YouVersion Logo
Search Icon

Gintí 1

1
1Baní Isráíl ke mulk i Misr se nikal áne ke dúsre baras ke dúsre mahíne kí pahlí táríḳh ko Síná ke biyábán meṉ Ḳhudáwand ne ḳhaima e ijtimá‘ meṉ Músá se kahá, ki 2Tum ek ek mard ká nám le lekar gino, aur un ke námoṉ kí ta‘dád se baní Isráíl kí sárí jamá‘at kí mardumshumárí ká hisáb un ke qabíloṉ aur ábáí ḳhándánoṉ ke mutábiq karo. 3Bís baras aur us se úpar úpar kí ‘umr ke jitne Isráílí jang karne ke qábil hoṉ, un sabhoṉ ke alag alag daloṉ ko, tú aur Hárún donoṉ milkar gin ḍálo. 4Aur har qabíle se ek ek ádmí jo apne ábáí ḳhándán ká sardár hai tumháre sáth ho. 5Aur jo ádmí tumháre sáth hoṉge, un ke nám yih haiṉ: — Rúbin ke qabíle se Ilísúr bin Shadíúr; 6Shama‘ún ke qabíle se Salúmíel bin Súríshaddaí; 7Yahúdáh ke qabíle se Nahson bin ‘Ammínadáb; 8Ishkár ke qabíle se Nataníel bin Zug̣r; 9Zabúlún ke qabíle se Ilíáb bin Helon; 10Yúsuf kí nasl meṉ se Ifráím ke qabíle ká Ilísama‘ bin ‘Ammíhúd, aur Munassí ke qabíle ká Jamlíel bin Fadáhsúr; 11Binyamín ke qabíle se Abidán bin Jida‘úní; 12Dán ke qabíle se Aḳhí‘azar bin ‘Ammíshaddaí; 13Áshar ke qabíle se Faja‘íel bin ‘Akrán; 14Jadd ke qabíle se Ilyásaf bin Da‘úel; 15Naftálí ke qabíle se Aḳhíra‘ bin ‘Enán. 16Yihí ashḳhás jo apne ábáí qabíloṉ ke raís aur baní Isráíl meṉ hazároṉ ke sardár the, jamá‘at meṉ se buláe gaye. 17Aur Músá aur Hárún ne in ashḳhás ko jin ke nám mazkúr haiṉ apne sáth liyá. 18Aur unhoṉ ne dúsre mahíne kí pahlí táríḳh ko sárí jamá‘at ko jama‘ kiyá: aur in logoṉ ne bís baras aur us se úpar úpar kí ‘umr ke sab ádmíoṉ ká shumár karwáke apne apne qabíle, aur ábáí ḳhándan ke mutábiq apná apná hasb o nasb likhwáyá. 19So jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm diyá thá, usí ke mutábiq us ne un ko dasht i Síná meṉ giná.
20Aur Isráíl ke pahlauṭhe Rúbin kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq apne nám se giná gayá. 21So Rúbin ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye, wuh chhiyálís hazár páṉch sau the.
22Aur Shama‘ún kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq apne nám se giná gayá. 23So Shama‘ún ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh unsaṭh hazár tín sau the.
24Aur Jadd kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 25So Jadd ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh paiṉtálís hazár chha sau pachás the.
26Aur Yahúdáh kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 27So Yahúdáh ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh chauhattar hazár chha sau the.
28Aur Ishkár kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 29So Ishkár ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh chauwan hazár chár sau the.
30Aur Zabúlún kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 31So Zabúlún ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh sattáwan hazár chár sau the.
32Aur Yúsuf kí aulád ya‘ní Ifráím kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 33So Ifráím ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh chálís hazár páṉch sau the.
34Aur Munassí kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 35So Munassí ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh battís hazár do sau the.
36Aur Binyamín kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 37So Binyamín ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh paiṉtís hazír char sau the.
38Aur Dán kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 39So Dán ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh básaṭh hazár sát sau the.
40Áshar kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 41So Áshar ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh iktálís hazár páṉch sau the.
42Aur Naftálí kí nasl ke logoṉ meṉ se ek ek mard, jo bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ká aur jang karne ke qábil thá, wuh apne gharáne aur ábáí ḳhándán ke mutábiq giná gayá. 43So Naftálí ke qabíle ke jo ádmí shumár kiye gaye wuh tirpan hazár chár sau the.
44Yihí wuh log haiṉ, jo gine gaye. In hí ko Músá aur Hárún aur baní Isráíl ke bárah raísoṉ ne jo apne apne ábáí ḳhándán ke sardár the giná. 45So baní Isráíl meṉ se jitne ádmí bís baras yá us se úpar úpar kí ‘umr ke aur jang ke qábil the, wuh sab gine gaye. 46Aur un sabhoṉ ká shumár chha lákh tín hazár páṉch sau pachás thá.
47Par Láwí apne ábáí qabíle ke mutábiq un ke sáth gine nahíṉ gaye. 48Kyúṉki Ḳhudáwand ne Músá se kahá thá, ki 49Tú Láwíoṉ ke qabíle ko na ginná, aur na baní Isráíl ke shumár meṉ un ká shumár dáḳhil karná; 50balki tú Láwíoṉ ko shahádat ke maskan, aur us ke sab zurúf, aur us ke sab lawázim ke mutawallí muqarrar karná. Wuhí maskan aur us ke sab zurúf ko uṭháyá kareṉ, aur wuhí us meṉ ḳhidmat bhí kareṉ, aur maskan ke áspás wuhí apne ḍere lagáyá kareṉ. 51Aur jab maskan ko áge rawána karne ká waqt ho, to Láwí use utáreṉ; aur jab maskan ko lagáne ká waqt ho to Láwí use khaṛá kareṉ; aur agar koí ajnabí shaḳhs us ke nazdík áe to wuh ján se márá jáe. 52Aur baní Isráíl apne apne daloṉ ke mutábiq apní apní chháoní aur apne apne jhanḍe ke pás apne apne ḍere ḍáleṉ. 53Lekin Láwí shahádat ke maskan ke girdágird ḍere lagáeṉ, táki baní Isráíl kí jamá‘at par g̣azab na ho; aur Láwí hí shahádat ke maskan kí nigahbání kareṉ. 54Chunáṉchi baní Isráíl ne, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm diyá thá, waisá hí kiyá.

Currently Selected:

Gintí 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in