Ahbár 14
14
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2ki Koṛhí ke liye, jis din wuh pák qarár diyá jáe, yih shara‘ hai: ki use káhin ke pás le jáeṉ; 3aur káhin lashkargáh ke báhar jáe, aur káhin ḳhud koṛhí ko muláhaza kare; aur agar dekhe ki us ká koṛh achchhá ho gayá hai, 4to káhin hukm de, ki wuh jo pák qarár diye jáne ko hai, us ke liye do zinda pák parande, aur deodár kí lakṛí, aur surḳh kapṛá, aur zúfá leṉ. 5Aur káhin hukm de, ki un meṉ se ek paranda kisí miṭṭí ke bartan meṉ bahte húe pání ke úpar zabh kiyá jáe. 6Phir wuh zinda parande ko aur deodár kí lakṛí, aur surḳh kapṛe, aur zúfe ko le, aur in ko aur us zinda parande ko, us parande ke ḳhún meṉ g̣otá de, jo bahte pání par zabh ho chuká hai. 7Aur us shaḳhs par, jo koṛh se pák qarár diyá jáne ko hai, sát bár chhiṛkkar use pák qarár de; aur zinda parande ko khule maidán meṉ chhoṛ de. 8Aur wuh jo pák qarár diyá jáegá, apne kapṛe dhoe, aur sáre bál munḍáe, aur pání meṉ g̣usl kare; tab wuh pák ṭhahregá. Is ke ba‘d wuh lashkargáh meṉ áe, par sát din tak apne ḳhaime ke báhar hí rahe; 9aur sátweṉ roz apne sir ke sab bál, aur apní dáṛhí, aur apne abrú, g̣araz apne sáre bál munḍáe, aur apne kapṛe dhoe, aur pání meṉ naháe; tab wuh pák ṭhahregá. 10Aur wuh áṭhweṉ diṉ do be‘aib nar barre, aur ek be‘aib yaksála máda barra aur nazr kí qurbání ke liye aifah ke tín daháí hisse ke barábar tel milá húá maida aur loj bhar tel le. 11Tab wuh káhin, jo use pák qarár degá, us shaḳhs ko, jo pák qarár diyá jáegá, aur in chízoṉ ko Ḳhudáwand ke huzúr ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par házir kare. 12Aur káhin nar barroṉ meṉ se ek ko lekar jurm kí qurbání ke liye use aur us loj bhar tel ko nazdík láe, aur unheṉ hiláne kí qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr hiláe; 13aur us barre ko maqdis meṉ us jagah zabh kare, jaháṉ ḳhatá kí qurbání aur soḳhtaní qurbání ke jánwar zabh kiye játe haiṉ; kyúṉki jurm kí qurbání ḳhatá kí qurbání kí tarah káhin ká hissa ṭhahregí: wuh niháyat muqaddas hai. 14Aur káhin jurm kí qurbání ká kuchh ḳhún le, aur jo shaḳhs pák qarár diyá jáegá, us ke dahine kán kí lau par, aur dahine háth ke angúṭhe par, aur dahine páṉw ke angúṭhe par use lagáe; 15aur káhin us loj bhar tel meṉ se kuchh lekar apne báeṉ háth kí hathelí meṉ ḍále; 16aur káhin apní dahiní unglí ko apne báeṉ háth ke tel meṉ ḍuboe, aur Ḳhudáwand ke huzúr kuchh tel sát bár apní unglí se chhiṛke. 17Aur káhin apne háth ke báqí tel meṉ se kuchh le, aur jo shaḳhs pák qarár diyá jáegá, us ke dahine kán kí lau par, aur us ke dahine háth ke angúṭhe, aur dahine páṉw ke angúṭhe par, jurm kí qurbání ke ḳhún ke úpar lagáe. 18Aur jo tel káhin ke háth meṉ báqí bache, use wuh us shaḳhs ke sir meṉ ḍál de jo pák qarár diyá jáegá; yúṉ káhin us ke liye Ḳhudáwand ke huzúr kaffára de. 19Aur káhin ḳhatá kí qurbání bhí guzráne, aur us ke liye jo apní nápákí se pák qarár diyá jáegá, kaffára de: is ke ba‘d wuh soḳhtaní qurbání ke jánwar ko zabh kare. 20Phir káhin soḳhtaní qurbání, aur nazr kí qurbání ko mazbah par chaṛháe. Yúṉ káhin us ke liye kaffára de, to wuh pák ṭhahregá.
21Aur agar wuh g̣aríb ho, aur itná use maqdúr na ho, to wuh hiláne ke wáste jurm kí qurbání ke liye, ek nar barra le, táki us ke liye kaffára diyá jáe, aur nazr kí qurbání ke liye aifah ke daswáṉ hisse ke barábar tel milá húá maida, aur loj bhar tel; 22aur apne maqdúr ke mutábiq do qumríáṉ, yá kabútar ke do bachche bhí le, jin meṉ se ek to ḳhatá kí qurbání ke liye, aur dúsrá soḳhtaní qurbání ke liye ho. 23Inheṉ wuh áṭhweṉ din apne pák qarár diye jáne ke liye káhin ke pás ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par Ḳhudáwand ke huzúr láe. 24Aur káhin jurm kí qurbání ke barre ko aur us loj bhar tel ko lekar un ko Ḳhudáwand ke huzúr hiláne kí qurbání ke taur par hiláe. 25Phir káhin jurm kí qurbání ke barre ko zabh kare, aur wuh jurm kí qurbání ká kuchh ḳhún lekar jo shaḳhs pák qarár diyá jáegá, us ke dahine kán kí lau par, aur dahine háth ke angúṭhe, aur dahine páṉw ke angúṭhe par use lagáe. 26Phir káhin us tel meṉ se kuchh apne báeṉ háth kí hathelí meṉ ḍále, 27aur wuh apne báeṉ háth ke tel meṉ se kuchh apní dahiní unglí se Ḳhudáwand ke huzúr sát bár chhiṛke. 28Phir káhin kuchh apne háth ke tel meṉ se le, aur jo shaḳhs pák qarár diyá jáegá, us ke dahine kán kí lau par, aur us ke dahine háth ke angúṭhe, aur dahine páṉw ke angúṭhe par, jurm kí qurbání ke ḳhún kí jagah use lagáe; 29aur jo tel káhin ke háth meṉ báqí bache, wuh use us shaḳhs ke sir meṉ ḍál de, jo pák qarár diyá jáegá, táki us ke liye Ḳhudáwand ke huzúr kaffára diyá jáe. 30Phir wuh qumríoṉ, yá kabútar ke bachchoṉ meṉ se, jinheṉ wuh lá saká ho, ek ko chaṛháe; 31ya‘ní jo kuchh use muyassir húá ho; us meṉ se ek ko ḳhatá kí qurbání ke taur par, aur dúsre ko soḳhtaní qurbání ke taur par, nazr kí qurbání ke sáth guzráne. Yúṉ káhin us shaḳhs ke liye, jo pák qarár diyá jáegá, Ḳhudáwand ke huzúr kaffára de. 32Us koṛhí ke liye, jo apne pák qarár diye jáne ke sámán ko láne ká maqdúr na rakhtá ho, shara‘ yih hai.
33Phir Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá, ki 34Jab tum mulk i Kan‘án meṉ, jise maiṉ tumhárí milkíyat kiye detá húṉ, dáḳhil ho, aur maiṉ tumháre mírásí mulk ke kisí ghar meṉ koṛh kí balá bhejúṉ; 35to us ghar ká málik jákar káhin ko ḳhabar de, ki Mujhe aisá ma‘lúm hotá hai, ki us ghar meṉ kuchh balá sí hai. 36Tab káhin hukm kare, ki is se peshtar ki us balá ko dekhne ke liye káhin waháṉ jáe, log us ghar ko ḳhálí kareṉ, táki jo kuchh ghar meṉ ho, wuh nápák na ṭhahráyá jáe. Is ke ba‘d káhin ghar dekhne ko andar jáe, 37aur us balá ko muláhaza kare; aur agar dekhe ki wuh balá us ghar kí díwároṉ meṉ sabzí yá surḳhímáil gahrí lakíroṉ kí súrat meṉ hai, aur díwár meṉ sath ke andar nazar átí hai, 38to káhin ghar se báhar nikalkar ghar ke darwáze par jáe, aur ghar ko sát din ke liye band kar de: 39aur wuh sátweṉ din phir ákar use dekhe. Agar wuh balá ghar kí díwároṉ meṉ phailí húí nazar áe, 40to káhin hukm de, ki un pattharoṉ ko, jin meṉ wuh balá hai, nikálkar unheṉ shahr ke báhar kisí nápák jagah meṉ pheṉk deṉ. 41Phir wuh us ghar ko andar hí andar chároṉ taraf se khurchwáe, aur us khurchí húí miṭṭí ko shahr ke báhar kisí nápák jagah meṉ ḍáleṉ. 42Aur wuh un pattharoṉ kí jagah âur patthar lekar lagáeṉ, aur káhin táza gáre se us ghar kí astarkárí karáe. 43Aur agar pattharoṉ ke nikále jáne, aur us ghar ke khurche aur astarkárí karáe jáne ke ba‘d bhí wuh balá phir á jáe, aur us ghar meṉ phúṭ nikle; 44to káhin andar jákar muláhaza kare, aur agar dekhe ki wuh balá ghar meṉ phail gayí hai, to us ghar meṉ khá jánewálá koṛh hai: wuh nápák hai. 45Tab wuh us ghar ko, us ke pattharoṉ, aur lakṛiyoṉ, aur us kí sárí miṭṭí ko girá de; aur wuh un ko shahr ke báhar nikálkar kisí nápák jagah meṉ le jáe. 46Má siwá is ke, agar koí us ghar ke band kar diye jáne ke dinoṉ meṉ us ke andar dáḳhil ho, to wuh shám tak nápák rahegá; 47aur jo koí us ghar meṉ soe, wuh apne kapṛe dho ḍále: aur jo koí us ghar meṉ kuchh kháe, wuh bhí apne kapṛe dhoe. 48Aur agar káhin andar jákar muláhaza kare, aur dekhe ki ghar kí astarkárí ke ba‘d wuh balá us ghar meṉ nahíṉ phailí, to wuh us ghar ko pák qarár de, kyúṉki wuh balá dúr ho gayí. 49Aur wuh us ghar ko pák qarár dene ke liye do parande, aur deodár kí lakṛí, aur surḳh kapṛá aur zúfá le: 50aur wuh un parandoṉ meṉ se ek ko miṭṭí ke kisí bartan meṉ bahte húe pání par zabh kare: 51phir wuh deodár kí lakṛí, aur zúfe, aur surḳh kapṛe, aur us zinda parande ko lekar un ko us zabh kiye húe parande ke ḳhún meṉ aur us bahte húe pání meṉ g̣otá de, aur sát bár us ghar par chhiṛke. 52Aur wuh us parande ke ḳhún se, aur bahte húe pání, aur zinda parande, aur deodár kí lakṛí, aur zúfe, aur surḳh kapṛe se us ghar ko pák kare: 53aur us zinda parande ko shahr ke báhar khule maidán meṉ chhoṛ de: yúṉ wuh ghar ke liye kaffára de: to wuh pák ṭhahregá.
54Koṛh kí har qism kí balá ke, aur sa‘fa ke liye, 55aur kapṛe aur ghar ke koṛh ke liye, 56aur warm, aur papṛí, aur chamakte húe dág̣ ke liye shara‘ yih hai; 57táki batáyá jáe, ki kab wuh nápák aur kab pák qarár diye jáeṉ. Koṛh ke liye shara‘ yihí hai.
Currently Selected:
Ahbár 14: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Ahbár 14

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)