YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 31

31
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Dekh, maiṉ ne Bazalíel bin Úrí, bin Húr ko Yahúdáh ke qabíle meṉ se nám lekar buláyá hai: 3aur maiṉ ne us ko hikmat, aur fahm, aur ‘ilm, aur har tarah kí san‘at meṉ, rúhu’lláh se ma‘múr kiyá hai; 4táki hunarmandí ke kámoṉ ko íjád kare, aur sone, aur chándí, aur pítal kí chízeṉ banáe, 5aur patthar ko jaṛne ke liye káṭe, aur lakṛí ko taráshe, jis se sab tarah kí kárígarí ká kám ho. 6Aur dekh, Maiṉ ne Ahlíáb ko, jo Aḳhísamak ká beṭá, aur Dán ke qabíle meṉ se hai, us ká sáthí muqarrar kiyá hai, aur maiṉ ne sab raushanzamíroṉ ke dil meṉ aisí samajh rakkhí hai: ki jin jin chízoṉ ká maiṉ ne tujh ko hukm diyá hai, un sabhoṉ ko wuh baná sakeṉ; 7ya‘ní ḳhaima e ijtimá‘ aur shahádat ká sandúq, aur sarposh, jo us ke úpar rahegá, aur ḳhaime ká sab sámán, 8aur mez, aur us ke zurúf, aur ḳhális sone ká sham‘adán, aur us ke sab zurúf, aur baḳhúr jaláne kí qurbángáh, 9aur soḳhtaní qurbání kí qurbángáh, aur us ke sab zurúf, aur hauz, aur us kí kursí, 10aur bel búṭe kaṛhe húe jáme, aur Hárún káhin ke muqaddas libás, aur us ke beṭoṉ ke libás, táki káhin kí ḳhidmat ko anjám deṉ. 11Aur masah karne ká tel, aur maqdis ke liye ḳhushbúdár masálah ká baḳhúr: in sabhoṉ ko wuh, jaisá maiṉ ne tujhe hukm diyá hai, waisá hí banáeṉ.
12Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 13Tú baní Isráíl se yih bhí kah dená, ki Tum mere sabtoṉ ko zarúr mánná; is liye ki yih mere aur tumháre darmiyán tumhárí pusht dar pusht ek nishán rahegá, táki tum jáno ki maiṉ Ḳhudáwand tumhárá pák karnewálá húṉ. 14Pas, tum sabt ko mánná, is liye ki wuh tumháre liye muqaddas hai; jo koí us kí behurmatí kare, wuh zarúr már ḍálá jáe. Jo us meṉ kuchh kám kare, wuh apní qaum meṉ se káṭ ḍálá jáe. 15Chha din kám káj kiyá jáe; lekin sátwáṉ din árám ká sabt hai, jo Ḳhudáwand ke liye muqaddas hai. Jo koí sabt ke din kám kare, wuh zarúr már ḍálá jáe. 16Pas, baní Isráíl sabt ko máneṉ, aur pusht dar pusht use dáimí ‘ahd jánkar us ká liház rakkheṉ. 17Mere aur baní Isráíl ke darmiyán yih hamesha ke liye ek nishán rahegá; is liye ki chha din meṉ Ḳhudáwand ne ásmán aur zamín ko paidá kiyá, aur sátweṉ dín árám karke tázadam húá.
18Aur jab Ḳhudáwand koh i Síná par Músá se báteṉ kar chuká, to us ne use shahádat kí do lauheṉ díṉ. Wuh lauheṉ patthar kí, aur Ḳhudá ke háth kí likhí húí thíṉ.

Currently Selected:

Ḳhurúj 31: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in