YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 4

4
1Tab Músá ne jawáb diyá, Lekin wuh to merá yaqín hí nahíṉ kareṉge, na merí bát suneṉge; wuh kaheṉge ki Ḳhudáwand tujhe dikháí nahíṉ diyá. 2Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Yih tere háth meṉ kyá hai? Us ne kahá, Láṭhí. 3Phir us ne kahá, ki Use zamín par ḍál de. Us ne use zamín par ḍálá, aur wuh sáṉp ban gayí; aur Músá us ke sámne se bhágá. 4Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Háth baṛhákar us kí dum pakaṛ le. (Us ne háth baṛháyá, aur use pakaṛ liyá: wuh us ke háth meṉ láṭhí ban gayá.) 5Táki wuh yaqín kareṉ, ki Ḳhudáwand, un ke bápdádá ká Ḳhudá, Abrahám ká Ḳhudá, Izháq ká Ḳhudá, aur Ya‘qúb ká Ḳhudá, tujh ko dikháí diyá. 6Phir Ḳhudáwand ne use yih bhí kahá, ki Tú apná háth apne síne par rakhkar ḍháṉk le. Us ne apná háth apne síne par rakhkar use ḍháṉk liyá: aur jab us ne use nikálkar dekhá, to us ká háth koṛh se barf kí mánind safed thá. 7Us ne kahá, ki Tú apná háth phir apne síne par rakhkar ḍháṉk le. (Us ne phir use síne par rakhkar ḍháṉk liyá: jab us ne use síne par se báhar nikálkar dekhá, to wuh phir us ke báqí jism kí mánind ho gayá.) 8Aur yúṉ hogá, ki agar wuh terá yaqín na kareṉ aur pahle mu‘jize ko bhí na máneṉ, to wuh dúsre mu‘jize ke sabab se yaqín kareṉge. 9Aur agar wuh in donoṉ mu‘jizoṉ ke sabab se bhí yaqín na kareṉ, aur terí bát na suneṉ, to tú daryá ká pání lekar ḳhushk zamín par chhiṛak dená; aur wuh pání, jo tú daryá se legá, ḳhushk zamín par ḳhún ho jáegá. 10Tab Músá ne Ḳhudáwand se kahá, Ai Ḳhudáwand, maiṉ fasíh nahíṉ, na to pahle hí thá, aur na jab se tú ne apne bande se kalám kiyá; balki maiṉ ruk rukkar boltá húṉ, aur merí zabán kund hai. 11Tab Ḳhudáwand ne use kahá, ki Ádmí ká muṉh kis ne banáyá hai? aur kaun gúṉgá, yá bahrá, yá bíná, yá andhá kartá hai? kyá maiṉ hí, jo Ḳhudáwand húṉ, yih nahíṉ kartá? 12So, ab tú já, aur maiṉ terí zabán ká zimma letá húṉ, aur tujhe sikhátá rahúṉgá ki tú kyá kyá kahe. 13Tab us ne kahá, ki Ai Ḳhudáwand, maiṉ terí minnat kartá húṉ, kisí âur ke háth se, jise tú cháhe yih paig̣ám bhej. 14Tab Ḳhudáwand ká qahr Músá par bhaṛká, aur us ne kahá, Kyá Láwíoṉ meṉ se Hárún terá bháí nahíṉ hai? Maiṉ jántá húṉ ki wuh fasíh hai. Aur wuh terí muláqát ko á bhí rahá hai, aur tujhe dekhkar dil meṉ ḳhush hogá. 15So tú use sab kuchh batáná, aur yih sab báteṉ use sikháná; aur maiṉ terí aur us kí zabán ká zimma letá húṉ, aur tum ko sikhátá rahúṉgá ki tum kyá kyá karo. 16Aur wuh terí taraf se logoṉ se báteṉ karegá: aur wuh terá muṉh banegá, aur tú us ke liye goyá Ḳhudá hogá. 17Aur tú is láṭhí ko apne háth meṉ liye já aur isí se in mu‘jizoṉ ko dikháná.
18Tab Músá lauṭkar apne ḳhusar Yitro ke pás gayá aur use kahá, ki Mujhe zará ijázat de, ki apne bháiyoṉ ke pás, jo Misr meṉ haiṉ, jáúṉ, aur dekhúṉ, ki wuh ab tak jíte haiṉ ki nahíṉ. Yitro ne Músá se kahá, Salámat já. 19Aur Ḳhudáwand ne Midyán meṉ Músá se kahá, ki Misr ko lauṭ já; kyúṉki wuh sab, jo terí ján ke ḳhwáháṉ the, mar gaye. 20Tab Músá apní bíwí aur apne beṭoṉ ko lekar aur un ko ek gadhe par chaṛhákar Misr ko lauṭá; aur Músá ne Ḳhudá kí láṭhí apne háth meṉ le lí. 21Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Jab tú Misr meṉ pahuṉche, to dekh, wuh sab karámát jo maiṉ ne tere háth meṉ rakkhí haiṉ, Fir‘aun ke áge dikháná; lekin maiṉ us ke dil ko saḳht karúṉgá, aur wuh un logoṉ ko jáne nahíṉ degá. 22Aur tú Fir‘aun se kahná, ki Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Isráíl merá beṭá, balki merá pahlauṭhá hai: 23aur maiṉ tujhe kah chuká húṉ, ki Mere beṭe ko jáne de, táki wuh merí ‘ibádat kare: aur tú ne ab tak use jane dene se inkár kiyá hai. So dekh, maiṉ tere beṭe ko, balki tere pahlauṭhe ko, már ḍálúṉgá. 24Aur ráste meṉ manzil par Ḳhudáwand use milá, aur cháhá ki use már ḍále. 25Tab Saffúrah ne chaqmaq ká ek patthar lekar apne beṭe kí khalṛí káṭ ḍálí, aur use Músá ke paṉwoṉ par pheṉkkar kahá, Tú beshakk mere liye ḳhúní dulhá ṭhahrá. 26Tab us ne use chhoṛ diyá. Pas us ne kahá, ki Ḳhatna ke sabab se tú ḳhúní dulhá hai.
27Aur Ḳhudáwand ne Hárún se kahá, ki Biyábán meṉ jákar Músá se muláqát kar. Wuh gayá, aur Ḳhudá ke paháṛ par us se milá, aur use bosa diyá. 28Aur Músá ne Hárún ko batáyá ki Ḳhudá ne kyá kyá báteṉ kahkar use bhejá, aur kaun kaun mu‘jize dikháne ká use hukm diyá hai. 29Tab Músá aur Hárún ne jákar baní Isráíl ke sab buzurgoṉ ko ek jagah jama‘ kiyá. 30Aur Hárún ne sab báteṉ, jo Ḳhudáwand ne Músá se kahí thíṉ, un ko batáíṉ; aur logoṉ ke sámne mu‘jize kiye. 31Tab logoṉ ne un ká yaqín kiyá. Aur yih sunkar ki Ḳhudáwand ne baní Isráíl kí ḳhabar lí, aur un ke dukhoṉ par nazar kí, unhoṉ ne apne sir jhukákar sijda kiyá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 4: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in