YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 22

22
1In bátoṉ ke ba‘d yúṉ húá, ki Ḳhudá ne Abrahám ko ázmáyá, aur use kahá, Ai Abrahám: us ne kahá, Maiṉ házir húṉ. 2Tab us ne kahá, ki Tú apne beṭe Izháq ko, jo terá iklautá hai, aur jise tú piyár kartá hai, sáth lekar Moriyáh ke mulk meṉ já, aur waháṉ use paháṛoṉ meṉ se ek paháṛ par, jo maiṉ tujhe batáúṉgá, soḳhtání qurbání ke taur par chaṛhá. 3Tab Abrahám ne subh sawere uṭhkar, apne gadhe par chárjáma kasá, aur apne sáth do jawánoṉ aur apne beṭe Izháq ko liyá, aur soḳhtaní qurbání ke liye lakṛiyáṉ chíríṉ, aur uṭhkar us jagah ko, jo Ḳhudá ne use batáí thí, rawána húá. 4Tísre din Abrahám ne nigáh kí aur us jagah ko dúr se dekhá. 5Tab Abrahám ne apne jawánoṉ se kahá, Tum yahíṉ gadhe ke pás ṭhahro; maiṉ aur yih laṛká donoṉ zará waháṉ tak játe haiṉ, aur sijda karke phir tumháre pás lauṭ áeṉge. 6Aur Abrahám ne soḳhtaní qurbání kí lakṛiyáṉ lekar apne beṭe Izháq par rakkhíṉ, aur ág aur chhurí apne háth meṉ lí; aur donoṉ ikaṭṭhe rawána húe. 7Tab Izháq ne apne báp Abrahám se kahá, Ai báp! Us ne jawáb diyá, ki Ai mere beṭe, maiṉ házir húṉ. Us ne kahá, Dekh, ág aur lakṛiyáṉ to haiṉ; par soḳhtaní qurbání ke liye barra kaháṉ hai? 8Abrahám ne kahá, Ai mere beṭe, Ḳhudá áp hí apne wáste soḳhtaní qurbání ke liye barra muhaiyá kar legá. So wuh donoṉ áge chalte gaye, 9aur us jagah pahuṉche jo Ḳhudá ne batáí thí. Waháṉ Abrahám ne qurbángáh banáí, aur us par lakṛiyáṉ chunín, aur apne beṭe Izháq ko báṉdhá, aur use qurbángáh par lakṛiyoṉ ke úpar rakkhá. 10Aur Abrahám ne háth baṛhákar chhurí lí, ki apne beṭe ko zabh kare. 11Tab Ḳhudáwand ke firishte ne use ásmán se pukárá, ki Ai Abrahám, ai Abrahám: us ne kahá, Maiṉ házir húṉ. 12Phir us ne kahá, ki Tú apná háth laṛke par na chalá, aur na us se kuchh kar, kyúṉki maiṉ ab ján gayá ki tú Ḳhudá se ḍartá hai, is liye ki tú ne apne beṭe ko bhí, jo terá iklautá hai, mujh se dareg̣ na kiyá. 13Aur Abrahám ne nigáh kí, aur apne píchhe ek meṉḍhá dekhá, jis ke síṉg jháṛí meṉ aṭke the. Tab Abrahám ne jákar us meṉḍhe ko pakṛá, aur apne beṭe ke badle soḳhtaní qurbání ke taur par chaṛháyá. 14Aur Abrahám ne us maqám ká nám Yahowáh Yarí rakkhá: chunáṉchi áj tak yih kaháwat hai, ki Ḳhudáwand ke paháṛ par muhaiyá kiyá jáegá. 15Aur Ḳhudáwand ke firishte ne ásmán se dobára Abrahám ko pukárá, aur kahá, ki 16Ḳhudáwand farmátá hai, Chúṉki tú ne yih kám kiyá, ki apne beṭe ko bhí, jo terá iklautá hai, dareg̣ na rakkhá, is liye maiṉ ne bhí apní zát kí qasam kháí hai, ki 17maiṉ tujhe barakat par barakat dúṉgá, aur terí nasl ko baṛháte baṛháte ásmán ke tároṉ, aur samundar ke kanáre kí ret kí mánind kar dúṉgá; aur terí aulád apne dushmanoṉ ke pháṭak kí málik hogí. 18Aur terí nasl ke wasíle se zamín kí sab qaumeṉ barakat páeṉgí; kyúṉki tú ne merí bát mání. 19Tab Abrahám apne jawánoṉ ke pás lauṭ gayá, aur wuh uṭhe, aur ikaṭṭhe Baírsaba‘ ko gaye; aur Abrahám Baírsaba‘ meṉ rahá.
20In bátoṉ ke ba‘d yúṉ húá, ki Abrahám ko yih ḳhabar milí, ki Milkáh ke bhí tere bháí Nahúr se beṭe húe haiṉ; 21ya‘ní ‘Úz jo us ká pahlauṭhá hai, aur us ká bháí Búz, aur Qamúel, Arám ká báp, 22aur Kasad, aur Hazú, aur Fildás, aur Idláf, aur Baitúel. 23Aur Baitúel se Ribqah paidá húí: yih áṭhoṉ Abrahám ke bháí Nahúr se Milkáh ke paidá húe. 24Aur us kí haram se bhí, jis ká nám Rúmah thá, Tibaḳh, aur Jáham, aur Taḳhas, aur Ma‘kah paidá húe.

Currently Selected:

Paidáish 22: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in