Ahbár 8
8
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Hárún, aur us ke sáth us ke beṭoṉ ko, aur libás ko, aur masah karne ke tel ko, aur ḳhatá kí qurbání ke bachhṛe aur donoṉ meṉḍhoṉ, aur beḳhamírí roṭiyoṉ kí ṭokrí ko le; 3aur sárí jamá‘at ko ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par jama‘ kar. 4Chunáṉchi Músá ne Ḳhudáwand ke hukm ke mutábiq ‘amal kiyá; aur sárí jamá‘at ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par jama‘ húí. 5Tab Músá ne jamá‘at se kahá, Yih wuh kám hai, jis ke karne ká hukm Ḳhudáwand ne diyá hai. 6Phir Músá Hárún aur us ke beṭoṉ ko áge láyá, aur un ko pání se g̣usl diláyá. 7Aur us ko kurtá pahinákar us par kamarband lapeṭá, aur us ko jubba pahinákar us par afod lagáyá, aur afod ke kárígarí se bune húe kamarband ko us par lapeṭá, aur usí se us ko us ke úpar kas diyá. 8Aur sínaband ko us ke úpar lagákar sínaband meṉ Úrím aur Tummím lagá diye. 9Aur us ke sir par ‘amáma rakkhá, aur ‘amáme par sámne sone ká pattar, ya‘ní muqaddas táj ko lagáyá, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm kiyá thá. 10Aur Músá ne masah karne ká tel liyá, aur maskan ko, aur jo kuchh us meṉ thá, sab ko masah karke muqaddas kiyá; 11aur us meṉ se thoṛá sá lekar mazbah par sát bár chhiṛká; aur mazbah, aur us ke sab zurúf ko, aur hauz, aur us kí kursí ko masah kiyá, táki unheṉ muqaddas kare. 12Aur masah karne ke tel meṉ se thoṛá sá Hárún ke sir par ḍálá, aur use masah kiyá, táki wuh muqaddas ho. 13Phir Músá Hárún ke beṭoṉ ko áge láyá, aur un ko kurte pahináe, aur un par kamarband lapeṭe, aur un ko pagṛiyáṉ pahináíṉ, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm kiyá thá. 14Aur wuh ḳhatá kí qurbání ke bachhṛe ko áge láyá, aur Hárún aur us ke beṭoṉ ne apne apne háth ḳhatá kí qurbání ke bachhṛe ke sir par rakkhe. 15Phir us ne us ko zabh kiyá, aur Músá ne ḳhún ko lekar mazbah ke girdágird us ke síṉgoṉ par apní unglí se lagáyá, aur mazbah ko pák kiyá; aur báqí ḳhún mazbah ke páye par unḍelkar us ká kaffára diyá, táki wuh muqaddas ho. 16Aur Músá ne antṛiyoṉ ke úpar kí sárí charbí aur jigar par kí jhillí, aur donoṉ gurdoṉ aur un kí charbí ko liyá, aur unheṉ mazbah par jaláyá; 17lekin bachhṛe ko, us kí khál aur gosht aur gobar samet, lashkargáh ke báhar ág meṉ jaláyá, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ho hukm kiyá thá. 18Phir us ne soḳhtaní qurbání ke meṉḍhe ko házir kiyá; aur Hárún aur us ke beṭoṉ ne apne apne háth us meṉḍhe ke sir par rakkhe. 19Aur us ne us ko zabh kiyá: aur Músá ne ḳhún ko mazbah ke úpar girdágird chhiṛká. 20Phir us ne meṉḍhe ke ‘uzw ‘uzw ko káṭkar alag kiyá, aur Músá ne sir aur a‘zá aur charbí ko jaláyá. 21Aur us ne antṛiyoṉ aur páyoṉ ko pání se dhoyá, aur Músá ne púre meṉḍhe ko mazbah par jaláyá. Yih soḳhtaní qurbání ráhatangez ḳhushbú ke liye thí. Yih Ḳhudáwand kí átashín qurbání thí, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm kiyá thá. 22Aur us ne dúsre meṉḍhe ko, jo taḳhsísí meṉḍhá thá, házir kiyá; aur Hárún aur us ke beṭoṉ ne apne apne háth us meṉḍhe ke sir par rakkhe; 23aur us ne us ko zabh kiyá, aur Músá ne us ká kuchh ḳhún lekar use Hárún ke dahine kán kí lau par, aur dahine háth ke angúṭhe, aur dahine páṉw ke angúṭhe par lagáyá. 24Phir wuh Hárún ke beṭoṉ ko áge láyá, aur usí ḳhún meṉ se kuchh un ke dahine kán kí lau par, aur dahine háth ke angúṭhe, aur dahine páṉw ke angúṭhe par lagáyá; aur báqí ḳhún ko us ne mazbah ke úpar girdágird chhiṛká. 25Aur us ne charbí, aur moṭí dum, aur anṭriyoṉ ke úpar kí charbí, aur jigar par kí jhillí, aur donoṉ gurde, aur un kí charbí, aur dahiní rán, in sabhoṉ ko liyá; 26aur beḳhamírí roṭiyoṉ kí ṭokrí meṉ se, jo Ḳhudáwand ke huzúr rahtí thí, beḳhamírí roṭí ká ek girda, aur tel chupṛí húí roṭí ká ek girda, aur ek chapátí nikálkar unheṉ charbí aur dahiní rán par rakkhá; 27aur in sabhoṉ ko Hárún aur us ke beṭoṉ ke háthoṉ par rakhkar unheṉ hiláne kí qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr hiláyá. 28Phir Músá ne unheṉ un ke háthoṉ se le liyá, aur unheṉ mazbah par soḳhtaní qurbání ke úpar jaláyá. Yih ráhatangez ḳhushbú ke liye taḳhsísí qurbání thí. Yih Ḳhudáwand kí átashín qurbání thí. 29Phir Músá ne síne ko liyá, aur us ko hiláne kí qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr hiláyá. Us taḳhsísí meṉḍhe meṉ se yihí Músá ká hissa thá, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm kiyá thá. 30Aur Músá ne masah karne ke tel aur mazbah ke úpar ke ḳhún meṉ se kuchh kuchh lekar use Hárún aur us ke libás par, aur sáth hí us ke beṭoṉ par, aur un ke libás par chhiṛká; aur Hárún aur us ke libás ko, aur us ke beṭoṉ ko, aur un ke libás ko muqaddas kiyá. 31Aur Músá ne Hárún aur us ke beṭoṉ se kahá, ki Yih gosht ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par pakáo: aur is ko wahíṉ us roṭí ke sáth, jo taḳhsísí ṭokrí meṉ hai, kháo, jaisá maiṉ ne hukm kiyá hai, ki Hárún aur us ke beṭe use kháeṉ. 32Aur is gosht aur roṭí meṉ se, jo kuchh bach rahe, use ág meṉ jalá dená. 33Aur jab tak tumhárí taḳhsís ke aiyám púre na hoṉ, tab tak, ya‘ní sát din tak, tum ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze se báhar na jáná; kyúṉki sát din tak wuh tumhárí taḳhsís kartá rahegá. 34Jaisá áj kiyá gayá hai, waisá hí karne ká hukm Ḳhudáwand ne diyá hai, táki tumháre liye kaffára ho. 35So tum ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par sát roz tak din rát ṭhahre rahná, aur Ḳhudáwand ke hukm ko mánná, táki tum mar na jáo; kyúṉki aisá hí hukm mujh ko milá hai. 36Pas Hárún aur us ke beṭoṉ ne sab kám Ḳhudáwand ke hukm ke mutábiq kiyá, jo us ne Músá kí ma‘rifat diyá thá.
Currently Selected:
Ahbár 8: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Ahbár 8

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)