Ahbár 19
19
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Baní Isráíl kí sárí jamá‘at se kah, ki Tum pák raho; kyúṉki maiṉ jo Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ pák húṉ. 3Tum meṉ se har ek apní máṉ, aur apne báp se ḍartá rahe, aur tum mere sabtoṉ ko mánná. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 4Tum butoṉ kí taraf rujú‘ na honá, aur na apne liye ḍhále húe deotá banáná. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 5Aur jab tum Ḳhudáwand ke huzúr salámatí ke zabíhe guzráno, to un ko is tarah guzránná ki tum maqbúl ho. 6Aur jis din use guzráno, us din aur dúsre din wuh kháyá jáe; aur agar tísre din tak kuchh bachá rah jáe, to wuh ág meṉ jalá diyá jáe. 7Aur agar wuh zará bhí tísre din kháyá jáe, to makrúh ṭhahregá, aur maqbúl na hogá; 8balki jo koí use kháe, us ká gunáh usí ke sir lagegá, kyúṉki us ne Ḳhudáwand kí pák chíz ko najis kiyá; so wuh shaḳhs apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáegá.
9Aur jab tum apní zamín kí paidáwár kí fasl káṭo, to apne khet ke kone kone tak púrá púrá na káṭná, aur na kaṭáí kí girí paṛí báloṉ ko chun lená. 10Aur apne angúristán ká dána dána na toṛ lená, aur na apne angúristán ke gire húe dánoṉ ko ama‘ karná; un ko g̣aríboṉ aur musáfiroṉ ke liye chhoṛ dená. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 11Tum chorí na karná, aur na dag̣á dená, aur na ek dúsre se jhúṭh bolná. 12Aur tum merá nám lekar jhúṭhí qasam na kháná, jis se apne Ḳhudá ke nám ko nápák ṭhahráo. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 13Apne paṛausí par na zulm karná, na use lúṭná. Mazdúr kí mazdúrí tere pás sárí rát subh tak rahne na páe. 14Bahre ko na kosná, aur na andhe ke áge ṭhokar khiláne kí chíz ko dharná, balki apne Ḳhudá se ḍarná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 15Tum faisale meṉ nárástí na karná, na to g̣aríb kí ri‘áyat karná, aur na baṛe ádmí ká liház; balki rástí ke sáth apne hamsáye ká insáf karná. 16Tum apní qaum meṉ idhar udhar lutrápan na karte phirná, aur na apne hamsáye ká ḳhún karne par ámáda honá. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 17Tum apne dil meṉ apne bháí se bug̣z na rakhná, aur apne hamsáye ko zarúr ḍánṭte bhí rahná, táki us ke sabab se tumháre sir gunáh na lage. 18Tum intiqám na lená, aur na apní qaum kí nasl se kína rakhná; balki apne hamsáye se apní mánind mahabbat karná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 19Tum merí sharí‘atoṉ ko mánná. Tum apne chaupáyoṉ ko g̣airjins se bharwáne na dená, aur apne khet meṉ do qism ke bíj ek sáth na boná, aur na tum par do qism ke mile jule tár ká kapṛá ho. 20Agar koí aisí ‘aurat se suhbat kare, jo lauṉḍí aur kisí shaḳhs kí mangetar ho, aur na to us ká fidya hí diyá gayá ho, aur na wuh ázád kí gayí ho, to un donoṉ ko sazá mile; lekin wuh ján se máre na jáeṉ, is liye ki wuh ‘aurat ázád na thí. 21Aur wuh ádmí apne jurm kí qurbání ke liye ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par Ḳhudáwand ke huzúr ek meṉḍhá láe, ki wuh us ke jurm kí qurbání ho. 22Aur káhin us ke jurm kí qurbání ke meṉḍhe se, us ke liye Ḳhudáwand ke huzúr kaffára de; tab jo ḳhatá us ne kí hai, wuh use mu‘áf kí jáegí. 23Aur jab tum us mulk meṉ pahuṉchkar qism qism ke phal ke daraḳht lagáo, to tum un ke phal ko goyá námaḳhtún samajhná: wuh tumháre liye tín baras tak námaḳhtún ke barábar hoṉ, aur kháe na jáeṉ. 24Aur chauthe sál un ká sárá phal Ḳhudáwand kí tamjíd karne ke liye muqaddas hogá. 25Tab páṉchweṉ sál se un ká phal kháná, táki wuh tumháre liye ifrát ke sáth paidá hoṉ. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 26Tum kisí chíz ko ḳhún samet na kháná, aur na jádúmantar karná, na shugún nikálná. 27Tum apne apne sir ke goshoṉ ko bál káṭkar gol na banáná, aur na apní dáṛhí ke konoṉ ko bigáṛná. 28Tum murdoṉ ke sabab se apne jism ko zaḳhmí na karná, aur na apne úpar kuchh gudwáná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 29Tum apní beṭí ko kasbí banákar nápák na hone dená, tá aisá na ho ki mulk meṉ ranḍíbází phail jáe aur sárá mulk badkárí se bhar jáe. 30Tum mere sabtoṉ ko mánná, aur mere maqdis kí ta‘zím karná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 31Jo jinnát ke yár haiṉ, aur jo jádúgar haiṉ, tum un ke pás na jáná, aur na un ke tálib honá, ki wuh tum ko najis baná deṉ. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 32Jin ke sir ke bál safed haiṉ, tum un ke sámne uṭh khaṛe honá, aur baṛe búṛhe ká adab karná, aur apne Ḳhudá se ḍarná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 33Aur agar koí pardesí tumháre sáth tumháre mulk meṉ búdobásh kartá ho, to use ázár na pahuṉcháná; 34balki jo pardesí tumháre sáth rahtá ho, use desí kí mánind samajhná; balki tum us se apní mánind mahabbat karná, is liye ki tum Misr ke mulk meṉ pardesí the. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 35Tum insáf, aur paimáish, aur wazn, aur paimáne meṉ nárástí na karná. 36Ṭhík tarázú, thíḳ báṭ, púrá aifah, aur púrá hín rakhná. Jo tum ko mulk i Misr se nikálkar láyá, maiṉ hí húṉ, Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá. 37So tum mere sáre áín aur sáre ahkám mánná, aur un par ‘amal karná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ.
Currently Selected:
Ahbár 19: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Ahbár 19

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)