Ahbár 13
13
1Phir Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá, 2Agar kisí ke jism kí jild meṉ warm, yá papṛí, yá safed chamaktá húá dág̣ ho, aur us ke jism kí jild meṉ koṛh sí balá ho, to use Hárún káhin ke pás, yá us ke beṭoṉ meṉ se jo káhin haiṉ, kisí ke pás le jáeṉ, 3aur káhin us ke jism kí jild kí balá ko dekhe. Agar us balá kí jagah ke bál safed ho gaye hoṉ, aur wuh balá dekhne meṉ khál se gahrí ho, to wuh koṛh ká marz hai: aur káhin us shaḳhs ko dekhkar use nápák qarár de 4Aur agar us ke jism kí jild ká chamaktá húá dág̣ safed to ho, par khál se gahrá na dikháí de, aur na us ke úpar ke bál safed ho gaye hoṉ, to káhin us shaḳhs ko sát din tak band rakkhe; 5aur sátweṉ din káhin use muláhaza kare, aur agar wuh balá use wahíṉ kí wahíṉ dikháí de, aur jild par phail na gayí ho, to káhin use sát din âur band rakkhe; 6aur sátweṉ din káhin use phir muláhaza kare, aur agar dekhe ki us balá kí chamak kam hai, aur wuh jild ke úpar phailí bhí nahíṉ hai, to káhin use pák qarár de, kyúṉki wuh papṛí hai. So wuh apne kapṛe dho ḍále, aur sáf ho jáe. 7Lekin agar káhin ke us muláhaze ke ba‘d, jis meṉ wuh sáf qarár diyá gayá thá, wuh papṛí us kí jild par bahut phail jáe, to wuh shaḳhs káhin ko phir dikháyá jáe; 8aur káhin use muláhaza kare, aur agar dekhe, ki wuh papṛí jild par phail gayí hai, to wuh use nápák qarár de, kyúṉki wuh koṛh hai.
9Agar kisí shaḳhs ko koṛh ká marz ho, to use káhin ke pás le jáeṉ; 10aur káhin use muláhaza kare, aur agar dekhe ki jild par safed warm hai, aur us ne báloṉ ko safed kar diyá hai, aur us warm kí jagah ká gosht jítá aur kachchá hai; 11to yih us ke jism kí jild meṉ puráná koṛh hai, so káhin use nápák qarár de, par use band na kare, kyúṉki wuh nápák hai. 12Aur agar koṛh jild meṉ chároṉ taraf phúṭ áe, aur jaháṉ tak káhin ko dikháí detá hai, yihí ma‘lúm ho, ki us kí jild sir se páṉwoṉ tak koṛh se ḍhak gayí hai; 13to káhin g̣aur se dekhe, aur agar us shaḳhs ká sárá jism koṛh se ḍhaká húá nikle, to káhin us maríz ko pák qarár de, kyúṉki wuh sab safed ho gayá hai, aur wuh pák hai. 14Par jis din jítá aur kachchá gosht us par dikháí de, wuh nápák hogá; 15aur káhin us kachche gosht ko dekhkar us shaḳhs ko nápák qarár de: kachchá gosht nápák hotá hai: wuh koṛh hai. 16Aur agar wuh kachchá gosht phirkar safed ho jáe, to wuh káhin ke pás jáe; 17aur káhin use muláhaza kare, aur agar dekhe ki marz kí jagah sab safed ho gayí hai, to káhin maríz ko pák qarár de: wuh pák hai.
18Aur agar kisí ke jism kí jild par phoṛá hokar achchhá ho jáe, 19aur phoṛe kí jagah safed warm, yá surḳhímáil chamaktá húá safed dág̣ ho, to wuh káhin ko dikháyá jáe; 20aur káhin use muláhaza kare, aur agar dekhe ki wuh khál se gahrá nazar átá hai, aur us par ke bál bhí safed ho gaye haiṉ, to káhin us shaḳhs ko nápák qarár de, kyúṉki wuh koṛh hai, jo phoṛe meṉ se phúṭkar niklá hai. 21Par agar káhin dekhe, ki us par safed bál nahíṉ, aur wuh khál se gahrá bhí nahíṉ hai, aur us kí chamak kam hai, to káhin use sát din tak band rakkhe. 22Aur agar wuh jild par chároṉ taraf phail jáe, to káhin use nápák qarár de, kyúṉki wuh koṛh kí balá hai. 23Par agar wuh chamaktá húá dág̣ apní jagah par wahíṉ ká wahíṉ rahe, aur phail na jáe, to wuh phoṛe ká dág̣ hai: pas káhin us shaḳhs ko pák qarár de.
24Yá agar jism kí khál kahíṉ se jal jáe, aur us jalí húí jagah ká jítá gosht ek surḳhímáil chamaktá húá safed dág̣, yá bi’lkull hí safed dág̣ ban jáe; 25to káhin use muláhaza kare, aur agar dekhe ki us chamakte húe dág̣ ke bál safed ho gaye haiṉ, aur wuh khál se gahrá dikháí detá hai, to wuh koṛh hai, jo us jal jáne se paidá húá hai; aur káhin us shaḳhs ko nápák qarár de, kyúṉki use koṛh kí bímárí hai. 26Lekin agar káhin dekhe, ki us chamakte húe dág̣ par safed bál nahíṉ, aur na wuh khál se gahrá hai, balki us kí chamak bhí kam hai, to wuh use sát din tak band rakkhe: 27aur sátweṉ din káhin use dekhe. Agar wuh jild par bahut phail gayá ho, to káhin us shaḳhs ko nápák qarár de, kyúṉki use koṛh kí bímárí hai. 28Aur agar wuh chamaktá húá dág̣ apní jagah par wahíṉ ká wahíṉ rahe, aur jild par phailá húá na ho, balki us kí chamak bhí kam ho, to wuh faqat jal jáne ke bá‘is phúlá húá hai: aur káhin us shaḳhs ko pák qarár de, kyúṉki wuh dág̣ jal jáne ke sabab se hai.
29Agar kisí mard yá ‘aurat ke sir yá ṭhoṛí meṉ dág̣ ho, 30to káhin us dág̣ ko muláhaza kare; aur agar dekhe ki wuh khál se gahrá ma‘lúm hotá hai, aur us par zard zard bárík rúṉgṭe haiṉ, to káhin us shaḳhs ko nápák qarár de, kyúṉki wuh sa‘fa hai, jo sir yá ṭhoṛí ká koṛh hai. 31Aur agar káhin dekhe ki wuh sa‘fa kí balá khál se gahrí nahíṉ ma‘lúm hotí, aur us par siyáh bál nahíṉ haiṉ, to káhin us shaḳhs ko, jise sa‘fa ká marz hai, sát din tak band rakkhe; 32aur sátweṉ din káhin us balá ká muláhaza kare, aur agar dekhe ki sa‘fa phailá nahíṉ, aur us par koí zard bál bhí nahíṉ, aur sa‘fa khál se gahrá nahíṉ ma‘lúm hotá; 33to us shaḳhs ke bál múṉḍe jáeṉ, lekin jaháṉ sa‘fa ho, wuh jagah na múṉḍí jáe; aur káhin us shaḳhs ko, jise sa‘fa ká marz hai, sát din âur band rakkhe. 34Phir sátweṉ roz káhin sa‘fe ká muláhaza kare, aur agar dekhe ki sa‘fa jild meṉ phailá nahíṉ, aur na wuh khál se gahrá dikháí detá hai, to káhin us shaḳhs ko pák qarár de, aur wuh apne kapṛe dhoe aur sáf ho jáe. 35Par agar us kí safáí ke ba‘d sa‘fa us kí jild par bahut phail jáe, to káhin use dekhe; 36aur agar sa‘fa us kí jild par phailá húá nazar áe, to káhin zard bál ko na ḍhúṉḍhe, kyúṉki wuh shaḳhs nápák hai. 37Par agar us ko sa‘fa apní jagah par wahíṉ ká wahíṉ dikháí de, aur us par siyáh bál nikle húe hoṉ, to sa‘fa achchhá ho gayá: wuh shaḳhs pák hai; aur káhin use pák qarár de.
38Aur agar kisí mard yá ‘aurat ke jism kí jild meṉ chamakte húe dág, yá safed chamakte húe dág̣ hoṉ; 39to káhin dekhe, aur agar un ke jism kí jild ke dág̣ siyáhímáil safed rang ke hoṉ, to wuh chhíp hai, jo jild meṉ phúṭ niklí hai: wuh shaḳhs pák hai.
40Aur jis shaḳhs ke sir ke bál gir gaye hoṉ, wuh ganjá to hai, magar pák hai. 41Aur jis shaḳhs ke sir ke bál peshání kí taraf se gir gaye hoṉ, wuh chandlá to hai, magar pák hai. 42Lekin us ganje yá chandle sir par surḳhímáil safed dág̣ ho, to yih koṛh hai, jo us ke ganje yá chandle sir par niklá hai: 43so káhin use muláhaza kare, aur agar wuh dekhe ki us ke ganje yá chandle sir par wuh dág̣ aisá surḳhímáil safed rang liye húe hai, jaisá jild ke koṛh meṉ hotá hai, 44to wuh ádmí koṛhí hai: wuh nápák hai, aur káhin use zarúr hí nápák qarár de, kyúṉki wuh marz us ke sir par hai.
45Aur jo koṛhí is balá meṉ mubtalá ho, us ke kapṛe phaṭe aur us ke sir ke bál bikhre raheṉ; aur wuh apne úpar ke hoṉṭh ko ḍháṉke, aur chillá chillákar kahe, Nápák, nápák. 46Jitne dinoṉ tak wuh is balá meṉ mubtalá rahe, wuh nápák rahegá; aur wuh hai bhí nápák. Pas wuh akelá rahá kare: us ká makán lashkargáh ke báhar ho.
47Aur wuh kapṛá bhí, jis meṉ koṛh kí balá ho, ḳhwáh wuh ún ká ho, yá katán ká; 48aur wuh balá bhí ḳhwáh katán yá ún ke kapṛe ke táne meṉ, yá us ke báne meṉ ho, yá wuh chamṛe meṉ ho yá chamṛe kí baní húí kisí chíz meṉ ho; 49agar wuh balá kapṛe meṉ yá chamṛe meṉ, kapṛe ke táne meṉ yá báne meṉ, yá chamṛe kí kisí chíz meṉ sabzímáil yá surḳhímáil rang kí ho, to wuh koṛh kí balá hai, aur káhin ko dikháí jáe. 50Aur káhin us balá ko dekhe, aur us chíz ko, jis meṉ wuh balá hai, sát din tak band rakkhe; 51aur sátweṉ din us ko dekhe. Agar wuh balá kapṛe ke táne meṉ yá báne meṉ, yá chamṛe par, yá chamṛe kí baní húí kisí chíz par phail gayí ho, to wuh khá jánewálá koṛh hai aur nápák hai. 52Aur us ún yá katán ke kapṛe ko, jis ke táne meṉ yá báne meṉ wuh balá hai, yá chamṛe kí us chíz ko jis meṉ wuh hai, jalá de; kyúṉki yih khá jánewálá koṛh hai. Wuh ág meṉ jaláyá jáe. 53Aur agar káhin dekhe, ki wuh balá kapṛe ke táne meṉ, yá báne meṉ, yá chamṛe kí kisí chíz meṉ phailí húí nazar nahíṉ átí, 54to káhin hukm kare ki us chíz ko, jis meṉ wuh balá hai, dhoeṉ, aur wuh phir use âur sát din tak band rakkhe; 55aur us balá ke dhoe jáne ke ba‘d káhin phir use muláhaza kare, aur agar dekhe ki us balá ká rang nahíṉ badlá, aur wuh phailí bhí nahíṉ hai, to wuh nápák hai. Tú us kapṛe ko ág meṉ jalá dená; kyúṉki wuh khá jánewálí balá hai, ḳhwáh us ká fasád andarúní ho, yá berúní. 56Aur agar káhin dekhe ki dhone ke ba‘d us balá kí chamak kam ho gayí hai, to wuh use us kapṛe se, yá chamṛe se, táne yá báne se, pháṛkar nikál pheṉke. 57Aur agar wuh balá phir bhí kapṛe ke táne yá báne meṉ, yá chamṛe kí chíz meṉ dikháí de, to wuh phúṭkar nikal rahí hai. Pas tú us chíz ko jis meṉ wuh balá hai, ág meṉ jalá dená. 58Aur agar us kapṛe ke táne yá báne meṉ se, yá chamṛe kí chíz meṉ se, jise tú ne dhoyá hai, wuh balá játí rahe, to wuh chíz dobára dhoí jáe, aur wuh pák ṭhahregí. 59Ún yá katán ke táne yá báne meṉ, yá chamṛe kí kisí chíz meṉ, agar koṛh kí balá ho, to use pák yá nápák qarár dene ke liye shara‘ yihí hai.
Currently Selected:
Ahbár 13: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Ahbár 13

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)