Ahbár 4
4
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 2Baní Isráíl se kah, ki Agar koí un kámoṉ meṉ se, jin ko Ḳhudáwand ne mana‘ kiyá hai, kisí kám ko kare, aur us se nádánista ḳhatá ho jáe: 3agar káhin i mamsúh aisí ḳhatá kare, jis se qaum mujrim ṭhahrtí ho; to wuh apní us ḳhatá ke wáste, jo us ne kí hai, ek be‘aib bachhṛá ḳhatá kí qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr guzráne. 4Wuh us bachhṛe ko ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par Ḳhudáwand ke áge láe, aur bachhṛe ke sir par apná háth rakkhe, aur us ko Ḳhudáwand ke áge zabh kare. 5Aur wuh káhin i mamsúh us bachhṛe ke ḳhún meṉ se kuchh lekar use ḳhaima e ijtimá‘ meṉ le jáe. 6Aur káhin apní unglí ḳhún meṉ ḍubo ḍubokar, aur ḳhún meṉ se le lekar use maqdis ke parde ke sámne sát bár Ḳhudáwand ke áge chhiṛke. 7Aur káhin usí ḳhún meṉ se ḳhushbúdár baḳhúr jaláne kí qurbángáh ke síṉgoṉ par, jo ḳhaima e ijtimá‘ meṉ hai, Ḳhudáwand ke áge lagáe, aur us bachhṛe ke báqí sab ḳhún ko soḳhtání qurbání ke mazbah ke páye par, jo ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par hai, unḍel de. 8Phir wuh ḳhatá kí qurbání ke bachhṛe kí sab charbí ko us se alag kare; ya‘ní jis charbí se antṛiyáṉ ḍhakí rahtí haiṉ, aur wuh sab charbí jo antṛiyoṉ par lipṭí rahtí hai, 9aur donoṉ gurde aur un ke úpar kí charbí, jo kamar ke pás rahtí hai, aur jigar par kí jhillí gurdoṉ samet, in sabhoṉ ko wuh waise hí alag kare, 10jaise salámatí ke zabíhe ke bachhṛe se wuh alag kiye játe haiṉ; aur káhin un ko soḳhtaní qurbání ke mazbah par jaláe. 11Aur us bachhṛe kí khál, aur us ká sab gosht, aur sir aur páye, aur antṛiyáṉ aur gobar, 12ya‘ní púre bachhṛe ko lashkargáh kí sáf jagah meṉ, jaháṉ rákh paṛtí hai, le jáe, aur sab kuchh lakṛiyoṉ par rakhkar ág se jaláe; wuh wahíṉ jaláyá jáe, jaháṉ rákh ḍálí játí hai.
13Agar baní Isráíl kí sárí jamá‘at se anjáne chúk ho jáe, aur yih bát jamá‘at kí áṉkhoṉ se chhipí to ho, taubhí wuh un kámoṉ meṉ se, jinheṉ Ḳhudáwand ne mana‘ kiyá hai, kisí kám ko karke mujrim ho gayí ho; 14to us ḳhatá ke jis ke wuh qusúrwár hoṉ, ma‘lúm ho jáne par jamá‘at ek bachchṛá ḳhatá kí qurbání ke taur par chaṛháne ke liye ḳhaima e ijtimá‘ ke sámne láe; 15aur jamá‘at ke buzurg apne apne háth Ḳhudáwand ke áge us bachchṛe ke sir par rakkheṉ, aur bachchṛá Ḳhudáwand ke áge zabh kiyá jáe. 16Aur káhin i mamsúh us bachchṛe ke ḳhún meṉ se kuchh ḳhaima e ijtimá‘ meṉ le jáe; 17aur káhin apní unglí us ḳhún meṉ ḍubo ḍubokar use parde ke sámne sát bár Ḳhudáwand ke áge chhiṛke, 18aur usí ḳhún meṉ se mazbah ke síṉgoṉ par, jo Ḳhudáwand ke áge ḳhaima e ijtimá‘ meṉ hai, lagáe, aur báqí sárá ḳhún soḳhtaní qurbání ke mazbah ke páye par, jo ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par hai, unḍel de; 19aur us kí sab charbí us se alag karke use mazbah par jaláe. 20Wuh bachchṛe se yihí kare; ya‘ní jo kuchh ḳhatá kí qurbání ke bachchṛe se kiyá thá, wuhí is bachchṛe se kare. Yúṉ káhin un ke liye kaffára de, to unheṉ mu‘áfí milegí. 21Aur wuh us bachchṛe ko lashkargáh ke báhar le jákar jaláe, jaise pahle bachchṛe ko jaláyá thá. Yih jamá‘at kí ḳhatá kí qurbání hai.
22Aur jab kisí sardár se ḳhatá sarzad ho, aur wuh un kámoṉ meṉ se, jinheṉ Ḳhudáwand ne mana‘ kiyá hai, kisí kám ko nádánista kar baiṭhe, aur mujrim ho jáe; 23to jab wuh ḳhatá jo us se sarzad húí hai use batá dí jáe, to wuh ek be‘aib bakrá apní qurbání ke wáste láe; 24aur apná háth us bakre ke sir par rakkhe, aur use us jagah zabh kare jaháṉ soḳhtání qurbání ke jánwar Ḳhudáwand ke áge zabh karte haiṉ; yih ḳhatá kí qurbání hai. 25Aur káhin ḳhatá kí qurbání ká kuchh ḳhún apní unglí par lekar use soḳhtaní qurbání ke mazbah ke síṉgoṉ par lagáe, aur us ká báqí sab ḳhún soḳhtaní qurbání ke mazbah ke páye par unḍel de, 26aur salámatí ke zabíhe kí charbí kí tarah us kí sab charbí mazbah par jaláe. Yúṉ káhin us kí ḳhatá ká kaffára de, to use mu‘áfí milegí.
27Aur agar koí ‘ámm ádmíoṉ meṉ se nádánista ḳhatá kare, aur un kámoṉ meṉ se, jinheṉ Ḳhudáwand ne mana‘ kiyá hai, kisí kám ko karke mujrim ho jáe; 28to jab wuh ḳhatá jo us ne kí hai, use batá dí jáe, to wuh apní us ḳhatá ke wáste, jo us se sarzad húí hai ek be‘aib bakrí láe; 29aur wuh apná háth ḳhatá kí qurbání ke jánwar ke sir par rakkhe, aur ḳhatá kí qurbání ke us jánwar ko soḳhtaní qurbání kí jagah par zabh kare. 30Aur káhin us ká kuchh ḳhún apní unglí par lekar use soḳhtaní qurbání ke mazbah ke síṉgon par lagáe, aur us ká báqí sab ḳhún mazbah ke páye par unḍel de; 31aur wuh us kí sárí charbí ko alag kare, jaise salámatí ke zabíhe kí charbí alag kí játí hai; aur káhin use mazbah par ráhatangez ḳhushbú ke taur par Ḳhudáwand ke liye jaláe. Yúṉ káhin us ke liye kaffára de, to use mu‘áfí milegí.
32Aur agar ḳhatá kí qurbání ke liye us ká chaṛháwá barrá ho, to wuh be‘aib máda láe; 33aur apná háth ḳhatá kí qurbání ke jánwar ke sir par rakkhe, aur use ḳhatá kí qurbání ke taur par us jagah zabh kare, jaháṉ soḳhtaní qurbání zabh karte haiṉ. 34Aur káhin ḳhatá kí qurbání ká kuchh ḳhún apní unglí par lekar use soḳhtaní qurbání ke mazbah ke síṉgoṉ par lagáe, aur us ká báqí sab ḳhún mazbah ke páye par unḍel de; 35aur us kí sab charbí ko alag kare, jaise salámatí ke zabíhe ke barre kí charbí alag kí játí hai: aur káhin us ko mazbah par Ḳhudáwand kí átashín qurbáníoṉ ke úpar jaláe. Yúṉ káhin us ke liye us kí ḳhatá ká, jo us se húí hai, kaffára de, to use mu‘áfí milegí.
Currently Selected:
Ahbár 4: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Ahbár 4

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)