YouVersion Logo
Search Icon

Ahbár 7

7
1Aur jurm kí qurbání ke báre meṉ shara‘ yih hai: wuh niháyat muqaddas hai. 2Jis jagah soḳhtaní qurbání ke jánwar ko zabh karte haiṉ, wahíṉ wuh jurm kí qurbání ke jánwar ko bhí zabh kareṉ; aur wuh us ke ḳhún ko mazbah ke girdágird chhiṛke; 3aur wuh us kí sab charbí ko chaṛháe, ya‘ní us kí moṭí dum ko aur us charbí ko jis se antṛiyáṉ ḍhakí rahtí haiṉ; 4aur donoṉ gurde aur un ke úpar kí charbí jo kamar ke pás rahtí hai, aur jigar par kí jhillí gurdoṉ samet in sab ko wuh alag kare: 5aur káhin un ko mazbah par Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání ke taur par jaláe. Yih jurm kí qurbání hai. 6Aur káhinoṉ meṉ se har mard use kháe: aur kisí pák jagah meṉ use kháeṉ: wuh niháyat pák hai. 7Jurm kí qurbání waisí hí hai jaisí ḳhatá kí qurbání hai, aur un ke liye ek hí shara‘ hai; aur unheṉ wuhí káhin le jo in se kaffára detá hai. 8Aur jo káhin kisí shaḳhs kí taraf se soḳhtaní qurbání guzrántá hai, wuhí káhin us soḳhtaní qurbání kí khál ko, jo us ne guzrání, apne wáste le le. 9Aur har ek nazr kí qurbání jo tanúr meṉ pakáí jáe, aur wuh bhí jo kaṛáhí meṉ taiyár kí jáe, aur tawe kí pakí húí bhí usí káhin kí hai jo use guzráne. 10Aur har ek nazr kí qurbání, ḳhwáh us meṉ tel milá húá ho, yá wuh ḳhushk ho, barábar barábar Hárún ke sab beṭoṉ ke liye ho.
11Aur salámatí ke zabíhe ke báre meṉ, jise koí Ḳhudáwand ke huzúr chaṛháe, shara‘ yih hai: 12ki wuh agar shukráne ke taur par use chaṛháe, to wuh shukráne ke zabíhe ke sáth tel mile húe beḳhamírí kulche, aur tel chupṛí húí beḳhamírí chapátiyáṉ aur tel mile húe maide ke tar kulche bhí guzráne. 13Aur salámatí ke zabíhe kí qurbání ke sáth, jo shukráne ke liye hogí, wuh ḳhamírí roṭí ke girde apne chaṛháwe par guzráne. 14Aur har chaṛháwe meṉ se wuh ek ko lekar use Ḳhudáwand ke rúbarú hiláne kí qurbání ke taur par chaṛháe; aur yih us káhin ká ho, jo salámatí ke zabíhe ká ḳhún chhiṛaktá hai. 15Aur salámatí ke zabíhoṉ kí us qurbání ká gosht, jo us kí taraf se shukráne ke taur par hogí, qurbání chaṛháne ke din hí khá liyá jáe: wuh us meṉ se kuchh subh tak báqí na chhoṛe. 16Par agar us ke chaṛháwe kí qurbání mannat ká yá razá ká hadya ho, to wuh us din kháí jáe, jis din wuh apní qurbání guzráne; aur jo kuchh us meṉ se bach rahe, wuh dúsre din kháyá jáe. 17Par jo kuchh us qurbání ke gosht meṉ se tísre din tak rah jáe, wuh ág meṉ jalá diyá jáe. 18Aur us ke salámatí ke zabíhoṉ kí qurbání ke gosht meṉ se agar kuchh tísre din kháyá jáe, to wuh manzúr na hogá, aur na us ká sawáb qurbání denewále kí taraf mansúb hogá, balki yih makrúh bát hogí; aur jo us meṉ se kháe, us ká gunáh usí ke sir lagegá. 19Aur jo gosht kisí nápák chíz se chhú jáe, kháyá na jáe: wuh ág meṉ jaláyá jáe; aur zabíhe ke gosht ko, jo pák hai, wuh to kháe; 20lekin jo shaḳhs najásat kí hálat meṉ Ḳhudáwand kí salámatí ke zabíhe ká gosht kháe, wuh apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe. 21Aur jo koí kisí nápák chíz ko chhúe, ḳhwáh wuh insán kí najásat ho, yá nápák jánwar ho, yá koí najis makrúh shai ho, aur phir Ḳhudáwand ke salámatí ke zabíhe ke gosht meṉ se kháe, wuh bhí apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe.
22Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 23Baní Isráíl se kah, ki Tum log na to bail kí, na bheṛ kí, aur na bakrí kí kuchh charbí kháná. 24Jo jánwar ḳhud ba ḳhud mar gayá ho, aur jis ko darandoṉ ne pháṛá ho, un kí charbí âur âur kám meṉ láo to láo, par use tum kisí hál meṉ na kháná. 25Kyúṉki jo koí aise chaupáye kí charbí kháe, jise log átashín qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr chaṛháte haiṉ, wuh khánewálá ádmí apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe. 26Aur tum apní sukúnatgáhoṉ meṉ kahíṉ bhí kisí tarah ká ḳhún, ḳhwáh parande ká ho, yá chaupáye ká, hargiz na kháná. 27Jo koí kisí tarah ká ḳhún ḳháe, wuh shaḳhs apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe.
28Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 29Baní Isráíl se kah, ki Jo koí apná salámatí ká zabíha Ḳhudáwand ke huzúr guzráne, wuh ḳhud hí apne salámatí ke zabíhe kí qurbání meṉ se apná chaṛháwá Ḳhudáwand ke huzúr láe. 30Wuh apne hí háthoṉ meṉ Ḳhudáwand kí átashín qurbání ko láe; ya‘ní charbí ko síne samet láe, ki sína hiláne kí qurbání ke taur par hiláyá jáe. 31Aur káhin charbí ko mazbah par jaláe, par sína Hárún aur us ke beṭoṉ ká ho. 32Aur tum salámatí ke zabíhoṉ kí dahiní rán uṭháne kí qurbání ke taur par káhin ko dená. 33Hárún ke beṭoṉ meṉ se jo salámatí ke zabíhoṉ ká ḳhún aur charbí guzráne, wuhí wuh dahiní rán apná hissa le. 34Kyúṉki baní Isráíl ke salámatí ke zabíhoṉ meṉ se hiláne kí qurbání ká sína aur uṭháne kí qurbání kí rán ko lekar maiṉ ne Hárún káhin aur us ke beṭoṉ ko diyá hai, ki yih hamesha baní Isráíl kí taraf se un ká haqq ko.
35Yih Ḳhudáwand kí átashín qurbáníoṉ meṉ se Hárún ke mamsúh hone ká, aur us ke beṭoṉ ke mamsúh hone ká hissa hai, jo us din muqarrar húá, jab wuh Ḳhudáwand ke huzúr káhin kí ḳhidmat ko anjám dene ke liye házir kiye gaye; 36ya‘ní jis din Ḳhudáwand ne unheṉ masah kiyá, us din us ne yih hukm diyá, ki baní Isráíl kí taraf se unheṉ yih milá kare; so un kí nasl dar nasl yih un ká haqq rahegá. 37Soḳhtaní qurbání aur nazr kí qurbání, aur ḳhatá kí qurbání, aur jurm kí qurbání, aur taḳhsís, aur salámatí ke zabíhe ke báre meṉ shara‘ yih hai, 38jis ká hukm Ḳhudáwand ne Músá ko us din koh i Síná par diyá, jis din us ne baní Isráíl ko farmáyá, ki Síná ke biyábán meṉ Ḳhudáwand ke huzúr apní qurbání guzráneṉ.

Currently Selected:

Ahbár 7: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in