YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 23

23
1Aur Sárah kí ‘umr ek sau sattáís baras kí húí; Sárah kí zindagí ke itne hí sál the. 2Aur Sárah ne Qaryatarba‘ meṉ wafát páí. Yih Kan‘án meṉ hai, aur Habrún bhí kahlátá hai; aur Abrahám Sárah ke liye mátam aur nauha karne ko waháṉ gayá. 3Phir Abrahám maiyit ke pás se uṭhkar Baní Hitt se báteṉ karne lagá aur kahá, ki 4Maiṉ tumháre darmiyán pardesí aur g̣aríbu’l watan húṉ. Tum apne háṉ goristán ke liye koí milkíyat mujhe do, táki maiṉ apne murde ko áṉkh ke sámne se haṭákar dafn kar dúṉ. 5Tab Baní Hitt ne Abrahám ko jawáb diyá, ki 6Ai ḳhudáwand, hamárí sun; tú hamáre darmiyán zabardast sardár hai. Hamárí qabroṉ meṉ, jo sab se achchhí ho, us meṉ tú apne murde ko dafn kar. Ham meṉ aisá koí nahíṉ jo tujh se apní qabr ká inkár kare táki tú apná murda dafn na kar sake. 7Abrahám ne uṭhkar aur Baní Hitt ke áge, jo us mulk ke log haiṉ, ádáb bajá lákar 8un se yúṉ guftogú kí, ki Agar tumhárí marzí ho, ki maiṉ apne murde ko áṉkh ke sámne se haṭákar dafn kar dúṉ, to merí ‘arz suno, aur Suhr ke beṭe ‘Ifron se merí sifárish karo, 9ki wuh Makfílah ke g̣ár ko, jo us ká hai, aur us ke khet ke kanáre par hai, us kí púrí qímat lekar mujhe de de, táki wuh goristán ke liye tumháre darmiyán merí milkíyat ho jáe. 10Aur ‘Ifron Baní Hitt ke darmiyán baiṭhá thá. Tab ‘Ifron Híttí ne, Baní Hitt ke sámne, un sab logoṉ ke rúbarú, jo us ke shahr ke darwáze se dáḳhil hote the, Abrahám ko jawáb diyá, 11Ai mere ḳhudáwand! yúṉ na hogá, balki merí sun. Maiṉ yih khet tujhe detá húṉ, aur wuh g̣ár bhí, jo us meṉ hai, tujhe diye detá húṉ. Yih maiṉ apní qaum ke logoṉ ke sámne tujhe detá húṉ. Tú apne murde ko dafn kar. 12Tab Abrahám us mulk ke logoṉ ke sámne jhuká. 13Phir us ne us mulk ke logoṉ ke sunte húe ‘Ifron se kahá, ki Agar tú dená hí cháhtá hai, to merí sun. Maiṉ tujhe us khet ká dám dúṉgá; yih tú mujh se le le, to maiṉ apne murde ko waháṉ dafn karúṉgá. 14‘Ifron ne Abrahám ko jawáb diyá, 15Ai mere ḳhudáwand, merí bát sun; yih zamín chándí kí chár sau misqál kí hai. So mere aur tere darmiyán yih hai kyá? Pas apná murda dafn kar. 16Abrahám ne ‘Ifron kí bát mán lí, so Abrahám ne ‘Ifron ko utní hí chándí tolkar dí, jitní ká zikr us ne Baní Hitt ke sámne kiyá thá, ya‘ní chándí ke chár sau misqál jo saudágaroṉ meṉ ráij thí. 17So ‘Ifron ká wuh khet, jo Makfílah meṉ Mamre ke sámne thá, aur wuh g̣ár, jo us meṉ thá, aur sab daraḳht, jo us khet meṉ aur us kí chároṉ taraf kí hudúd meṉ the, 18yih sab Baní Hitt ke, aur un sab ke rúbarú, jo us ke shahr ke darwáze se dáḳhil hote the, Abrahám kí ḳháss milkíyat qarár diye gaye. 19Is ke ba‘d Abrahám ne apní bíwí Sárah ko Makfílah ke khet ke g̣ár meṉ, jo mulk i Kan‘án meṉ Mamre, ya‘ní Habrún, ke sámne hai, dafn kiyá. 20Chunáṉchi wuh khet, aur wuh g̣ár, jo us meṉ thá, Baní Hitt kí taraf se goristán ke liye Abrahám kí milkíyat qarár diye gaye.

Currently Selected:

Paidáish 23: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in