YouVersion Logo
Search Icon

Ahbár 5

5
1Aur agar koí is tarah ḳhatá kare, ki wuh gawáh ho, aur use qasam dí jáe, ki áyá us ne kuchh dekhá yá use kuchh ma‘lúm hai, aur wuh na batáe, to us ká gunáh usí ke sir lagegá. 2Yá agar koí shaḳhs kisí nápák chíz ko chhú le, ḳhwáh wuh nápák jánwar, yá nápák chaupáye, yá nápák reṉgnewále jándár kí lásh ho, to cháhe use ma‘lúm bhí na ho ki wuh nápák ho gayá hai, taubhí wuh mujrim ṭhahregá. 3Yá agar wuh insán kí un najásatoṉ meṉ se, jin se wuh najis ho játá hai, kisí najásat ko chhú le, aur use ma‘lúm na ho, to wuh us waqt mujrim ṭhahregá jab use ma‘lúm ho jáegá. 4Yá agar koí bag̣air soche apní zabán se buráí yá bhaláí karne kí qasam khá le; to qasam khákar wuh ádmí cháhe kaisí hí bát bag̣air soche kah de, basharte ki use ma‘lúm na ho, to aisí bát meṉ mujrim us waqt ṭhahregá, jab use ma‘lúm ho jáegá. 5Aur jab wuh in bátoṉ meṉ se kisí meṉ mujrim ho, to jis amr meṉ us se ḳhatá húí hai, wuh us ká iqrár kare; 6aur Ḳhudáwand ke huzúr apne jurm kí qurbání láe, ya‘ní jo ḳhatá us se húí hai, us ke liye rewaṛ meṉ se ek máda, ya‘ní ek bheṛ yá bakrí, ḳhatá kí qurbání ke taur par guzráne; aur káhin us kí ḳhatá ká kaffára de. 7Aur agar use bheṛ dene ká maqdúr na ho, to wuh apní ḳhatá ke liye jurm kí qurbání ke taur par do qumríáṉ yá kabútar ke do bachche Ḳhudáwand ke huzúr guzráne: ek ḳhatá kí qurbání ke liye aur dúsrá soḳhtání qurbání ke liye. 8Wuh unheṉ káhin ke pás le áe, jo pahle use, jo ḳhatá kí qurbání ke liye hai, guzráne, aur us ká sir gardan ke pás se maroṛ ḍále, par use alag na kare: 9aur ḳhatá kí qurbání ká kuchh ḳhún mazbah ke pahlú par chhiṛke, aur báqí ḳhún ko mazbah ke páye par gir jáne de; yih ḳhatá kí qurbání hai. 10Aur dúsre parande ko hukm ke muwáfiq soḳhtaní qurbání ke taur par chaṛháe; yúṉ káhin us kí ḳhatá ká, jo us ne kí hai, kaffára de, to use mu‘áfí milegí.
11Aur ágar use do qumríáṉ yá kabútar ke do bachche láne ká bhí maqdúr na ho, to apní ḳhatá ke wáste apne chaṛháwe ke taur par aifah ke dasweṉ hisse ke barábar maida ḳhatá kí qurbání ke liye láe. Us par na to wuh tel ḍále, na lubán rakkhe, kyúṉki yih ḳhatá kí qurbání hai. 12Wuh use káhin ke pás láe, aur káhin us meṉ se apní muṭṭhí bharkar us kí yádgárí ká hissa mazbah par Ḳhudáwand kí átashín qurbání ke úpar jaláe. Yih ḳhatá kí qurbání hai. 13Yúṉ káhin us ke liye in bátoṉ meṉ se, jis kisí meṉ us se ḳhatá húí hai, us ḳhatá ká kaffára de, to use mu‘áfí milegí; aur jo kuchh báqí rah jáegá, wuh nazr kí qurbání kí tarah káhin ká kogá.
14Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 15Agar Ḳhudáwand kí pák chízoṉ meṉ kisí se taqsír ho, aur wuh nádánista ḳhatá kare, to wuh apne jurm kí qurbání ke taur par rewaṛ meṉ se be‘aib meṉḍhá Ḳhudáwand ke huzúr chaṛháe. Jurm kí qurbání ke liye us kí qímat maqdis kí misqál ke hisáb se chándí kí utní hí misqáleṉ hoṉ, jitní tú muqarrar kar de. 16Aur jis pák chíz meṉ us se taqsír húí hai, wuh us ká mu‘áwaza de, aur us meṉ páṉchwáṉ hissa âur baṛhákar use káhin ke hawále kare. Yúṉ káhin jurm kí qurbání ká meṉḍhá chaṛhákar us ká kaffára de, to use mu‘áfí milegí.
17Aur agar koí ḳhatá kare, aur un kámoṉ meṉ se, jinheṉ Ḳhudáwand ne mana‘ kiyá hai, kisí kám ko kare, to cháhe wuh yih bát jántá bhí na ho, taubhí mujrim ṭhahregá, aur us ká gunáh usí ke sir lagegá. 18Pas wuh rewaṛ meṉ se ek be‘aib meṉḍhá utne hí dám ká, jo tú muqarrar kar de, jurm kí qurbání ke taur par káhin ke pás láe. Yúṉ káhin us kí us bát ká, jis meṉ us se nádánista chúk ho gayí, kaffára de, to use mu‘áfí milegí. 19Yih jurm kí qurbání hai, kyúṉki wuh yaqínan Ḳhudáwand ke áge mujrim hai.

Currently Selected:

Ahbár 5: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in