YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 5

5
1Is ke ba‘d Músá aur Hárún ne jákar, Fir‘aun se kahá, ki Ḳhudáwand Isráíl ká Ḳhudá yúṉ farmátá hai, ki Mere logoṉ ko jáne de, táki wuh biyábán meṉ mere liye ‘íd kareṉ. 2Fir‘aun ne kahá, ki Ḳhudáwand kaun hai, ki maiṉ us kí bát ko mánkar baní Isráíl ko jáne dúṉ? Maiṉ Ḳhudáwand ko nahíṉ jántá, aur maiṉ baní Isráíl ko jáne bhí nahíṉ dúṉgá. 3Tab unhoṉ ne kahá, ki ‘Ibráníoṉ ká Ḳhudá ham se milá hai: so ham ko ijázat de, ki ham tín din kí manzil biyábán meṉ jákar Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke liye qurbání kareṉ; tá na ho, ki wuh ham meṉ wabá bhej de yá ham ko talwár se marwá de. 4Tab Misr ke bádsháh ne un ko kahá, Ai Músá, aur ai Hárún, tum kyúṉ in logoṉ ko in ke kám se chhuṛwáte ho? Tum jákar apne apne bojh ko uṭháo. 5Aur Fir‘aun ne yih bhí kahá, Dekho, Yih log is mulk meṉ bahut ho gaye haiṉ, aur tum in ko in ke kám se biṭháte ho. 6Aur usí din Fir‘aun ne begár lenewáloṉ aur sardároṉ ko, jo logoṉ par the, hukm kiyá: 7ki Ab áge ko tum in logoṉ ko íṉṭeṉ banáne ke liye bhus na dená, jaise ab tak dete rahe; wuh ḳhud hí jákar apne liye bhus baṭoreṉ. 8Aur in se utní hí íṉṭeṉ banwáná, jitní wuh ab tak banáte áe haiṉ. Tum us meṉ se kuchh na ghaṭáná, kyúṉki wuh káhil ho gaye haiṉ, isí liye chillá chillákar kahte haiṉ, ki Ham ko jáne do, ki ham apne Ḳhudá ke liye qurbání kareṉ. 9So in se ziyáda saḳht mihnat lí jáe, táki kám meṉ mashg̣úl raheṉ, aur jhúṭhí bátoṉ se dil na lagáeṉ. 10Tab begár lenewáloṉ aur sardároṉ ne, jo logoṉ par the, jákar un se kahá, ki Fir‘aun kahtá hai, Maiṉ tum ko bhus nahíṉ dene ká. 11Tum ḳhud hí jáo, aur jaháṉ kahíṉ tum ko bhus mile waháṉ se láo, kyúṉki tumhárá kám kuchh bhí ghaṭáyá nahíṉ jáegá. 12Chunáṉchi wuh log tamám mulk i Misr meṉ máre máre phirne lage, ki bhus ke ‘iwaz khúṉṭí jama‘ kareṉ. 13Aur begár lenewále yih kahkar jaldí karáte the, ki Tum apná roz ká kám jaise bhus pákar karte the, ab bhí karo. 14Aur baní Isráíl meṉ se, jo jo Fir‘aun ke begár lenewáloṉ kí taraf se in logoṉ par sardár muqarrar húe the, un par már paṛí, aur un se púchhá gayá, ki Kyá sabab hai, ki tum ne pahle kí tarah áj aur kal púrí púrí íṉṭeṉ nahíṉ banwáíṉ? 15Tab un sardároṉ ne, jo baní Isráíl meṉ se muqarrar húe the, Fir‘aun ke áge jákar faryád kí aur kahá, ki Tú apne ḳhádimoṉ se aisá sulúk kyúṉ kartá hai? 16Tere ḳhádimoṉ ko bhus to diyá nahíṉ játá, aur wuh ham se kahte rahte haiṉ, ki Íṉṭeṉ banáo: aur dekh, tere ḳhádim már bhí kháte haiṉ, par qusúr tere logoṉ ká hai. 17Us ne kahá, Tum sab káhil ho, káhil, isí liye tum kahte ho, ki Ham ko jáne de, ki Ḳhudáwand ke liye qurbání kareṉ. 18So ab tum jáo, kám karo; kyúṉki bhus tum ko nahíṉ milegá, aur íṉṭoṉ ko tumheṉ usí hisáb se dená paṛegá. 19Jab baní Isráíl ke sardároṉ se yih kahá gayá, ki Tum apní íṉṭoṉ aur roz marra ke kám meṉ kuchh bhí kamí nahíṉ karne páoge, to wuh ján gaye ki wuh kaise wabál meṉ phaṉse húe haiṉ. 20Jab wuh Fir‘aun ke pás se nikle á rahe the, to un ko Músá aur Hárún muláqát ke liye ráste par khaṛe mile. 21Tab unhoṉ ne un se kahá, ki Ḳhudáwand hí dekhe, aur tumhárá insáf kare; kyúṉki tum ne ham ko Fir‘aun aur us ke ḳhádimoṉ kí nigáh meṉ aisá ghinauná kiyá hai ki hamáre qatl ke liye un ke háth meṉ talwár de dí hai. 22Tab Músá Ḳhudáwand ke pás lauṭkar gayá, aur kahá, ki Ai Ḳhudáwand, tú ne in logoṉ ko kyúṉ dukh meṉ ḍálá, aur mujhe kyúṉ bhejá? 23Kyúṉki jab se maiṉ Fir‘aun ke pas tere nám se báteṉ karne gayá, us ne in logoṉ se buráí hí buráí kí; aur tú ne apne logoṉ ko zará bhí riháí na baḳhshí.

Currently Selected:

Ḳhurúj 5: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in