Ahbár 17
17
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Hárún aur us ke beṭoṉ se, aur sáre baní Isráíl se kah, ki Ḳhudáwand ne yih hukm diyá hai, ki 3Isráíl ke gharáne ká jo koí shaḳhs bail, yá barre, yá bakre ko, ḳhwáh lashkargáh meṉ, yá lashkargáh ke báhar zabh karke 4use ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par, Ḳhudáwand ke maskan ke áge, Ḳhudáwand ke huzúr chaṛháne ko na le jáe, us shaḳhs par ḳhún ká ilzám hogá, ki us ne ḳhún kiyá hai; aur wuh shaḳhs apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe. 5Is se maqsúd yih hai, ki baní Isráíl apní qurbáníáṉ, jin ko wuh khule maidán meṉ zabh karte haiṉ, unheṉ Ḳhudáwand ke huzúr ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par káhin ke pás láeṉ; aur un ko Ḳhudáwand ke huzúr salámatí ke zabíhoṉ ke taur par guzráneṉ. 6Aur káhin us ḳhún ko ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par Ḳhudáwand ke mazbah ke úpar chhiṛke, aur charbí ko jaláe, táki Ḳhudáwand ke liye ráhatangez ḳhushbú ho. 7Aur áyanda kabhí wuh un bakroṉ ke liye, jin ke pairau hokar wuh zinákár ṭhahre haiṉ, apní qurbáníáṉ na guzráneṉ. Un ke liye nasl dar nasl yih dáimí qánún hogá.
8So tú un se kah de, ki Isráíl ke gharáne ká, yá un pardesíoṉ meṉ se jo un meṉ búdobásh karte haiṉ, jo koí soḳhtaní qurbání, yá koí zabíha guzránkar 9use ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par Ḳhudáwand ke huzúr chaṛháne ko na láe, wuh apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe.
10Aur Isráíl ke gharáne ká, yá un pardesíoṉ meṉ se jo un meṉ búdobásh karte haiṉ, jo koí kisí tarah ká ḳhún kháe, maiṉ us ḳhún khánewále ke ḳhiláf húṉgá, aur use us ke logoṉ meṉ se káṭ ḍálúṉgá; 11kyúṉki jism kí ján ḳhún meṉ hai, aur maiṉ ne mazbah par tumhárí jánoṉ ke kaffáre ke liye use tum ko diyá hai, ki us se tumhárí jánoṉ ke liye kaffára ho; kyúṉki ján rakhne hí ke sabab se ḳhún kaffára detá hai. 12Isí liye maiṉ ne baní Isráíl se kahá hai, ki Tum meṉ se koí shaḳhs ḳhún kabhí na kháe, aur na koí pardesí jo tum meṉ búdobásh kartá ho, kabhí ḳhún ko kháe.
13Aur baní Isráíl meṉ se, yá un pardesíoṉ meṉ se jo un meṉ búdobásh karte haiṉ, jo koí shikár meṉ aise jánwar yá parande ko pakṛe, jis ká kháná ṭhík hai, to wuh us ke ḳhún ko nikálkar use miṭṭí se ḍháṉk de. 14Kyúṉki jism kí ján jo hai, wuh us ká ḳhún hai, jo us kí ján ke sáth ek hai. Isí liye maiṉ ne baní Isráíl ko hukm kiyá hai, ki Tum kisí qism ke jánwar ká ḳhún na kháná, kyúṉki har jánwar kí ján us ká ḳhún hí hai; jo koí use kháe, wuh káṭ ḍalá jáegá. 15Aur jo shaḳhs murdár ko, yá darande ke pháṛe húe jánwar ko kháe, wuh ḳhwáh desí ho, yá pardesí, apne kapṛe dhoe, aur pání se g̣usl kare, aur shám tak nápák rahe; tab wuh pák hogá. 16Lekin agar wuh un ko na dhoe, aur na g̣usl kare, to us ká gunáh usí ke sir lagegá.
Currently Selected:
Ahbár 17: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Ahbár 17

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)