YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 24

24
1Aur Abrahám za‘íf aur ‘umr rasída húá, aur Ḳhudáwand ne sab bátoṉ meṉ Abrahám ko barakat baḳhshí thí. 2Aur Abrahám ne apne ghar ke sál ḳhurda naukar se, jo us kí sab chízoṉ ká muḳhtár thá, kahá, Tú apná háth zará merí rán ke níche rakh, ki 3maiṉ tujh se Ḳhudáwand kí, jo zamín o ásmán ká Ḳhudá hai, qasam lúṉ, ki tú Kan‘áníoṉ kí beṭiyoṉ meṉ se, jin meṉ maiṉ rahtá húṉ kisí ko mere beṭe se nahíṉ biyáhegá. 4Balki tú mere watan meṉ mere rishtadároṉ ke pás jákar mere beṭe Izháq ke liye bíwí láegá. 5Us naukar ne us se kahá, Sháyad wuh ‘aurat is mulk meṉ mere sáth áná na cháhe: to kyá maiṉ tere beṭe ko us mulk meṉ, jaháṉ se tú áyá, phir le jáúṉ? 6Tab Abrahám ne us se kahá, Ḳhabardár, tú mere beṭe ko waháṉ hargiz na le jáná. 7Ḳhudáwand, ásmán ká Ḳhudá, jo mujhe mere báp ke ghar aur mere zádbúm se nikál láyá, aur jis ne mujh se báteṉ kíṉ aur qasam khákar mujh se kahá, ki Maiṉ terí nasl ko yih mulk dúṉgá; wuhi tere áge áge apná firishta bhejegá, ki tú waháṉ se mere beṭe ke liye bíwí láe. 8Aur agar wuh ‘aurat tere sáth áná na cháhe, to tú merí is qasam se chhúṭá; par mere beṭe ko hargiz waháṉ na le jáná. 9Us naukar ne apná háth apne áqá Abrahám kí rán ke níche rakhkar us se is bát kí qasam kháí. 10Tab wuh naukar apne áqá ke úṉṭoṉ meṉ se das úṉṭ lekar rawána húá, aur us ke áqá kí achchhí achchhí chízeṉ us ke pás thíṉ; aur wuh uṭhkar Masopatámiya meṉ Nahúr ke shahr ko gayá. 11Aur shám ko, jis waqt ‘aurateṉ pání bharne átí haiṉ, us ne us shahr ke báhar báolí ke pás úṉṭoṉ ko biṭháyá, 12aur kahá, Ai Ḳhudáwand, mere áqá Abrahám ke Ḳhudá, maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki áj tú merá kám baná de, aur mere áqá Abrahám par karam kar. 13Dekh, maiṉ pání ke chashme par khaṛá húṉ; aur is shahr ke logoṉ kí beṭiyáṉ pání bharne ko átí haiṉ: 14so aisá ho ki jis laṛkí se maiṉ kahúṉ, ki Tú zará apná ghaṛá jhuká de to maiṉ pání pí lúṉ, aur wuh kahe, ki Le, pí, aur maiṉ tere úṉṭoṉ ko bhí pilá dúṉgí, to wuh wuhí ho, jise tú ne apne bande Izháq ke liye ṭhahráyá hai; aur isí se maiṉ samajh lúṉgá, ki tú ne mere áqá par karam kiyá hai. 15Wuh yih kah hí rahá thá, ki Ribqah, jo Abrahám ke bháí Nahúr kí bíwí Milkáh ke beṭe Baitúel se paidá húí thí, apná ghaṛá kandhe par liye húe niklí. 16Wuh laṛkí niháyat ḳhúbsúrat, aur kuṉwárí thí, aur mard se náwáqif thí. Wuh níche pání ke chashme ke pás gayí aur apná ghaṛá bharkar úpár áí. 17Tab wuh naukar us se milne ko dauṛá aur kahá, ki Zará apne ghaṛe se thoṛá sá pání mujhe pilá de. 18Us ne kahá, Píjiye, sáhib; aur fauran ghaṛe ko háth par utár use pání piláyá. 19Jab use pilá chukí, to kahne lagí, ki Maiṉ tere úṉṭoṉ ke liye bhí pání bhar bhar láúṉgí, jab tak wuh pí na chukeṉ. 20Aur fauran apne ghaṛe ko hauz meṉ ḳhálí karke phir báolí kí taraf pání bharne dauṛí gayí, aur us ke sab úṉṭoṉ ke liye bhará. 21Wuh ádmí chup cháp use g̣aur se dekhtá rahá taki ma‘lúm kare, ki Ḳhudáwand ne us ká safar mubárak kiyá hai, yá nahíṉ. 22Aur jab úṉṭ pí chuke, to us shaḳhs ne nisf misqál sone kí ek nath, aur das misqál sone ke do kaṛe us ke háthoṉ ke liye nikále, 23aur kahá, ki Zará mujhe batá ki tú kis kí beṭí hai? aur kyá tere báp ke ghar meṉ hamáre ṭikne kí jagah hai? 24Us ne us se kahá, ki Maiṉ Baitúel kí beṭí húṉ; wuh Milkáh ká beṭá hai, jo Nahúr se us ke húá. 25Aur yih bhí us se kahá, ki Hamáre pás bhúsá aur chárá bahut hai, aur ṭikne kí jagah bhí hai. 26Tab us ádmí ne jhukkar Ḳhudáwand ko sijda kiyá, 27aur kahá, Ḳhudáwand, mere áqá Abrahám ká Ḳhudá, mubárak ho, jis ne mere áqá ko apne karam aur rástí se mahrúm nahíṉ rakkhá. Aur mujhe to Ḳhudáwand ṭhík ráh par chalákar mere áqá ke bháiyoṉ ke ghar láyá. 28Tab us laṛkí ne dauṛkar apní máṉ ke ghar meṉ yih sab hál kah sunáyá. 29Aur Ribqah ká ek bháí thá, jis ká nám Lában thá: wuh báhar pání ke chashme par us ádmí ke pás dauṛá gayá. 30Aur yúṉ húá, ki jab us ne wuh nath dekhí, aur wuh kaṛe bhí jo us kí bahin ke háthoṉ meṉ the, aur apní bahin Ribqah ká bayán bhí sun liyá, ki Us shaḳhs ne mujh se aisí aisí báteṉ kahíṉ, to wuh us ádmí ke pás áyá aur dekhá, ki wuh chashme ke nazdík úṉṭoṉ ke pás khaṛá hai. 31Tab us se kahá, Ai tú jo Ḳhudáwand kí taraf se mubárak hai, andar chal, báhar kyúṉ khaṛá hai? Maiṉ ne ghar ko aur úṉṭoṉ ke liye bhí jagah ko taiyár kar liyá hai. 32Pas wuh ádmí ghar meṉ áyá; aur us ne us ke úṉṭoṉ ko kholá, aur úṉṭoṉ ke liye bhúsá aur chárá, aur us ke aur us ke sáth ke ádmíoṉ ke páṉw dhone ko pání diyá. 33Aur kháná us ke áge rakkhá gayá; par us ne kahá, ki Maiṉ jab tak apná matlab bayán na kar lúṉ, nahíṉ kháúṉgá. Us ne kahá, Achchhá, kah. 34Tab us ne kahá, ki Maiṉ Abrahám ká naukar húṉ. 35Aur Ḳhudáwand ne mere áqá ko baṛí barakat dí hai aur wuh bahut baṛá ádmí ho gayá hai; aur us ne use bheṛ bakriyáṉ, aur gáe bail, aur soná chándí, aur lauṉḍiyáṉ, aur g̣ulám, aur úṉṭ, aur gadhe baḳhshe haiṉ. 36Aur mere áqá kí bíwí Sárah ke, jab wuh búṛhiyá ho gayí, us se ek beṭá húá. Usí ko us ne apná sab kuchh de diyá hai. 37Aur mere áqá ne mujhe qasam dekar kahá hai, ki Tú Kan‘áníoṉ kí beṭiyoṉ meṉ se, jin ke mulk meṉ maiṉ rahtá húṉ, kisí ko mere beṭe se na biyáhná. 38Balki tú mere báp ke ghar, aur mere rishtadároṉ meṉ jáná aur mere beṭe ke liye bíwí láná. 39Tab maiṉ ne apne áqá se kahá, Sháyad wuh ‘aurat mere sáth áná na cháhe. 40Tab us ne mujh se kahá, ki Ḳhudáwand, jis ke huzúr maiṉ chaltá rahá húṉ, apná firishta tere sáth bhejegá, aur terá safar mubárak karegá: tú mere rishtadároṉ aur mere báp ke ḳhándán meṉ se mere beṭe ke liye bíwí láná. 41Aur jab tú mere ḳhándán meṉ já pahuṉchegá, tab merí qasam se chhúṭegá; aur agar wuh koí laṛkí na deṉ, taubhí tú merí qasam se chhúṭá. 42So maiṉ áj pání ke us chashme par ákar kahne lagá, Ai Ḳhudáwand, mere áqá Abrahám ke Ḳhudá, agar tú mere safar ko, jo maiṉ kar rahá húṉ, mubárak kartá hai, 43to dekh, maiṉ pání ke chashme ke pás khaṛá hotá húṉ, aur aisá ho, ki jo laṛkí pání bharne nikle, aur maiṉ us se kahúṉ, ki Zará apne ghaṛe se thoṛá pání mujhe pila de; 44aur wuh mujhe kahe, ki Tú bhí pí, aur maiṉ tere úṉṭoṉ ke liye bhí bhar dúṉgí: to wuh wuhí ‘aurat ho, jise Ḳhudáwand ne mere áqá ke beṭe ke liye ṭhahráyá hai. 45Maiṉ dil meṉ yih kah hí rahá thá, ki Ribqah apná ghaṛá kandhe par liye húe báhar niklí, aur níche chashme ke pás gayí, aur pání bhará: tab maiṉ ne us se kahá, Zará mujhe pání pilá de. 46Us ne fauran apná ghaṛá kandhe par se utárá aur kahá, ki Le, pí aur maiṉ tere úṉṭoṉ ko bhí pilá dúṉgí. So maiṉ ne piyá, aur us ne mere úṉṭoṉ ko bhí piláyá. 47Phir maiṉ ne us se púchhá, ki Tú kis kí beṭí hai? Us ne kahá, Maiṉ Baitúel kí beṭí húṉ. Wuh Nahúr ká beṭá hai, jo Milkáh se paidá húá. Phir maiṉ ne us kí nák meṉ nath, aur us ke háthoṉ meṉ kaṛe pahiná diye. 48Aur maiṉ ne jhukkar Ḳhudáwand ko sijda kiyá, aur Ḳhudáwand apne áqá Abrahám ke Ḳhudá ko mubárak kahá, jis ne mujhe ṭhík ráh par chaláyá, ki apne áqá ke bháí kí beṭí us ke beṭe ke wáste le jáúṉ. 49So ab agar tum karam aur rástí se mere áqá ke sáth pesh áná cháhte ho, to mujhe batáo; aur agar nahíṉ, to kah do, táki maiṉ dahiní yá báíṉ taraf phir jáúṉ. 50Tab Lában aur Baitúel ne jawáb diyá, ki Yih bát Ḳhudáwand kí taraf se húí hai; ham tujhe kuchh burá yá bhalá nahíṉ kah sakte. 51Dekh, Ribqah tere sámne maujúd hai, use le, aur já, aur Ḳhudáwand ke qaul ke mutábiq apne áqá ke beṭe se use biyáh de. 52Jab Abrahám ke naukar ne un kí báteṉ suníṉ, to zamín tak jhukkar Ḳhudáwand ko sijda kiyá. 53Aur naukar ne chándí aur sone ke zewar, aur libás nikálkar Ribqah ko diye, aur us ke bháí, aur us kí máṉ ko bhí, qímatí chízeṉ díṉ. 54Aur us ne, aur us ke sáth ke ádmíoṉ ne kháyá piyá, aur rat bhar wahíṉ rahe; subh ko wuh uṭhe, aur us ne kahá, ki Mujhe mere áqá ke pás rawána kar do. 55Ribqah ke bháí aur máṉ ne kahá, ki Laṛkí ko kuchh roz, kam se kam das roz, hamáre pás rahne de; is ke ba‘d wuh chalí jáegí. 56Us ne un se kahá, ki Mujhe na roko, kyúṉki Ḳhudáwand ne merá safar mubárak kiyá hai; mujhe ruḳhsat karo, táki maiṉ apne áqá ke pás jáúṉ. 57Unhoṉ ne kahá, Ham laṛkí ko bulákar púchhte haiṉ ki wuh kyá kahtí hai. 58Tab unhoṉ ne Ribqah ko bulákar us se púchhá, ki Kyá tú is ádmí ke sáth jáegí? Us ne kahá, Jáúṉgí. 59Tab unhoṉ ne apní bahin Ribqah, aur us kí dáya, aur Abrahám ke naukar, aur us ke ádmíoṉ ko ruḳhsat kiyá. 60Aur unhoṉ ne Ribqah ko du‘á dí, aur us se kahá, Ai hamárí bahiṉ, tú lákhoṉ kí máṉ ho, aur terí nasl apne kína rakhnewáloṉ ke pháṭak kí málik ho. 61Aur Ribqah aur us kí saheliyáṉ uṭhkar úṉṭoṉ par sawár húíṉ, aur us ádmí ke píchhe ho líṉ: so wuh ádmí Ribqah ko sáth lekar rawána húá. 62Aur Izháq Baír Lahai Roí se hokar chalá já rahá thá, kyúṉki wuh junúb ke mulk meṉ rahtá thá. 63Aur shám ke waqt Izháq sochne ko maidán meṉ gayá; aur us ne jo apní áṉkheṉ uṭháíṉ, aur nazar kí, to kyá dekhtá hai, ki úṉṭ chale á rahe haiṉ. 64Aur Ribqah ne nigáh kí aur Izháq ko dekhkar úṉṭ par se utar paṛí. 65Aur us ne naukar se púchhá, ki Yih shaḳhs kaun hai, jo ham se milne ko maidán meṉ chalá á rahá hai? Us naukar ne kahá, Yih merá áqá hai. Tab us ne burqa‘ lekar apne úpar ḍál liyá. 66Naukar ne jo jo kiyá thá sab Izháq ko batáyá. 67Aur Izháq Ribqah ko apní máṉ Sárah ke ḍere meṉ le gayá. Tab us ne Ribqah se biyáh kar liyá, aur us se mahabbat kí; aur Izháq ne apní máṉ ke marne ke ba‘d tasallí páí.

Currently Selected:

Paidáish 24: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in