh qurbángáh ke nazdík ḳhidmat ke wáste, ya‘ní Ḳhudáwand ke liye soḳhtaní qurbání chaṛháne ko áeṉ, 21to apne apne háth páṉw dho leṉ, táki mar na jáeṉ. Yih us ke aur us kí aulád ke liye nasl dar nasl dáimí rasm ho.
22Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 23ki Tú maqdis kí misqál ke hisáb se ḳháss ḳháss ḳhushbúdár masálih lená; ya‘ní apne áp niklá húá murr páṉch sau misqál, aur us ká ádhá, ya‘ní ḍháí sau misqál dárchíní, aur ḳhushbúdár agar ḍháí sau misqál. 24Aur taj páṉch sau misqál, aur zaitún ká tel ek hín; 25aur tú un se masah karne ká pák tel banáná, ya‘ní un ko gandhí kí hikmat ke mutábiq milákar ek ḳhushbúdár raug̣an taiyár karná. Yihí masah karne ká pák tel hogá. 26Isí se tú ḳhaima e ijtimá‘ ko, aur shahádat ke sandúq ko, 27aur mez ko us ke zurúf samet, aur sham‘adán ko, us ke zurúf samet, aur baḳhúr jaláne kí qurbángáh ko, 28aur soḳhtaní qurbání chaṛháne ke mazbah ko, us ke sab zurúf samet, aur hauz ko aur us kí kursí ko, masah karná; 29aur tú un ko muqaddas karná, táki wuh niháyat pák ho jáeṉ: jo kuchh un se chhú jáegá, wuh pák ṭhahregá. 30Aur tú Hárún aur us ke beṭoṉ ko masah karná, aur un ko muqaddas karná, táki wuh mere liye káhin kí ḳhidmat ko anjám deṉ. 31Aur tú baní Isráíl se kah dená, ki Yih tel mere liye tumhárí pusht dar pusht masah karne ká pák tel hogá. 32Yih kisí ádmí ke jism par na ḍálá jáe, aur na tum koí âur raug̣an is kí tarkíb se banáná; is liye ki yih muqaddas hai, aur tumháre nazdík muqaddas ṭhahre. 33Jo koí is kí tarah kuchh banáe, yá is meṉ se kuchh kisí ajnabí par lagáe, wuh apní qaum meṉ se káṭ ḍálá jáe.
34Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Tú ḳhushbúdár masálih murr, aur mastakí, aur laun, aur ḳhushbúdár masálih ke sáth ḳhális lubán wazn meṉ barábar barábar lená, 35aur namak milákar un se gandhí kí hikmat ke mutábiq ḳhushbúdár raug̣an kí tarah sáf aur pák baḳhúr banáná. 36Aur is meṉ se kuchh ḳhúb bárík pískar ḳhaima e ijtimá‘ meṉ shahádat ke sandúq ke sámne, jaháṉ maiṉ tujh se milá karúṉgá, rakhná. Yih tumháre liye niháyat pák ṭhahre. 37Aur jo baḳhúr tú banáe, us kí tarkíb ke mutábiq tú apne liye kuchh na banáná. Wuh baḳhúr tumháre nazdík Ḳhudáwand ke liye pák ho. 38Jo koí súṉghne ke liye bhí us kí tarah kuchh banáe, wuh apní qaum meṉ se káṭ ḍálá jáe.

Currently Selected:

Ḳhurúj 30: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in