Ahbár 18
18
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Baní Isráíl se kah, ki Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 3Tum mulk i Misr ke se kám, jis meṉ tum rahte the, na karná, aur mulk i Kan‘án ke se kám bhí, jaháṉ maiṉ tumheṉ liye játá húṉ, na karná, aur na un kí rasmoṉ par chalná. 4Tum mere hukmoṉ par ‘amal karná, aur mere áín ko mánkar un par chalná. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 5So tum mere áín aur ahkám mánná, jin par agar koí ‘amal kare, to wuh un hí kí badaulat jítá rahegá. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ.
6Tum meṉ se koí apní kisí qaríbí rishtadár ke pás, us ke badan ko beparda karne ke liye, na jáe. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 7Tú apní máṉ ke badan ko, jo tere báp ká badan hai, beparda na karná, kyúṉki wuh terí máṉ hai. Tú us ke badan ko beparda na karná. 8Tú apne báp kí bíwí ke badan ko beparda na karná, kyúṉki wuh tere báp ká badan hai. 9Tú apní bahin ke badan ko, cháhe wuh tere báp kí beṭí ho, cháhe terí máṉ kí, aur ḳhwáh wuh ghar meṉ paidá húí ho, ḳhwáh âur kahíṉ, beparda na karná. 10Tú apní potí, yá nawásí ke badan ko beparda na karná, kyúṉki un ká badan to terá hí badan hai. 11Tere báp kí bíwí kí beṭí, jo tere báp se paidá húí hai, terí bahin hai, tú us ke badan ko beparda na karná. 12Tú apní phúphí ke badan ko beparda na karná, kyúṉki wuh tere báp kí qaríbí rishtadár hai. 13Tú apní ḳhále ke badan ko beparda na karná, kyúṉki wuh terí máṉ kí qaríbí rishtadár hai. 14Tú apne báp ke bháí ke badan ko beparda na karná, ya‘ní us kí bíwí ke pás na jáná; wuh terí chachí hai. 15Tú apní bahú ke badan ko beparda na karná, kyúṉki wuh tere beṭe kí bíwí hai, so tú us ke badan ko beparda na karná. 16Tu apní bháwaj ke badan ko beparda na karná, kyúṉki wuh tere bháí ká badan hai. 17Tú kisí ‘aurat aur us kí beṭí donoṉ ke badan ko beparda na karná; aur na tú us ‘aurat kí potí yá nawásí se biyáh karke un meṉ se kisí ke badan ko beparda karná, kyúṉki wuh donoṉ us ‘aurat kí qaríbí rishtadár haiṉ; yih baṛí ḳhabásat hai. 18Tú apní sálí se biyáh karke use apní bíwí kí saukan na banáná, ki dúsrí ke jíte jí us ke badan ko bhí beparda kare. 19Aur tú ‘aurat ke pás, jab tak wuh haiz ke sabab se nápák hai, us ke badan ko beparda karne ke liye na jáná. 20Aur tú apne ko najis karne ke liye apne hamsáye kí bíwí se suhbat na karná. 21Tú apní aulád meṉ se kisí ko Molak kí ḳhátir ág meṉ se guzárne ke liye na dená, aur na apne Ḳhudá ke nám ko nápák ṭhahráná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 22Tú mard ke sáth suhbat na karná jaise ‘aurat se kartá hai; yih niháyat makrúh kám hai. 23Tú apne ko najis karne ke liye kisí jánwar se suhbat na karná, aur na koí ‘aurat kisí jánwar se hamsuhbat hone ke liye us ke áge khaṛí ho; kyúṉki yih auṉdhí bát hai.
24Tum in kámoṉ meṉ se kisí meṉ phaṉskar álúda na ho jáná; kyúṉki jin qaumoṉ ko maiṉ tumháre áge se nikáltá húṉ, wuh in sáre kámon ke sabab se álúda haiṉ; 25aur un ká mulk bhí álúda ho gayá hai; is liye maiṉ us kí badkárí kí sazá use detá húṉ, aisá ki wuh apne báshindoṉ ko ugale detá hai. 26Liházá tum mere áín aur ahkám ko mánná, aur tum meṉ se koí, ḳhwáh wuh desí ho yá pardesí jo tum meṉ búdobásh rakhtá ho, in makrúhát meṉ se kisí kám ko na kare; 27kyúṉki us mulk ke báshindoṉ ne, jo tum se pahle the, yih sab makrúh kám kiye haiṉ, aur mulk álúda ho gayá hai. 28So aisá na ho, ki jis tarah us mulk ne us qaum ko, jo tum se pahle waháṉ thí, ugal diya, usí tarah tum ko bhí, jab tum use álúda karo, to ugal de. 29Kyúṉki jo in makrúh kámoṉ meṉ se kisí ko karegá, wuh apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáegá. 30Is liye merí sharí‘at ko mánná, aur yih makrúh rasmeṉ, jo tum se pahle adá kí játí thíṉ, in meṉ se kisí ko ‘amal meṉ na láná, aur in meṉ phaṉskar álúda na ho jáná. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ.
Currently Selected:
Ahbár 18: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Ahbár 18

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)