YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 6

6
1Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Ab tú dekhegá ki maiṉ Fir‘aun ke sáth kyá kartá húṉ: tab wuh zoráwar háth ke sabab se un ko jáne degá, aur zoráwar háth hí ke sabab se wuh un ko apne mulk se nikál degá.
2Phir Ḳhudá ne Músá se kahá, Maiṉ Ḳhudáwand húṉ; 3aur main Abrahám, aur Izháq, aur Ya‘qúb ko Ḳhudá e Qádir i Mutlaq ke taur par dikháí diyá, lekin apne Yahowáh nám se un par záhir na húá. 4Aur maiṉ ne un ke sáth apná ‘ahd bhí báṉdhá hai, ki mulk i Kan‘án, jo un kí musáfirat ká mulk thá aur jis meṉ wuh pardesí the, un ko dúṉgá. 5Aur maiṉ ne baní Isráíl ke karáhne ko bhí sunkar, jin ko Misríoṉ ne g̣ulámí meṉ rakh chhoṛá hai, apne us ‘ahd ko yád kiyá hai. 6So tú baní Isráíl se kah, ki Maiṉ Ḳhudáwand húṉ, aur maiṉ tum ko Misríoṉ ke bojhoṉ ke níche se nikál lúṉgá, aur maiṉ tum ko un kí g̣ulámí se ázád karúṉgá, aur maiṉ apná háth baṛhákar, aur un ko baṛí baṛí sazáeṉ dekar tum ko riháí dúṉgá. 7Aur maiṉ tum ko le lúṉgá ki merí qaum ban jáo, aur maiṉ tumhárá ḳhudá húṉgá, aur tum ján loge ki maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ, jo tum ko Misríoṉ ke bojhoṉ ke níche se nikáltá húṉ. 8Aur jis mulk ko Abrahám aur Izháq aur Ya‘qúb ko dene kí qasam maiṉ ne kháí thí, us meṉ tum ko pahuṉchákar use tumhárí mírás kar dúṉgá: Ḳhudáwand maiṉ húṉ. 9Aur Músá ne baní Isráíl ko yih báteṉ suná díṉ, par unhoṉ ne dil kí kuṛhan aur g̣ulámí kí saḳhtí ke sabab se Músá kí bát na suní.
10Phir Ḳhudáwand ne Músá ko farmáyá, 11ki Jákar Misr ke bádsháh Fir‘aun se kah, ki Baní Isráíl ko apne mulk meṉ se jáne de. 12Músá ne Ḳhudáwand se kahá, ki Dekh, baní Isráíl ne to merí suní nahíṉ; pas maiṉ jo námaḳhtún hoṉṭh rakhtá húṉ, Fir‘aun merí kyúṉkar sunegá? 13Tab Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún ko baní Isráíl aur Misr ke bádsháh Fir‘aun ke haqq meṉ is mazmún ká hukm diyá, ki wuh baní Isráíl ko mulk i Misr se nikál le jáeṉ.
14Un ke ábáí ḳhándánoṉ ke sardár yih the: Rúbin, jo Isráíl ká pahlauṭhá thá; us ke beṭe, Hanúk, aur Fallú, aur Hasron, aur Karmí the. Yih Rúbin ke gharáne the. 15Baní Shama‘ún yih the: Yamúel, aur Yamín, aur Ahad, aur Yakín, aur Suhr, aur Sáúl, jo ek Kan‘ání ‘aurat se paidá húá thá: yih Shama‘ún ke gharáne the. 16Aur baní Láwí jin se un kí nasl chalí, un ke nám yih haiṉ: Jairson, aur Qihát, aur Mirárí: aur Láwí kí ‘umr ek sau saiṉtís baras kí húí. 17Baní Jairson, Libní, aur Sima‘í the, in hí se in ke ḳhándán chale. 18Aur baní Qihát; ‘Amrám, aur Izhár, aur Habrún, aur ‘Uzzíel the: aur Qihát kí ‘umr ek sau teṉtís baras kí húí. 19Aur baní Mirárí, Mahlí, aur Múshí the: Láwíoṉ ke gharáne jin se un kí nasl chalí, yihí the. 20Aur ‘Amrám ne apne báp kí bahin Yúkabid se biyáh kiyá; us ‘aurat ke us se Hárún aur Músá paidá húe: aur ‘Amrám kí ‘umr ek sau saiṉtís baras kí húí. 21Baní Izhár, Qorah, aur Nafaj, aur Zikrí the. 22Aur baní ‘Uzzíel; Mísáel, aur Ilsafan, aur Sitrí the. 23Aur Hárún ne Nahson kí bahin ‘Ammínádáb kí beṭí Ilísiba‘ se biyáh kiyá; us se Nadab, aur Abíhú, aur Ilí‘azar, aur Itamar paidá húe. 24Aur baní Qorah; Assír, aur Ilqanah, aur Abíásaf the; aur yih Qorahíoṉ ke gharáne the. 25Aur Hárún ke beṭe Ilí‘azar ne Fútiel kí beṭiyoṉ meṉ se ek ke sáth biyáh kiyá; us se Fínihás paidá húá: Láwíoṉ ke bápdádá ke gharánoṉ ke sardár, jin se un ke ḳhándán chale, yihí the. 26Yih wuh Hárún aur Músá haiṉ, jin ko Ḳhudáwand ne farmáyá, ki Baní Isráíl ko un ke jathoṉ ke mutábiq mulk i Misr se nikál le jáo. 27Yih wuh haiṉ, jinhoṉ ne Misr ke bádsháh Fir‘aun se kahá, ki Ham baní Isráíl ko Misr se nikál le jáeṉge: yih wuhí Músá aur Hárún haiṉ.
28Jab Ḳhudáwand ne mulk i Misr meṉ Músá se báteṉ kíṉ, to yúṉ húá, 29ki Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Maiṉ Ḳhudáwand húṉ: jo kuchh maiṉ tujhe kahúṉ, tú use Misr ke bádsháh Fir‘aun se kahná. 30Músá ne Ḳhudáwand se kahá, Dekh, mere to hoṉṭhoṉ ká ḳhatna nahíṉ húá: Fir‘aun kyúṉkar merí sunegá?

Currently Selected:

Ḳhurúj 6: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in