Ahbár 15
15
1Aur Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá, ki 2Baní Isráíl se kaho, Agar kisí shaḳhs ko jiryán ká marz ho, to wuh jiryán ke sabab se nápák hai; 3aur jiryán ke sabab se us kí nápákí yúṉ hogí, ki ḳhwáh dhát bahtí ho, yá dhát ká bahná mauqúf ho gayá ko, wuh nápák hai. 4Jis bistar par jiryán ká maríz soe, wuh bistar nápák hogá; aur jis chíz par wuh baiṭhe, wuh chíz nápák hogí. 5Aur jo koí us ke bistar ko chhúe, wuh apne kapṛe dhoe, and pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe. 6Aur jo koí us chíz par baiṭhe, jis par jiryán ká maríz baiṭhá ho, wuh apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe. 7Aur jo koí jiryán ke maríz ke jism ko chhúe, wuh bhí apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe. 8Aur agar jiryán ká maríz kisí shaḳhs par, jo pák hai, thúk de, to wuh shaḳhs apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe. 9Aur jis zín par jiryán ká maríz sawár ho, wuh zín nápák hogá. 10Aur jo koí kisí chíz ko jo us maríz ke níche rahí ho, chhúe, wuh shám tak nápák rahe; aur jo koí un chízoṉ ko uṭháe, wuh apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe. 11Aur jis shaḳhs ko jiryán ká maríz bag̣air háth dhoe chhúe, wuh apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe. 12Aur miṭṭí ke jis bartan ko jiryán ká maríz chhúe, wuh toṛ ḍálá jáe; par chobí bartan pání se dhoyá jáe. 13Aur jab jiryán ke maríz ko shifá ho jáe, to wuh apne pák ṭhahrne ke liye sát din gine; is ke ba‘d wuh apne kapṛe dhoe, aur bahte húe pání meṉ naháe, tab wuh pák hogá. 14Aur áṭhweṉ din do qumríáṉ, yá kabútar ke do bachche lekar wuh Ḳhudáwand ke huzúr ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par jáe, aur un ko káhin ke hawále kare: 15aur káhin ek ko ḳhatá kí qurbání ke liye, aur dúsre ko soḳhtaní qurbání ke liye guzráne. Yúṉ káhin us ke liye us ke jiryán ke sabab se Ḳhudáwand ke huzúr kaffára de.
16Aur agar kisí mard kí dhát bahtí ho, to wuh pání meṉ naháe, aur shám tak nápák rahe. 17Aur jis kapṛe yá chamṛe par nutfa lag jáe, wuh kapṛá yá chamṛá pání se dhoyá jáe, aur shám tak nápák rahe. 18Aur wuh ‘aurat bhí, jis ke sáth mard suhbat kare, aur munzil ho, to wuh donoṉ pání se g̣usl kareṉ, aur shám tak nápák raheṉ.
19Aur agar kisí ‘aurat ko aisá jiryán ho, ki use haiz ká ḳhún áe, to wuh sát din tak nápák rahegí, aur jo koí use chhúe, wuh shám tak nápák rahegá. 20Aur jis chíz par wuh apní nápákí kí hálat meṉ soe, wuh chíz nápák hogí, aur jis chíz par baiṭhe, wuh bhí nápák ho jáegí. 21Aur jo koí us ke bistar ko chhúe, wuh apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe. 22Aur jo koí us chíz ko, jis par wuh baiṭhí ho, chhúe, wuh apne kapṛe dhoe, aur pání se naháe, aur shám tak nápák rahe. 23Aur agar us ká ḳhún us ke bistar par, yá jis chíz par wuh baiṭhí ho, us par lagá húá ho, aur us waqt koí us chíz ko chhúe, to wuh shám tak nápák rahe. 24Aur agar mard us ke sáth subhat kare, aur us ke haiz ká ḳhún use lag jáe, to wuh sát din tak nápák rahegá; aur har ek bistar, jis par wuh mard soegá, nápák hogá.
25Aur agar kisí ‘aurat ko aiyám i haiz ko chhoṛkar yúṉ bahut dinoṉ tak ḳhún áe, yá haiz kí muddat ke guzar jáne par bhí ḳhún járí rahe, to jab tak us ko yih mailá ḳhún átá rahegá, tab tak wuh aisí hí rahegí, jaisí haiz ke dinoṉ meṉ rahtí hai; wuh nápák hai. 26Aur is jiryán i ḳhún ke kull aiyám meṉ, jis jis bistar par wuh soegí, wuh haiz ke bistar kí tarah nápák hogá; aur jis jis chíz par wuh baiṭhegí, wuh chíz haiz kí najásat kí tarah nápák hogí. 27Aur jo koí un chízoṉ ko chhúe, wuh nápák hogá. Wuh apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe. 28Aur jab wuh apne jiryán se shifá pá jáe, to sát din gine; tab is ke ba‘d wuh pák ṭhahregí. 29Aur áṭhweṉ din wuh do qumríáṉ, yá kabútar ke do bachche lekar un ko ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par káhin ke pás láe. 30Aur káhin ek ko ḳhatá kí qurbání ke liye, aur dúsre ko soḳhtaní qurbání ke liye guzráne: yúṉ káhin us ke nápák ḳhún ke jiryán ke liye Ḳhudáwand ke huzúr us kí taraf se kaffára de.
31Is taríq se tum baní Isráíl ko un kí najásat se alag rakhná; táki wuh mere maqdis ko, jo un ke darmiyán hai, nápák karne kí wajh se apní najásat meṉ halák na hoṉ.
32Us ke liye jise jiryán ká marz ho, aur us ke liye, jis kí dhát bahtí ho, aur wuh us ke bá‘is nápák ho jáe, 33aur us ke liye jo haiz se ho, aur us mard aur ‘aurat ke liye jin ko jiryán ká marz ho, aur us mard ke liye jo nápák ‘aurat ke sáth subhat kare, shara‘ yihí hai.
Currently Selected:
Ahbár 15: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)