YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 45

45
1Tab Yúsuf un ke áge, jo us ke ás pás khaṛe the, apne ko zabt na kar saká; aur chillákar kahá, Har ek ádmí ko mere pás se báhar kar do. Chunáṉchi jab Yúsuf ne apne áp ko apne bháiyoṉ par záhir kiyá, us waqt âur koí us ke sáth na thá. 2Aur wuh chillá chillákar rone lagá: aur Misríoṉ ne suná, aur Fir‘aun ke mahal meṉ bhí áwáz gayí. 3Aur Yúsuf ne apne bháiyoṉ se kahá, Maiṉ Yúsuf húṉ; kyá merá báp ab tak jítá hai? Aur us ke bháí use kuchh jawáb na de sake: kyúṉki wuh us ke sámne ghabrá gaye. 4Aur Yúsuf ne apne bháiyoṉ se kahá, Zará nazdík á jáo. Aur wuh nazdík áe. Tab us ne kahá, Maiṉ tumhárá bháí Yúsuf húṉ, jis ko tum ne bechkar Misr pahuṉchwáyá. 5Aur is bát se ki tum ne mujhe bechkar yaháṉ pahuṉchwáyá, na to g̣amgín ho, aur na apne apne dil meṉ pareshán ho: kyúṉki Ḳhudá ne, jánoṉ ko bacháne ke liye, mujhe tum se áge bhejá. 6Is liye ki ab do baras se mulk meṉ kál hai; aur abhí páṉch baras âur aise haiṉ jin meṉ na to hal chalegá aur na fasl kaṭegí. 7Aur Ḳhudá ne mujh ko tumháre áge bhejá, táki tumhárá baqiya zamín par salámat rakkhe, aur tum ko baṛí riháí ke wasíle se zinda rakkhe. 8Pas tum ne nahíṉ, balki Ḳhudá ne, mujhe yaháṉ bhejá; aur us ne mujhe goyá Fir‘aun ká báp, aur us ke sáre ghar ká ḳhudáwand, aur sáre mulk i Misr ká hákim banáyá. 9So tum jald mere báp ke pás jákar us se kaho, Terá beṭá Yúsuf yúṉ kahtá hai, ki Ḳhudá ne mujh ko sáre Misr ká málik kar diyá hai. Tú mere pás chalá á; der na kar: 10tú Jashan ke ‘iláqe meṉ rahná, aur tú, aur tere beṭe, aur tere pote, aur terí bheṛ bakriyáṉ aur gáe bail aur terá mál o matá‘, yih sab mere nazdík hoṉge. 11Aur wahíṉ maiṉ terí parwarish karúṉgá; tá na ho ki tujh ko aur tere gharáne aur tere mál o matá‘ ko muflisí á dabáe, kyúṉki kál ke abhí páṉch baras âur haiṉ. 12Aur dekho, tumhárí áṉkheṉ, aur mere bháí Binyamín kí áṉkheṉ, dekhtí haiṉ, ki ḳhud mere muṉh se yih báteṉ tum se ho rahí haiṉ. 13Aur tum mere báp se merí sárí shán o shaukat ká, jo mujhe Misr meṉ hásil hai, aur jo kuchh tum ne dekhá hai, sab ká zikr karná; aur tum bahut jald mere báp ko yaháṉ le áná. 14Aur wuh apne bháí Binyamín ke gale lagkar royá; aur Binyamín bhí us ke gale lagkar royá. 15Aur us ne apne sab bháiyoṉ ko chúmá, aur un se milkar royá: is ke ba‘d us ke bháí us se báteṉ karne lage.
16Aur Fir‘aun ke mahal meṉ is bát ká zikr húá, ki Yúsuf ke bháí áe haiṉ, aur is se Fir‘aun aur us ke naukar chákar bahut ḳhush húe. 17Aur Fir‘aun ne Yúsuf se kahá, ki Apne bháiyoṉ se kah, Tum yih kám karo, ki apne jánwaroṉ ko ládkar mulk i Kan‘án ko chale jáo. 18Aur apne báp ko aur apne apne gharáne ko lekar mere pás á jáo; aur jo kuchh mulk i Misr meṉ achchhe se achchhá hai wuh maiṉ tum ko dúṉgá, aur tum is mulk kí ‘umda ‘umda chízeṉ kháná. 19Tujhe hukm mil gayá hai ki un se kahe, Tum yih karo, ki apne bál bachchoṉ, aur apní bíwiyoṉ ke liye mulk i Misr se apne sáth gáṛiyáṉ le jáo, aur apne báp ko bhí sáth lekar chale áo. 20Aur apne asbáb ká kuchh afsos na karná; kyúṉki mulk i Misr kí sab achchhí chízeṉ tumháre liye haiṉ. 21Aur Isráíl ke beṭoṉ ne aisá hí kiyá; aur Yúsuf ne Fir‘aun ke hukm ke mutábiq un ko gáṛiyáṉ díṉ, aur zád i ráh bhí diyá. 22Aur us ne un meṉ se har ek ko ek ek joṛá kapṛá diyá; lekin Binyamín ko chándí ke tín sau sikke aur páṉch joṛe kapṛe diye. 23Aur apne báp ke liye us ne yih chízeṉ bhejíṉ, ya‘ní das gadhe, jo Misr kí achchhí chízoṉ se lade húe the, aur das gadhiyáṉ, jo us ke báp ke ráste ke liye g̣alla, aur roṭí, aur zád i ráh se ladí húí thíṉ. 24Chunáṉchi us ne apne bháiyoṉ ko rawána kiyá, aur wuh chal paṛe. Aur us ne un se kahá, Dekhná, kahíṉ ráste meṉ tum jhagṛá na karná. 25Aur wuh Misr se rawána húe, aur mulk i Kan‘án meṉ apne báp Ya‘qúb ke pás pahuṉche; 26aur us se kahá, Yúsuf ab tak jítá hai, aur wuhí sáre mulk i Misr ká hákim hai. Aur Ya‘qúb ká dil dhak se rah gayá; kyúṉki us ne un ká yaqín na kiyá. 27Tab unhoṉ ne use wuh sab báteṉ, jo Yúsuf ne un se kahí thíṉ, batáíṉ: aur jab un ke báp Ya‘qúb ne wuh gáṛiyáṉ dekhíṉ, jo Yúsuf ne us ke láne ko bhejí thíṉ, tab us kí ján meṉ ján áí. 28Aur Isráíl kahne lagá, Yih bas hai, ki merá beṭá Yúsuf ab tak jítá hai. Maiṉ apne marne se peshtar jákar use dekh to lúṉgá.

Currently Selected:

Paidáish 45: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in