Gintí 2
2
1Aur Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá, ki 2Baní Isráíl apne apne ḍere apne apne jhanḍe ke pás, aur apne apne ábáí ḳhándán ke ‘alam ke sáth ḳhaima e ijtimá‘ ke muqábil aur us ke girdágird lagáeṉ. 3Aur jo mashriq kí taraf jidhar se súraj nikaltá hai apne ḍere apne daloṉ ke mutábiq lagáeṉ, wuh Yahúdáh kí chháoní ke jhanḍe ke log hoṉ: aur ‘Ammínadáb ká beṭá Nahson baní Yahúdáh ká sardár ho. 4Aur us ke dal ke log jo shumár kiye gaye the wuh sab chauhattar hazár chha sau the. 5Aur in ke qaríb Ishkár ke qabíle ke log ḍere ḍáleṉ; aur Zug̣r ká beṭá Nataníel baní Ishkár ká sardár ho. 6Aur us ke dal ke log jo shumár kiye gaye the chauwan hazár chár sau the. 7Phir Zabúlún ká qabíla ho, aur Helon ká beṭá Ilíáb baní Zabúlún ká sardár ho. 8Aur us ke dal ke log jo shumár kiye gaye the wuh sattáwan hazár chár sau the. 9So jitne Yahúdáh kí chháoní meṉ apne apne daloṉ ke mutábiq gine gaye, wuh ek lákh chhiyásí hazár chár sau the. Pahle yihí kúch kiyá kareṉ.
10Aur junúb kí taraf apne daloṉ ke mutábiq, Rúbin kí chháoní ke jhanḍe ke log hoṉ, aur Shadíúr ká beṭá Ilísúr baní Rúbin ká sardár ho. 11Aur us ke dal ke log jo shumár kiye gaye the wuh chhiyálís hazár páṉch sau the. 12Aur in ke qaríb Shama‘ún ke qabíle ke log ḍere ḍáleṉ; aur Súríshaddaí ká beṭá Salúmíel baní Shama‘ún ká sardár ho. 13Aur us ke dal ke log jo shumár kiye gaye the wuh unsaṭh hazár tín sau the. 14Phir Jadd ká qabíla ho; aur Ra‘úel ká beṭá Ilyásaf baní Jadd ká sardár ho. 15Aur us ke dal ke log jo shumár kiye gaye the wuh paiṉtálís hazár chha sau pachás the. 16So jitne Rúbin kí chháoní meṉ, apne apne daloṉ ke mutábiq gine gaye wuh ek lákh ikkáwan hazár chár sau pachás the. Kúch ke waqt dúsrí naubat in logoṉ kí ho.
17Phir ḳhaima e ijtimá‘ ma‘ Láwíoṉ kí chháoní ke, jo âur chháoniyoṉ ke bích meṉ hogí, áge jáe aur jis tarah se Láwí ḍere lagáeṉ usí tarah se wuh apní apní jagah aur apne apne jhanḍoṉ ke pás pás chaleṉ.
18Aur mag̣rib kí taraf apne daloṉ ke mutábiq Ifráím kí chháoní ke jhanḍe ke log hoṉ. Aur ‘Ammíhúd ká beṭá Ilísama‘ baní Ifráím ká sardár ho. 19Aur us ke dal ke log, jo shumár kiye gaye the, wuh chálís hazár páṉch sau the. 20Aur in ke qaríb Munassí ká qabíla ho; aur Fadáhsúr ká beṭá Jamlíel baní Munassí ká sardár ho. 21Us ke dal ke log, jo shumár kiye gaye the, battís hazár do sau the. 22Phir Binyamín ká qabíla ho; aur Jida‘úní ká beṭá Abidán baní Binyamín ká sardár ho. 23Aur us ke dal ke log, jo shumár kiye gaye the, wuh paiṉtís hazár chár sau the. 24So jitne Ifráím kí chháoní meṉ apne apne daloṉ ke mutábiq gine gaye, wuh ek lákh áṭh hazár ek sau the. Kúch ke waqt tísrí naubat in logoṉ kí ho.
25Aur shimál kí taraf apne daloṉ ke mutábiq Dán kí chháoní ke jhanḍe ke log hoṉ; aur ‘Ammíshaddaí ká beṭá Aḳhí‘azar baní Dán ká sardár ho. 26Aur us ke dal ke log jo shumár kiye gaye the wuh básaṭh hazár sát sau the. 27In ke qaríb Áshar ke qabíle ke log ḍere lagáeṉ; aur ‘Akrán ká beṭá Faja‘íel baní Áshar ká sardár ho. 28Aur us ke dal ke log jo shumár kiye gaye the wuh iktálís hazár páṉch sau the. 29Phir Naftálí ká qabíla ho; aur ‘Enán ká beṭá Aḳhíra‘ baní Naftálí ká sardár ho. 30Aur us ke dal ke log, jo shumár kiye gaye, wuh tirpan hazár chár sau the. 31So jitne Dán kí chháoní meṉ gine gaye, wuh ek lákh sattáwan hazár chha sau the. Yih log apne apne jhanḍe ke pás pás hokar sab se píchhe kúch kiyá kareṉ.
32Baní Isráíl meṉ se jo log apne ábáí ḳhándán ke mutábiq gine gaye wuh yihí haiṉ; aur sab chháoniyoṉ ke jitne log apne apne daloṉ ke mutábiq gine gaye wuh chha lákh tín hazár páṉch sau pachás the. 33Lekin Láwí, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm kiyá thá, baní Isráíl ke sáth gine nahíṉ gaye. 34So baní Isráíl ne aisá hí kiyá, aur jo jo hukm Ḳhudáwand ne Músá ko diyá thá, usí ke mutábiq wuh apne apne jhanḍe ke pás, aur apne ábáí ḳhándánoṉ ke mutábiq, apne apne gharáne ke sáth ḍere lagáte, aur kúch karte the.
Currently Selected:
Gintí 2: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Gintí 2

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)