YouVersion Logo
Search Icon

Ahbár 9

9
1Áṭhweṉ din Músá ne Hárún aur us ke beṭoṉ ko, aur baní Isráíl ke buzurgoṉ ko buláyá, aur Hárún se kahá, ki 2Ḳhatá kí qurbání ke liye ek be‘aib bachhṛá, aur soḳhtaní qurbání ke liye ek be‘aib meṉḍhá tú apne wáste le, aur un ko Ḳhudáwand ke huzúr guzrán. 3Aur baní Isráíl se kah, ki Tum ḳhatá kí qurbání ke liye ek bakrá, aur soḳhtaní qurbání ke liye ek bachhṛá, aur ek barra, jo yaksála aur be‘aib hoṉ, lo. 4Aur salámatí ke zabíhe ke liye Ḳhudáwand ke huzúr chaṛháne ke wáste ek bail aur ek meṉḍhá; aur tel milí húí nazr kí qurbání bhí lo; kyúṉki áj Ḳhudáwand tum par záhir hogá. 5Aur wuh jo kuchh Músá ne hukm kiyá thá, sab ḳhaima e ijtimá‘ ke sámne le áe; aur sárí jamá‘at nazdík ákar Ḳhudáwand ke huzúr khaṛí húí. 6Músá ne kahá, Yih wuh kám hai, jis kí bábat Ḳhudáwand ne hukm diyá hai, ki tum use karo, aur Ḳhudáwand ká jalál tum par záhir hogá. 7Aur Músá ne Hárún se kahá, ki Mazbah ke nazdík já, aur apní ḳhatá kí qurbání aur apní soḳhtaní qurbání guzrán; aur apne liye aur qaum ke liye kaffára de; aur jamá‘at ke chaṛháwe ko guzrán, aur un ke liye kaffára de, jaisá Ḳhudáwand ne hukm kiyá hai. 8So Hárún ne mazbah ke pás jákar us bachhṛe ko, jo us kí ḳhatá kí qurbání ke liye thá, zabh kiyá. 9Aur Hárún ke beṭe ḳhún ko us ke pás le gaye; aur us ne apní unglí us meṉ ḍubo ḍubokar use mazbah ke síṉgoṉ par lagáyá, aur báqí ḳhún mazbah ke páye par unḍel diyá. 10Lekin ḳhatá kí qurbání kí charbí, aur gurdoṉ, aur jigar par kí jhillí ko us ne mazbah par jaláyá, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm kiyá thá. 11Aur gosht aur khál ko lashkargáh ke báhar ág meṉ jaláyá. 12Phir us ne soḳhtaní qurbání ke jánwar ko zabh kiyá; aur Hárún ke beṭoṉ ne ḳhún use diyá, aur us ne us ko mazbah ke girdágird chhiṛká. 13Aur soḳhtaní qurbání ko ek ek ṭukṛá karke, sir samet us ko diyá; aur us ne unheṉ mazbah par jaláyá. 14Aur us ne antṛiyoṉ aur páyoṉ ko dhoyá, aur un ko mazbah par soḳhtaní qurbání ke úpar jaláyá. 15Phir jamá‘at ke chaṛháwe ko áge lákar, aur us bakre ko, jo jamá‘at kí ḳhatá kí qurbání ke liye thá, lekar us ko zabh kiyá, aur pahle kí tarah use bhí ḳhatá ke liye guzráná. 16Aur soḳhtaní qurbání ke jánwar ko áge lákar us ne use hukm ke mutábiq guzráná. 17Phir nazr kí qurbání ko áge láyá, aur us meṉ se ek muṭṭhí lekar subh kí soḳhtaní qurbání ke ‘aláwa use jaláyá. 18Aur us ne bail aur meṉḍhe ko, jo logoṉ kí taraf se salámatí ke zabíhe the, zabh kiyá; aur Hárún ke beṭoṉ ne ḳhún use diyá, aur us ne us ko mazbah par girdágird chhiṛká. 19Aur unhoṉ ne bail kí charbí ko, aur meṉḍhe kí moṭí dum ko, aur us charbí ko jis se antṛiyáṉ ḍhakí rahtí haiṉ, aur donoṉ gurdoṉ, aur jigar par kí jhillí ko bhí use diyá; 20aur charbí sínoṉ par dhar dí: so us ne wuh charbí mazbah par jaláí: 21aur sína aur dahiní rán ko Hárún ne Músá ke hukm ke mutábiq hiláne kí qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr hiláyá. 22Aur Hárún ne jamá‘at kí taraf apne háth baṛhákar un ko barakat dí; aur ḳhatá kí qurbání, aur soḳhtaní qurbání, aur salámatí kí qurbání guzránkar níche utar áyá. 23Aur Músá aur Hárún ḳhaima e ijtimá‘ meṉ dáḳhil húe, aur báhar nikalkar logoṉ ko barakat dí. Tab sab logoṉ par Ḳhudáwand ká jalál namúdár húá, 24aur Ḳhudáwand ke huzúr se ág niklí, aur soḳhtaní qurbání aur charbí ko mazbah ke úpar bhasam kar diyá; logoṉ ne yih dekhkar na‘re máre aur sarnigún ho gaye.

Currently Selected:

Ahbár 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in