YouVersion Logo
Search Icon

Āmāl 1

1
1Muazzaz Thiyufilus, pahlī kitāb meṅ maiṅ ne sab kuchh bayān kiyā jo Īsā ne shurū se le kar 2us din tak kiyā aur sikhāyā, jab use āsmān par uṭhāyā gayā. Jāne se pahle us ne apne chune hue rasūloṅ ko Rūhul-quds kī mārifat mazīd hidāyāt dīṅ. 3Apne dukh uṭhāne aur maut sahne ke bād us ne apne āp ko zāhir karke unheṅ bahut-sī dalīloṅ se qāyl kiyā ki wuh wāqaī zindā hai. Wuh chālīs din ke daurān un par zāhir hotā aur unheṅ Allāh kī bādshāhī ke bāre meṅ batātā rahā. 4Jab wuh abhī un ke sāth thā us ne unheṅ hukm diyā, “Yarūshalam ko na chhoṛnā balki is intazār meṅ yihīṅ ṭhahro ki Bāp kā wādā pūrā ho jāe, wuh wādā jis ke bāre meṅ maiṅ ne tum ko āgāh kiyā hai. 5Kyoṅki Yahyā ne to pānī se baptismā diyā, lekin tum ko thoṛe dinoṅ ke bād Rūhul-quds se baptismā diyā jāegā.”
Īsā ko Uṭhāyā Jātā Hai
6Jo wahāṅ jamā the unhoṅ ne us se pūchhā, “Ḳhudāwand, kyā āp isī waqt Isrāīl ke lie us kī bādshāhī dubārā qāym kareṅge?”
7Īsā ne jawāb diyā, “Yih jānanā tumhārā kām nahīṅ hai balki sirf Bāp kā jo aise auqāt aur tārīkheṅ muqarrar karne kā iḳhtiyār rakhtā hai. 8Lekin tumheṅ Rūhul-quds kī quwwat milegī jo tum par nāzil hogā. Phir tum Yarūshalam, pūre Yahūdiyā aur Sāmariya balki duniyā kī intahā tak mere gawāh hoge.” 9Yih kah kar wuh un ke deḳhte deḳhte uṭhā liyā gayā. Aur ek bādal ne use un kī nazaroṅ se ojhal kar diyā.
10Wuh abhī āsmān kī taraf dekh hī rahe the ki achānak do ādmī un ke pās ā khaṛe hue. Donoṅ safed libās pahne hue the. 11Unhoṅ ne kahā, “Galīl ke mardo, āp kyoṅ khaṛe āsmān kī taraf dekh rahe haiṅ? Yihī Īsā jise āp ke pās se āsmān par uṭhāyā gayā hai usī tarah wāpas āegā jis tarah āp ne use ūpar jāte hue dekhā hai.”
Yahūdāh kā Jānashīn
12Phir wuh Zaitūn ke pahāṛ se Yarūshalam Shahr wāpas chale gae. (Yih pahāṛ shahr se taqrīban ek kilomīṭar dūr hai.) 13Wahāṅ pahuṅch kar wuh us bālāḳhāne meṅ dāḳhil hue jis meṅ wuh ṭhahre hue the, yānī Patras, Yūhannā, Yāqūb aur Andriyās, Filippus aur Tomā, Bartulmāī aur Mattī, Yāqūb bin Halfaī, Shamāūn Mujāhid aur Yahūdāh bin Yāqūb. 14Yih sab yakdil ho kar duā meṅ lage rahe. Kuchh aurateṅ, Īsā kī māṅ Mariyam aur us ke bhāī bhī sāth the.
15Un dinoṅ meṅ Patras bhāiyoṅ meṅ khaṛā huā. Us waqt taqrīban 120 log jamā the. Us ne kahā, 16“Bhāiyo, lāzim thā ki kalām-e-muqaddas kī wuh peshgoī pūrī ho jo Rūhul-quds ne Dāūd kī mārifat Yahūdāh ke bāre meṅ kī. Yahūdāh un kā rāhnumā ban gayā jinhoṅ ne Īsā ko giriftār kiyā, 17go use ham meṅ shumār kiyā jātā thā aur wuh isī ḳhidmat meṅ hamāre sāth sharīk thā.”
18(Jo paise Yahūdāh ko us ke ġhalat kām ke lie mil gae the un se us ne ek khet ḳharīd liyā thā. Wahāṅ wuh sar ke bal gir gayā, us kā peṭ phaṭ gayā aur us kī tamām antaṛiyāṅ bāhar nikal paṛīṅ. 19Is kā charchā Yarūshalam ke tamām bāshindoṅ meṅ phail gayā, is lie yih khet un kī mādarī zabān meṅ Haqaldamā ke nām se mashhūr huā jis kā matlab hai Ḳhūn kā Khet.)
20Patras ne apnī bāt jārī rakhī, “Yihī bāt zabūr kī kitāb meṅ likhī hai, ‘Us kī rihāishgāh sunsān ho jāe, koī us meṅ ābād na ho.’ Yih bhī likhā hai, ‘Koī aur us kī zimmedārī uṭhāe.’ 21Chunāṅche ab zarūrī hai ki ham Yahūdāh kī jagah kisī aur ko chun leṅ. Yih shaḳhs un mardoṅ meṅ se ek ho jo us pūre waqt ke daurān hamāre sāth safr karte rahe jab Ḳhudāwand Īsā hamāre sāth thā, 22yānī us ke Yahyā ke hāth se baptismā lene se le kar us waqt tak jab use hamāre pās se uṭhāyā gayā. Lāzim hai ki un meṅ se ek hamāre sāth Īsā ke jī uṭhne kā gawāh ho.”
23Chunāṅche unhoṅ ne do ādmī pesh kie, Yūsuf jo Barsabbā kahlātā thā (us kā dūsrā nām Yūstus thā) aur Mattiyāh. 24Phir unhoṅ ne duā kī, “Ai Ḳhudāwand, tū har ek ke dil se wāqif hai. Ham par zāhir kar ki tū ne in donoṅ meṅ se kis ko chunā hai 25tāki wuh us ḳhidmat kī zimmedārī uṭhāe jo Yahūdāh chhoṛ kar wahāṅ chalā gayā jahāṅ use jānā hī thā.” 26Yih kah kar unhoṅ ne donoṅ kā nām le kar qurā ḍālā to Mattiyāh kā nām niklā. Lihāzā use bhī gyārah rasūloṅ meṅ shāmil kar liyā gayā.

Currently Selected:

Āmāl 1: GVR

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Āmāl 1