Ahbár 16
16
1Aur Hárún ke do beṭoṉ kí wafát ke ba‘d, jab wuh Ḳhudáwand ke nazdík áe, aur mar gaye, 2Ḳhudáwand Músá se hamkalám húá; aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Apne bháí Hárún se kah, ki wuh har waqt parde ke andar ke páktarín maqám meṉ sarposh ke pás, jo sandúq ke úpar hai, na áyá kare, táki wuh mar na jáe; kyúṉki maiṉ sarposh par abr meṉ dikháí dúṉgá. 3Aur Hárún páktarín maqám meṉ is tarah áe, ki ḳhatá kí qurbání ke liye ek bachhṛá, aur soḳhtaní qurbání ke liye ek meṉḍhá láe. 4Aur wuh katán ká muqaddas kurta pahine, aur us ke tan par katán ká pájáma ho, aur katán ke kamarband se us kí kamar kasí húí ho, aur katán hí ká ‘amáma us ke sir par bandhá ho. Yih muqaddas libás haiṉ aur wuh in ko pání se nahákar pahine. 5Aur baní Isráíl kí jamá‘at se ḳhatá kí qurbání ke liye do bakre aur soḳhtaní qurbání ke liye ek meṉḍhá le. 6Aur Hárún ḳhatá kí qurbání ke bachhṛe ko, jo us kí taraf se hai, guzránkar apne aur apne ghar ke liye kaffára de. 7Phir un donoṉ bakroṉ ko lekar un ko ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par Ḳhudáwand ke huzúr khaṛá kare. 8Aur Hárún un donoṉ bakroṉ par chiṭṭhiyáṉ dále; ek chiṭṭhí Ḳhudáwand ke liye, aur dúsrí ‘Azázel ke liye ho. 9Aur jis bakre par Ḳhudáwand ke nám kí chiṭṭhí nikle, use Hárún lekar ḳhatá kí qurbání ke liye chaṛháe. 10Lekin jis bakre par ‘Azázel ke nám kí chiṭṭhí nikle, wuh Ḳhudáwand ke huzúr zinda khaṛá kiyá jáe, táki us se kaffára diyá jáe, aur wuh ‘Azázel ke liye biyábán meṉ chhoṛ diyá jáe. 11Aur Hárún ḳhatá kí qurbání ke bachhṛe ko, jo us kí taraf se hai, áge lákar apne, aur apne ghar ke liye, kaffára de; aur us bachhṛe ko, jo us kí taraf se ḳhatá kí qurbání ke liye hai, zabh kare. 12Aur wuh ek baḳhúrdán ko le, jis meṉ Ḳhudáwand ke mazbah par kí ág ke angáre bhare hoṉ; aur apní muṭṭhiyáṉ bárík ḳhushbúdár baḳhúr bhar le, aur use parde ke andar láe. 13Aur us baḳhúr ko Ḳhudáwand ke huzúr ág meṉ ḍále, táki baḳhúr ká dhuwáṉ sarposh ko, jo shahádat ke sandúq ke úpar hai, chhipá le, ki wuh halák na ho. 14Phir wuh us bachhṛe ká kuchh ḳhún lekar, use apní unglí se mashriq kí taraf sarposh ke úpar chhiṛke, aur sarposh ke áge bhí kuchh ḳhún apní unglí se sát bár chhiṛke. 15Phir wuh ḳhatá kí qurbání ke us bakre ko zabh kare, jo jamá‘at kí taraf se hai, aur us ke ḳhún ko parde ke andar lákar, jo kuchh us ne bachhṛe ke ḳhún se kiyá thá, wuhí is se bhí kare; aur use sarposh ke úpar, aur us ke sámne chhiṛke. 16Aur baní Isráíl kí sárí najásatoṉ, aur gunáhoṉ, aur ḳhatáoṉ ke sabab se páktarín maqám ke liye kaffára de; aur aisá hí wuh ḳhaima e ijtimá‘ ke liye bhí kare, jo un ke sáth un kí najásatoṉ ke darmiyán rahtá hai. 17Aur jab wuh kaffáre dene ko páktarín maqám ke andar jáe, to jab tak wuh apne, aur apne gharáne, aur baní Isráíl kí sárí jamá‘at ke liye kaffára dekar báhar na á jáe, us waqt tak koí ádmí ḳhaima e ijtimá‘ ke andar na rahe. 18Phir wuh nikalkar us mazbah ke pás, jo Ḳhudáwand ke huzúr hai jáe, aur us ke liye kaffára de; aur us bachhṛe aur bakre ká thoṛá thoṛá sá ḳhún lekar mazbah ke síṉgoṉ par girdágird lagáe; 19aur kuchh ḳhún us ke úpar sát bár apní unglí se chhiṛke, aur use baní Isráíl kí najásatoṉ se pák aur muqaddas kare. 20Aur jab wuh páktarín maqám, aur ḳhaima e ijtimá‘, aur mazbah ke liye kaffára de chuke, to us zinda bakre ko áge láe; 21aur Hárún apne donoṉ háth us zinda bakre ke sir par rakhkar us ke úpar baní Isráíl kí sárí badkáríoṉ, aur un ke sáre gunahoṉ aur ḳhatáoṉ ká iqrár kare, aur un ko us bakre ke sir par dharkar use kisí shaḳhs ke háth, jo is kám ke liye taiyár ho, biyábán bhijwá de. 22Aur wuh bakrá un kí sárí badkáríáṉ apne úpar láde húe kisí wíráne meṉ le jáegá; so wuh us bakre ko biyábán meṉ chhoṛ de. 23Phir Hárún ḳhaima e ijtimá‘ meṉ ákar katán ke sáre libás ko, jise us ne páktarín maqám meṉ játe waqt pahiná thá utáre, aur us ko wahíṉ rahne de. 24Phir wuh kisí pák jagah meṉ pání se g̣usl karke apne kapṛe pahin le, aur báhar ákar apní soḳhtaní qurbání aur jamá‘at kí soḳhtaní qurbání guzráne, aur apne liye aur jamá‘at ke liye kaffára de, 25aur ḳhatá kí qurbání kí charbí ko mazbah par jaláe. 26Aur jo ádmí bakre ko ‘Azázel ke liye chhoṛkar áe, wuh apne kapṛe dhoe, aur pání se naháe: is ke ba‘d wuh lashkargáh meṉ dáḳhil ho. 27Aur ḳhatá kí qurbání ke bachhṛe ko, aur ḳhatá kí qurbání ke bakre ko, jin ká ḳhún páktarín maqám meṉ kaffáre ke liye pahuṉcháyá jáe, un ko wuh lashkargáh se báhar le jáeṉ, aur un kí khál, aur gosht, aur fuzalát ko ág meṉ jalá deṉ; 28aur jo un ko jaláe, wuh apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare; is ke ba‘d wuh lashkargáh meṉ dáḳhil ho.
29Aur yih tumháre liye ek dáimí qánún ho, ki sátweṉ mahíne kí daswíṉ táríḳh ko, tum apní apní ján ko dukh dená; aur us din koí, ḳhwáh wuh desí ho yá pardesí jo tumháre bích búdobásh rakhtá ho, kisí tarah ká kám na kare; 30kyúṉki us roz tumháre wáste tum ko pák karne ke liye kaffára diyá jáegá; so tum apne sáre gunáhoṉ se Ḳhudáwand ke huzúr pák ṭhahroge. 31Yih tumháre liye ḳháss árám ká sabt hogá. Tum us din apní apní ján ko dukh dená; yih dáimí qánún hai. 32Aur jo apne báp kí jagah káhin hone ke liye masah aur maḳhsús kiyá jáe, wuh káhin kaffára diyá kare; ya‘ní katán ke muqaddas libás ko pahinkar 33wuh maqdis ke liye kaffára de, aur ḳhaima e ijtimá‘ aur mazbah ke liye kaffára de, aur káhinoṉ aur jamá‘at ke sab logoṉ ke liye kaffára de. 34So yih tumháre liye ek dáimí qánún ho, ki tum baní Isráíl ke wáste sál meṉ ek daf‘a un ke sab gunáhoṉ ká kaffára do. Aur us ne, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm diyá thá, waisá hí kiyá.
Currently Selected:
Ahbár 16: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Ahbár 16

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)