YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 34

34
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Pahlí lauhoṉ kí mánind patthar kí do lauheṉ apne liye tarásh lená: aur maiṉ un lauhoṉ par wuhí báteṉ likh dúṉgá, jo pahlí lauhoṉ par, jin ko tú ne toṛ ḍálá, marqúm thíṉ. 2Aur subh tak taiyár ho jáná, aur sawere hí koh i Síná par ákar waháṉ paháṛ kí choṭí par mere sámne házir honá. 3Par tere sáth koí âur ádmí na áe; aur na paháṛ par kahíṉ koí dúsrá shaḳhs dikháí de. Bheṛ bakriyáṉ aur gáe bail bhí paháṛ ke sámne charne na páeṉ. 4Aur Músá ne pahlí lauhoṉ kí mánind patthar kí do lauheṉ taráshíṉ; aur subh sawere uṭhkar patthar kí donoṉ lauheṉ háth meṉ liye húe Ḳhudáwand ke hukm ke mutábiq koh i Síná par chaṛh gayá. 5Tab Ḳhudáwand abr meṉ hokar utrá, aur us ke sáth waháṉ khaṛe hokar Ḳhudáwand ke nám ká i‘lán kiyá. 6Aur Ḳhudáwand us ke áge se yih pukártá húá guzrá: Ḳhudáwand, Ḳhudáwand Ḳhudá e rahím aur mihrbán, qahr karne meṉ dhíma aur shafaqat aur wafá meṉ g̣aní; 7hazároṉ par fazl karnewálá, gunáh aur taqsír aur ḳhatá ká baḳhshnewálá: lekin wuh mujrim ko hargiz barí nahíṉ karegá, balki bápdádá ke gunáh kí sazá un ke beṭoṉ aur potoṉ ko tísrí aur chauthí pusht tak detá hai. 8Tab Musá ne jaldí se sir jhukákar sijda kiyá, 9aur kahá, Ai Ḳhudáwand, agar mujh par tere karam kí nazar hai, to, ai Ḳhudáwand, maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki hamáre bích meṉ hokar chal; go yih qaum gardankash hai: aur tú hamáre gunáh aur ḳhatá ko mu‘áf kar, aur ham ko apní mírás kar le. 10Us ne kahá, Dekh, maiṉ ‘ahd báṉdhtá húṉ, ki tere sab logoṉ ke sámne aisí karámát karúṉgá, jo dunyá bhar meṉ âur kisí qaum meṉ kabhí kí nahíṉ gayíṉ; aur wuh sab log, jin ke bích tú rahtá hai, Ḳhudáwand ke kám ko dekheṉge, kyúṉki jo maiṉ tum logoṉ se karne ko húṉ, wuh haibatnák kám hogá. 11Áj ke din jo hukm maiṉ tujhe detá húṉ, tú use yád rakhná. Dekh, maiṉ Amoríoṉ, aur Kan‘áníoṉ, aur Hittíoṉ, aur Farizzíoṉ, aur Hawwíoṉ, aur Yabúsíoṉ ko tere áge se nikáltá húṉ. 12So ḳhabardár rahná, ki jis mulk ko tum játe ho, us ke báshindoṉ se koí ‘ahd na báṉdhná, aisá na ho ki wuh tum logoṉ ke liye phandá ṭhahre. 13Balki tum un kí qurbángáhoṉ ko ḍhá dená, aur un ke sutúnoṉ ke ṭukṛe ṭukṛe kar dená, aur un kí Yasíratoṉ ko káṭ ḍálná. 14Kyúṉki tum ko kisí dúsre ma‘búd kí parastish nahíṉ karní hogí; is liye ki Ḳhudáwand, jis ká nám G̣aiyúr hai, wuh Ḳhudá e g̣aiyúr hai bhí. 15So aisá na ho ki tum us mulk ke báshindoṉ se koí ‘ahd báṉdh lo, aur jab wuh apne ma‘búdoṉ kí pairawí meṉ zinákár ṭhahreṉ, aur apne ma‘búdoṉ ke liye qurbání kareṉ, aur koí tum ko da‘wat de, aur tum us kí qurbání meṉ se kuchh khá lo, 16aur tum un kí beṭiyáṉ apne beṭoṉ se biyáho, aur un kí beṭiyáṉ apne ma‘búdoṉ kí pairawí meṉ zinákár ṭhahreṉ, aur tumháre beṭoṉ ko bhí apne ma‘búdoṉ kí pairawí meṉ zinákár baná deṉ. 17Tum apne liye ḍhále húe deotá na baná lená. 18Tum beḳhamírí roṭí kí ‘íd máná karná. Mere hukm ke mutábiq sát din tak Abíb ke mahíne meṉ waqt i mu‘aiyana par beḳhamírí roṭiyáṉ kháná: kyúṉki máh i Abíb meṉ tum Misr se nikle the. 19Sab pahlauṭhe mere haiṉ; aur tere chaupáyoṉ meṉ jo nar pahlauṭhe hoṉ, kyá bachhṛe, kyá barre, sab mere hoṉge. 20Lekin gadhe ke pahle bachche ká fidya barra dekar hogá; aur agar fidya dená na cháho, to us kí gardan toṛ ḍálná. Par apne sab pahlauṭhe beṭoṉ ká fidya zarúr dená: aur koí mere sámne ḳhálí háth dikháí na de. 21Chha din kám káj karná, lekin sátweṉ din árám karná; hal jotne aur fasl káṭne ke mausim meṉ bhí árám karná. 22Aur tum gehúṉ ke pahle phal ke káṭne ke waqt haftoṉ kí ‘íd, aur sál ke áḳhir meṉ fasl jama‘ karne kí ‘íd máná karná. 23Tumháre sab mard sál meṉ tín bár Ḳhudáwand Ḳhudá ke áge, jo Isráíl ká Ḳhudá hai, házir hoṉ. 24Kyúṉki maiṉ qaumoṉ ko tumháre áge se nikálkar tumhárí sarhaddoṉ ko baṛhá dúṉgá: aur jab sál meṉ tín bár tum Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke áge házir hoge, to koí shaḳhs tumhárí zamín ká lálach na karegá. 25Tum merí qurbání ká ḳhún ḳhamírí roṭí ke sáth na guzránná; aur ‘íd i fasah kí qurbání meṉ se kuchh subh tak báqí na rahne dená. 26Apní zamín kí pahlí paidáwár ká pahlá phal Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke ghar meṉ láná. Halwán ko usí kí máṉ ke dúdh meṉ na pakáná. 27Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Tú yih báteṉ likh; kyúṉki in hí bátoṉ ke mafhúm ke mutábiq maiṉ tujh se aur Isráíl se ‘ahd báṉdhtá húṉ. 28So wuh chálís din aur chálís rát wahíṉ Ḳhudáwand ke pás rahá, aur na roṭí kháí, na pání piyá; aur us ne un lauhoṉ par us ‘ahd kí bátoṉ ko, ya‘ní das ahkám ko likhá.
29Aur jab Músá shahádat kí donoṉ lauheṉ apne háth meṉ liye húe koh i Síná se utrá átá thá, to paháṛ se níche utarte waqt use ḳhabar na thí, ki Ḳhudáwand ke sáth báteṉ karne kí wajh se us ká chihra chamak rahá hai. 30Aur jab Hárún aur baní Isráíl ne Músá par nazar kí, aur us ke chihre ko chamakte dekhá, to us ke nazdík áne se ḍare. 31Tab Músá ne un ko buláyá, aur Hárún aur jamá‘at ke sab sardár us ke pás lauṭ áe; aur Músá un se báteṉ karne lagá. 32Aur ba‘d meṉ sab baní Isráíl nazdík áe: aur us ne wuh sab ahkám, jo Ḳhudáwand ne koh i Síná par báteṉ karte waqt use diye the, un ko batáe. 33Aur jab Músá un se báteṉ kar chuká, to us ne apne muṉh par niqáb ḍál liyá. 34Aur jab Músá Ḳhudáwand se báteṉ karne ke liye us ke sámne játá, to báhar nikalne ke waqt tak niqáb ko utáre rahtá thá: aur jo hukm use miltá thá, wuh use báhar ákar baní Isráíl ko batá detá thá. 35Aur baní Isráíl Músá ke chihre ko dekhte the, ki us ke chihra kí jild chamak rahí hai; aur jab tak Músá Ḳhudáwand se báteṉ karne na játá, tab tak apne muṉh par niqáb ḍále rahtá thá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 34: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in