YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 32

32
1Aur jab logoṉ ne dekhá, ki Músá ne paháṛ se utarne meṉ der lagáí, to wuh Hárún ke pás jama‘ hokar us se kahne lage, ki Uṭh, hamáre liye deotá baná de, jo hamáre áge áge chale; kyúṉki ham nahíṉ jánte ki is mard Músá ko, jo ham ko mulk i Misr se nikálkar láyá, kyá ho gayá. 2Hárún ne un se kahá, Tumhárí bíwiyoṉ aur laṛkoṉ, aur laṛkiyoṉ ke kánoṉ meṉ jo sone kí báliyáṉ haiṉ, un ko utárkar mere pás le áo. 3Chunáṉchi sab log un ke kánoṉ se sone kí báliyáṉ utár utárkar un ko Hárún ke pás le áe. 4Aur us ne un ko un ke háthoṉ se lekar ek ḍhálá húá bachhṛá banáyá, jis kí súrat chhení se ṭhík kí. Tab wuh kahne lage, Ai Isráíl, yihí tumhárá wuh deotá hai, jo tum ko mulk i Misr se nikálkar láyá. 5Yih dekhkar Hárún ne us ke áge ek qurbángáh banáí; aur us ne i‘lán kar diyá, ki Kal Ḳhudáwand ke liye ‘íd hogí. 6Aur dúsre din subh sawere uṭhkar unhoṉ ne qurbáníáṉ chaṛháíṉ, aur salámatí kí qurbáníáṉ guzráníṉ. Phir un logoṉ ne baiṭhkar kháyá piyá, aur uṭhkar khel kúd meṉ lag gaye.
7Tab Ḳhudáwand ne Músá ko kahá, Níche já; kyúṉki tere log, jin ko tú mulk i Misr se nikál láyá, bigaṛ gaye haiṉ. 8Wuh us ráh se, jis ká maiṉ ne un ko hukm diyá thá, bahut jald phir gaye haiṉ; unhoṉ ne apne liye ḍhálá húá bachhṛá banáyá, aur use pújá, aur us ke liye qurbání chaṛhákar yih bhí kahá, ki Ai Isráíl, yih tumhárá wuh deotá hai, jo tum ko Misr ke mulk se nikálkar láyá. 9Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Maiṉ is qaum ko dekhtá húṉ, ki yih gardankash qaum hai. 10Is liye tú mujhe ab chhoṛ de, ki merá g̣azab un par bhaṛke, aur maiṉ un ko bhasam kar dúṉ: aur maiṉ tujhe ek baṛí qaum banáúṉgá. 11Tab Músá ne Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke áge minnat karke kahá, Ai Ḳhudáwand, kyúṉ terá g̣azab apne logon par bhaṛaktá hai, jin ko tú quwwat i ‘azím aur dast i qawí se mulk i Misr se nikálkar láyá hai? 12Misrí log yih kyúṉ kahne páeṉ, ki Wuh un ko buráí ke liye nikál le gayá, táki un ko paháṛoṉ meṉ már ḍále, aur un ko rú e zamín par se faná kar de? So tú apne qahr o g̣azab se báz rah, aur apne logoṉ se is buráí karne ke ḳhayál ko chhoṛ de. 13Tú apne bandoṉ Abrahám, aur Izháq, aur Ya‘qúb ko yád kar, jin se tú ne apní hí qasam khákar yih kahá thá, ki Maiṉ tumhárí nasl ko ásmán ke tároṉ kí mánind baṛháúṉgá; aur yih sárá mulk, jis ká maiṉ ne zikr kiyá hai, tumhárí nasl ko baḳhshúṉgá, ki wuh sadá us ke málik raheṉ. 14Tab Ḳhudáwand ne us buráí ke ḳhayál ko chhoṛ diyá, jo us ne kahá thá ki apne logoṉ se karegá.
15Aur Músá shahádat kí donoṉ lauheṉ háth meṉ liye húe ulṭá phirá, aur paháṛ se níche utrá; aur wuh lauheṉ idhar se aur udhar se donoṉ taraf se likhí húí thíṉ. 16Aur wuh lauheṉ Ḳhudá hí kí banáí húí thíṉ, aur jo likhá húá thá, wuh bhí Ḳhudá hí ká likhá, aur un par kanda kiyá húá thá. 17Aur jab Yashú‘ ne logoṉ kí lalkár kí áwáz suní, to Músá se kahá, ki Lashkargáh meṉ laṛáí ká shor ho rahá hai. 18Músá ne kahá, Yih áwáz na to fathmandoṉ ká na‘ra hai, na mag̣lúboṉ kí faryád; balki mujhe to gánewáloṉ kí áwáz sunáí detí hai. 19Aur lashkargáh ke nazdík ákar us ne wuh bachhṛá aur un ká náchná dekhá. Tab Músá ká g̣azab bhaṛká, aur us ne un lauhoṉ ko apne háthoṉ meṉ se paṭak diyá, aur un ko paháṛ ke níche toṛ ḍálá. 20Aur us ne us bachhṛe ko, jise unhoṉ ne banáyá thá, liyá, aur us ko ág meṉ jaláyá, aur use bárík pískar pání par chhiṛká, aur usí meṉ se baní Isráíl ko pilwáyá. 21Aur Músá ne Hárún se kahá, ki In logoṉ ne tere sáth kyá kiyá thá, jo tú ne in ko itne baṛe gunáh meṉ phaṉsá diyá? 22Hárún ne kahá, ki Mere málik ká g̣azab na bhaṛke; tú in logoṉ ko jántá hai, ki badí par tule rahte haiṉ. 23Chunáṉchi in hí ne mujh se kahá, ki Hamáre liye deotá baná de, jo hamáre áge áge chale, kyúṉki ham nahíṉ jánte ki is ádmí Músá ko, jo ham ko Misr ke mulk se nikálkar láyá, kyá ho gayá. 24Tab maiṉ ne in se kahá, ki Jis jis ke háṉ soná ho, wuh use utár láe. Pas inhoṉ ne use mujh ko diyá, aur maiṉ ne use ág meṉ ḍálá, to yih bachhṛá nikal paṛá. 25Jab Músá ne dekhá, ki log beqábú ho gaye, kyúṉki Hárún ne un ko belagám chhoṛkar un ko un ke dushmanoṉ ke darmiyán zalíl kar diyá, 26to Músá ne lashkargáh ke darwáze par khaṛe hokar kahá, Jo jo Ḳhudáwand kí taraf hai, wuh mere pás á jáe. Tab sab baní Láwí us ke pás jama‘ ho gaye. 27Aur us ne un se kahá, ki Ḳhudáwand Isráíl ká Ḳhudá yúṉ farmátá hai, ki Tum apní apní rán se talwár laṭkákar pháṭak pháṭak ghúm ghúmkar sárí lashkargáh meṉ apne apne bháiyoṉ, aur apne apne sáthíoṉ, aur apne apne paṛausiyoṉ ko qatl karte phiro. 28Aur baní Láwí ne Músá ke kahne ke muwáfiq ‘amal kiyá. Chunáṉchi us din logoṉ meṉ se qaríban tín hazár mard khet áe. 29Aur Músá ne kahá, ki Áj Ḳhudáwand ke liye apne áp ko maḳhsús karo; balki har shaḳhs apne hí beṭe aur apne hí bháí ke ḳhiláf ho, táki wuh tum ko áj hí barakat de. 30Aur dúsre din Músá ne logoṉ se kahá, ki Tum ne baṛá gunáh kiyá: aur ab maiṉ Ḳhudáwand ke pás úpar játá húṉ. Sháyad maiṉ tumháre gunáh ká kaffára de sakúṉ. 31Aur Músá Ḳhudáwand ke pás lauṭkar gayá, aur kahne lagá, Háe, in logoṉ ne baṛá gunáh kiyá, ki apne liye sone ká deotá banáyá. 32Aur ab agar tú in ká gunáh mu‘áf kar de, to ḳhair; warna merá nám us kitáb meṉ se, jo tú ne likhí hai, miṭá de. 33Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Jis ne merá gunáh kiyá hai, maiṉ usí ke nám ko apní kitáb meṉ se miṭáúṉgá. 34Ab tú rawána ho aur logoṉ ko us jagah le já, jo maiṉ ne tujhe batáí hai. Dekh, merá firishta tere áge áge chalegá; lekin maiṉ apne mutálaba ke din un ko un ke gunáh kí sazá dúṉgá. 35Aur Ḳhudáwand ne un logoṉ meṉ marí bhejí, kyúṉki jo bachhṛá Hárún ne banáyá, wuh un hí ká banwáyá húá thá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 32: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in