Ahbár 6
6
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Agar kisí se yih ḳhatá ho, ki wuh Ḳhudáwand ká qusúr kare, aur amánat, yá len den, yá lúṭ ke mu‘ámale meṉ apne hamsáye ko fareb de, yá apne hamsáye par zulm kare, 3yá kisí khoí húí chíz ko pákar fareb de, aur jhúṭhí qasam bhí khá le; pas in meṉ se ḳhwáh koí bát ho, jis meṉ kisí shaḳhs se ḳhatá ho gayí hai; 4so agar us se ḳhatá húí hai, aur wuh mujrim ṭhahrá hai, to jo chíz us ne lúṭí, yá jo chíz us ne zulm karke chhíní, yá jo chíz us ke pás amánat thí, yá jo khoí húí chíz use milí, 5yá jis chíz ke báre meṉ us ne jhúṭhí qasam kháí, us chíz ko wuh zarúr púrá púrá wápas kare, aur asl ke sáth páṉchwáṉ hissa bhí baṛhákar de. Jis din yih ma‘lúm ho ki wuh mujrim hai, usí din wuh use us ke málik ko wápas de; 6aur apne jurm kí qurbání Ḳhudáwand ke huzúr chaṛháe, aur jitná dám tú muqarrar kare, utne dám ká ek be‘aib meṉḍhá rewaṛ meṉ se jurm kí qurbání ke taur par káhin ke pás láe. 7Yúṉ káhin us ke liye Ḳhudáwand ke huzúr kaffára de, to jis kám ko karke wuh mujrim ṭhahrá hai, us kí use mu‘áfí milegí.
8Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 9Hárún aur us ke beṭoṉ ko yúṉ hukm de, ki soḳhtaní qurbání ke báre meṉ shara‘ yih hai, ki soḳhtaní qurbání mazbah ke úpar átashdán par tamám rát subh tak rahe, aur mazbah kí ág us par jaltí rahe. 10Aur káhin apná katán ká libás pahine, aur katán ke pájáme ko apne tan par ḍále; aur ág ne jo soḳhtání qurbání ko mazbah par bhasam karke rákh kar diyá hai, us rákh ko uṭhákar use mazbah kí ek taraf rakkhe. 11Phir wuh apne libás ko utárkar dúsre kapṛe pahine, aur us rákh ko uṭhákar lashkargáh ke báhar kisí sáf jagah meṉ le jáe. 12Aur mazbah par ág jaltí rahe, aur kabhí bujhne na páe; aur káhin har subh ko us par lakṛiyáṉ jalákar soḳhtaní qurbání ko us ke úpar chun de, aur salámatí ke zabíhoṉ kí charbí ko us ke úpar jaláyá kare. 13Mazbah par ág hamesha jaltí rakkhí jáe; wuh kabhí bujhne na páe.
14Aur nazr kí qurbání ke báre meṉ shara‘ yih hai, ki Hárún ke beṭe use mazbah ke áge Ḳhudáwand ke huzúr guzráneṉ. 15Aur wuh nazr kí qurbání meṉ se apní muṭṭhí bhar is tarah nikále, ki us meṉ thoṛá sá maida aur kuchh tel jo us meṉ paṛá hogá, aur nazr kí qurbání ká sab lubán á jáe, aur is yádgárí ke hisse ko mazbah par Ḳhudáwand ke huzúr ráhatangez ḳhushbú ke taur par jaláe. 16Aur jo báqí bache use Hárún aur us ke beṭe kháeṉ. Wuh bag̣air ḳhamír ke pák jagah meṉ kháyá jáe, ya‘ní wuh ḳhaima e ijtimá‘ ke sahn meṉ use kháeṉ. 17Wuh ḳhamír ke sáth pakáyá na jáe. Maiṉ ne yih apní átashín qurbáníoṉ meṉ se un ká hissa diyá hai; aur yih ḳhatá kí qurbání aur jurm kí qurbání kí tarah niháyat pák hai. 18Hárún kí aulád ke sab mard us meṉ se kháeṉ. Tumhárí pusht dar pusht Ḳhudáwand kí átashín qurbáníoṉ meṉ se yih un ká haqq hogá. Jo ko unheṉ chhúe, wuh pák ṭhahregá.
19Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 20Jis din Hárún ko masah kiyá jáe, us din wuh aur us ke beṭe Ḳhudáwand ke huzúr yih chaṛháwá chaṛháeṉ, ki aifah ke dasweṉ hisse ke barábar maida, ádhá subh ko aur ádhá shám ko, hamesha nazr kí qurbání ke liye láeṉ. 21Wuh tawe par tel meṉ pakáyá jáe: jab wuh tar ho jáe, to use le áná. Is nazr kí qurbání ko pakwán ke ṭukṛoṉ kí súrat meṉ guzránná, táki wuh Ḳhudáwand ke liye ráhatangez ḳhushbú bhí ho. 22Aur jo us ke beṭoṉ meṉ se us kí jagah káhin mamsúh ho, wuh bhí use guzráne. Yih dáimí qánún hogá ki wuh Ḳhudáwand ke huzúr bi’lkull jaláyá jae. 23Káhin kí har ek nazr kí qurbání bi’lkull jaláí jáe: wuh kabhí kháí na jáe.
24Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 25Hárún aur us ke beṭoṉ se kah, ki Ḳhatá kí qurbání be báre meṉ shara‘ yih hai, ki jis jagah soḳhtaní qurbání ká jánwar zabh kiyá játá hai, wahíṉ ḳhatá kí qurbání ká jánwar bhí Ḳhudáwand ke áge zabh kiyá jáe: wuh niháyat pák hai. 26Jo káhin use ḳhatá ke liye guzráne, wuh use kháe: wuh pák jagah meṉ, ya‘ní ḳhaima e ijtimá‘ ke sahn meṉ kháyá jáe. 27Jo kuchh us ke gosht se chhú jáe, wuh pák ṭhahregá; aur agar kisí kapṛe par us ke ḳhún kí chhíṉṭ paṛ jáe, to jis kapṛe par us kí chhíṉṭ paṛí hai, use kisí pák jagah meṉ dhoná. 28Aur miṭṭí ká wuh bartan, jis meṉ wuh pakáyá jáe, toṛ diyá jáe; par agar wuh pítal ke bartan meṉ pakáyá jáe, to us bartan ko máṉjkar pání se dho liyá jáe. 29Aur káhinoṉ meṉ se har ek mard use kháe: wuh niháyat pák hai. 30Par jis ḳhatá kí qurbání ká kuchh ḳhún ḳhaima e ijtimá‘ ke andar pák makán meṉ kaffáre ke liye pahuṉcháyá gayá hai, us ká gosht kabhí na kháyá jáe, balki wuh ág se jalá diyá jáe.
Currently Selected:
Ahbár 6: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)