YouVersion Logo
Search Icon

Āmāl 20

20
Makiduniyā aur Aḳhayā Meṅ
1Jab shahr meṅ afrā-tafrī ḳhatm huī to Paulus ne shāgirdoṅ ko bulā kar un kī hauslā-afzāī kī. Phir wuh unheṅ ḳhairbād kah kar Makiduniyā ke lie rawānā huā. 2Wahāṅ pahuṅch kar us ne jagah bajagah jā kar bahut-sī bātoṅ se īmāndāroṅ kī hauslā-afzāī kī. Yoṅ chalte chalte wuh Yūnān pahuṅch gayā 3jahāṅ wuh tīn māh tak ṭhahrā. Wuh Mulk-e-Shām ke lie jahāz par sawār hone wālā thā ki patā chalā ki Yahūdiyoṅ ne us ke ḳhilāf sāzish kī hai. Is par us ne Makiduniyā se ho kar wāpas jāne kā faislā kiyā. 4Us ke kaī hamsafr the: Beriyā se Purus kā beṭā Sopatrus, Thissalunīke se Aristarḳhus aur Sikundus, Dirbe se Gayus, Tīmuthiyus aur sūbā Āsiyā se Tuḳhikus aur Trufimus. 5Yih ādmī āge nikal kar Troās chale gae jahāṅ unhoṅ ne hamārā intazār kiyā. 6Beḳhamīrī Roṭī kī Īd ke bād ham Filippī ke qarīb jahāz par sawār hue aur pāṅch din ke bād un ke pās Troās pahuṅch gae. Wahāṅ ham sāt din rahe.
Troās meṅ Paulus kī Alwidāī Mīṭing
7Itwār ko ham Ashā-e-Rabbānī manāne ke lie jamā hue. Paulus logoṅ se bāt karne lagā aur chūṅki wuh agle din rawānā hone wālā thā is lie wuh ādhī rāt tak boltā rahā. 8Ūpar kī manzil meṅ jis kamre meṅ ham jamā the wahāṅ bahut-se charāġh jal rahe the. 9Ek jawān khiṛkī kī dahlīz par baiṭhā thā. Us kā nām Yūtiḳhus thā. Jyoṅ jyoṅ Paulus kī bāteṅ lambī hotī jā rahī thīṅ us par nīnd ġhālib ātī jā rahī thī. Āḳhirkār wuh gahrī nīnd meṅ tīsrī manzil se zamīn par gir gayā. Jab logoṅ ne nīche pahuṅch kar use zamīn par se uṭhāyā to wuh jāṅ bahaq ho chukā thā. 10Lekin Paulus utar kar us par jhuk gayā aur use apne bāzuoṅ meṅ le liyā. Us ne kahā, “Mat ghabrāeṅ, wuh zindā hai.” 11Phir wuh wāpas ūpar ā gayā, Ashā-e-Rabbānī manāī aur khānā khāyā. Us ne apnī bāteṅ pau phaṭne tak jārī rakhīṅ, phir rawānā huā. 12Aur unhoṅ ne jawān ko zindā hālat meṅ wahāṅ se le kar bahut tasallī pāī.
Troās se Mīletus Tak
13Ham āge nikal kar Assus ke lie jahāz par sawār hue. Ḳhud Paulus ne intazām karwāyā thā ki wuh paidal jā kar Assus meṅ hamāre jahāz par āegā. 14Wahāṅ wuh ham se milā aur ham use jahāz par lā kar Matulene pahuṅche. 15Agle din ham ḳhiyus ke jazīre se guzare. Us se agle din ham Sāmus ke jazīre ke qarīb āe. Is ke bād ke din ham Mīletus pahuṅch gae. 16Paulus pahle se faislā kar chukā thā ki maiṅ Ifisus meṅ nahīṅ ṭhahrūṅga balki āge niklūṅgā, kyoṅki wuh jaldī meṅ thā. Wuh jahāṅ tak mumkin thā Pantikust kī Īd se pahle pahle Yarūshalam pahuṅchnā chāhtā thā.
Ifisus ke Buzurgoṅ ke lie Paulus kī Alwidāī Taqrīr
17Mīletus se Paulus ne Ifisus kī jamāt ke buzurgoṅ ko bulā liyā. 18Jab wuh pahuṅche to us ne un se kahā, “Āp jānte haiṅ ki maiṅ sūbā Āsiyā meṅ pahlā qadam uṭhāne se le kar pūrā waqt āp ke sāth kis tarah rahā. 19Maiṅ ne baṛī inkisārī se Ḳhudāwand kī ḳhidmat kī hai. Mujhe bahut āṅsū bahāne paṛe aur Yahūdiyoṅ kī sāzishoṅ se mujh par bahut āzmāisheṅ āīṅ. 20Maiṅ ne āp ke fāyde kī koī bhī bāt āp se chhupāe na rakhī balki āp ko alāniyā aur ghar ghar jā kar tālīm detā rahā. 21Maiṅ ne Yahūdiyoṅ ko Yūnāniyoṅ samet gawāhī dī ki unheṅ taubā karke Allāh kī taraf rujū karne aur hamāre Ḳhudāwand Īsā par īmān lāne kī zarūrat hai. 22Aur ab maiṅ Rūhul-quds se bandhā huā Yarūshalam jā rahā hūṅ. Maiṅ nahīṅ jāntā ki mere sāth kyā kuchh hogā, 23lekin itnā mujhe mālūm hai ki Rūhul-quds mujhe shahr bashahr is bāt se āgāh kar rahā hai ki mujhe qaid aur musībatoṅ kā sāmnā karnā paṛegā. 24Ḳhair, maiṅ apnī zindagī ko kisī tarah bhī aham nahīṅ samajhtā. Aham bāt sirf yih hai ki maiṅ apnā wuh mishan aur zimmedārī pūrī karūṅ jo Ḳhudāwand Īsā ne mere sapurd kī hai. Aur wuh zimmedārī yih hai ki maiṅ logoṅ ko gawāhī de kar yih ḳhushḳhabrī sunāūṅ ki Allāh ne apne fazl se un ke lie kyā kuchh kiyā hai.
25Aur ab maiṅ jāntā hūṅ ki āp sab jinheṅ maiṅ ne Allāh kī bādshāhī kā paiġhām sunā diyā hai mujhe is ke bād kabhī nahīṅ dekheṅge. 26Is lie maiṅ āj hī āp ko batātā hūṅ ki agar āp meṅ se koī bhī halāk ho jāe to maiṅ bequsūr hūṅ, 27kyoṅki maiṅ āp ko Allāh kī pūrī marzī batāne se na jhijkā. 28Chunāṅche ḳhabardār rah kar apnā aur us pūre galle kā ḳhayāl rakhnā jis par Rūhul-quds ne āp ko muqarrar kiyā hai. Nigarānoṅ aur charwāhoṅ kī haisiyat se Allāh kī jamāt kī ḳhidmat kareṅ, us jamāt kī jise us ne apne hī Farzand ke ḳhūn se hāsil kiyā hai. 29Mujhe mālūm hai ki mere jāne ke bād wahshī bheṛie āp meṅ ghus āeṅge jo galle ko nahīṅ chhoṛeṅge. 30Āp ke darmiyān se bhī ādmī uṭh kar sachchāī ko toṛ-maroṛ kar bayān kareṅge tāki shāgirdoṅ ko apne pīchhe lagā leṅ. 31Is lie jāgte raheṅ! Yih bāt zahan meṅ rakheṅ ki maiṅ tīn sāl ke daurān din rāt har ek ko samjhāne se bāz na āyā. Mere āṅsuoṅ ko yād rakheṅ jo maiṅ ne āp ke lie bahāe haiṅ.
32Aur ab maiṅ āp ko Allāh aur us ke fazl ke kalām ke sapurd kartā hūṅ. Yihī kalām āp kī tāmīr karke āp ko wuh mīrās muhaiyā karne ke qābil hai jo Allāh tamām muqaddas kie gae logoṅ ko detā hai. 33Maiṅ ne kisī ke bhī sone, chāṅdī yā kapṛoṅ kā lālach na kiyā. 34Āp ḳhud jānte haiṅ ki maiṅ ne apne in hāthoṅ se kām karke na sirf apnī balki apne sāthiyoṅ kī zarūriyāt bhī pūrī kīṅ. 35Apne har kām meṅ maiṅ āp ko dikhātā rahā ki lāzim hai ki ham is qism kī mehnat karke kamzoroṅ kī madad kareṅ. Kyoṅki hamāre sāmne Ḳhudāwand Īsā ke yih alfāz hone chāhieṅ ki denā lene se mubārak hai.”
36Yih sab kuchh kah kar Paulus ne ghuṭne ṭek kar un sab ke sāth duā kī. 37Sab ḳhūb roe aur us ko gale lagā lagā kar bose die. 38Unheṅ ḳhāskar Paulus kī is bāt se taklīf huī ki ‘Āp is ke bād mujhe kabhī nahīṅ dekheṅge.’ Phir wuh us ke sāth jahāz tak gae.

Currently Selected:

Āmāl 20: GVR

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Āmāl 20