Āmāl 8
8
1Aur Sāūl ko bhī Stifanus kā qatl manzūr thā.
Sāūl Jamāt ko Satātā Hai
Us din Yarūshalam meṅ maujūd jamāt saḳht īzārasānī kī zad meṅ ā gaī. Is lie siwāe rasūloṅ ke tamām īmāndār Yahūdiyā aur Sāmariya ke ilāqoṅ meṅ titar-bitar ho gae. 2Kuchh ḳhudātars ādmiyoṅ ne Stifanus ko dafn karke ro ro kar us kā mātam kiyā.
3Lekin Sāūl Īsā kī jamāt ko tabāh karne par tulā huā thā. Us ne ghar ghar jā kar īmāndār mard-o-ḳhawātīn ko nikāl diyā aur unheṅ ghasīṭ kar qaidḳhāne meṅ ḍalwā diyā.
Ḳhushḳhabrī Sāmariya meṅ Phail Jātī Hai
4Jo īmāndār bikhar gae the wuh jagah jagah jā kar Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte phire. 5Is tarah Filippus Sāmariya ke kisī shahr ko gayā aur wahāṅ ke logoṅ ko Masīh ke bāre meṅ batāyā. 6Jo kuchh bhī Filippus ne kahā aur jo bhī ilāhī nishān us ne dikhāe, us par sunane wāle hujūm ne yakdil ho kar tawajjuh dī. 7Bahut-se logoṅ meṅ se badrūheṅ zordār chīḳheṅ mār mār kar nikal gaīṅ, aur bahut-se maflūjoṅ aur langaṛoṅ ko shafā mil gaī. 8Yoṅ us shahr meṅ baṛī shādmānī phail gaī.
9Wahāṅ kāfī arse se ek ādmī rahtā thā jis kā nām Shamāūn thā. Wuh jādūgar thā aur us ke hairatangez kām se Sāmariya ke log bahut muta'assir the. Us kā apnā dāwā thā ki maiṅ koī ḳhās shaḳhs hūṅ. 10Is lie sab log chhoṭe se le kar baṛe tak us par ḳhās tawajjuh dete the. Un kā kahnā thā, ‘Yih ādmī wuh ilāhī quwwat hai jo Azīm kahlātī hai.’ 11Wuh is lie us ke pīchhe lag gae the ki us ne unheṅ baṛī der se apne hairatangez kāmoṅ se muta'assir kar rakhā thā. 12Lekin ab log Filippus kī Allāh kī bādshāhī aur Īsā ke nām ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī par īmān le āe, aur mard-o-ḳhawātīn ne baptismā liyā. 13Ḳhud Shamāūn ne bhī īmān lā kar baptismā liyā aur Filippus ke sāth rahā. Jab us ne wuh baṛe ilāhī nishān aur mojize dekhe jo Filippus ke hāth se zāhir hue to wuh hakkā-bakkā rah gayā.
14Jab Yarūshalam meṅ rasūloṅ ne sunā ki Sāmariya ne Allāh kā kalām qabūl kar liyā hai to unhoṅ ne Patras aur Yūhannā ko un ke pās bhej diyā. 15Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne un ke lie duā kī ki unheṅ Rūhul-quds mil jāe, 16kyoṅki abhī Rūhul-quds un par nāzil nahīṅ huā thā balki unheṅ sirf Ḳhudāwand Īsā ke nām meṅ baptismā diyā gayā thā. 17Ab jab Patras aur Yūhannā ne apne hāth un par rakhe to unheṅ Rūhul-quds mil gayā.
18Shamāūn ne dekhā ki jab rasūl logoṅ par hāth rakhte haiṅ to un ko Rūhul-quds miltā hai. Is lie us ne unheṅ paise pesh karke 19kahā, “Mujhe bhī yih iḳhtiyār de deṅ ki jis par maiṅ hāth rakhūṅ use Rūhul-quds mil jāe.”
20Lekin Patras ne jawāb diyā, “Āp ke paise āp ke sāth ġhārat ho jāeṅ, kyoṅki āp ne sochā ki Allāh kī nemat paisoṅ se ḳharīdī jā saktī hai. 21Is ḳhidmat meṅ āp kā koī hissā nahīṅ hai, kyoṅki āp kā dil Allāh ke sāmne ḳhālis nahīṅ hai. 22Apnī is sharārat se taubā karke Ḳhudāwand se duā kareṅ. Shāyad wuh āp ko is irāde kī muāfī de jo āp ne dil meṅ rakhā hai. 23Kyoṅki maiṅ deḳhtā hūṅ ki āp kaṛwe pit se bhare aur nārāstī ke bandhan meṅ jakaṛe hue haiṅ.”
24Shamāūn ne kahā, “Phir Ḳhudāwand se mere lie duā kareṅ ki āp kī mazkūrā musībatoṅ meṅ se mujh par koī na āe.”
25Ḳhudāwand ke kalām kī gawāhī dene aur us kī munādī karne ke bād Patras aur Yūhannā wāpas Yarūshalam ke lie rawānā hue. Rāste meṅ unhoṅ ne Sāmariya ke bahut-se dehātoṅ meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī.
Filippus aur Ethopiyā kā Afsar
26Ek din Rab ke farishte ne Filippus se kahā, “Uṭh kar junūb kī taraf us rāh par jā jo registān meṅ se guzar kar Yarūshalam se Ġhazzā ko jātī hai.” 27Filippus uṭh kar rawānā huā. Chalte chalte us kī mulāqāt Ethopiyā kī malikā Kandāke ke ek ḳhwājāsarā se huī. Malikā ke pūre ḳhazāne par muqarrar yih darbārī ibādat karne ke lie Yarūshalam gayā thā 28aur ab apne mulk meṅ wāpas jā rahā thā. Us waqt wuh rath meṅ sawār Yasāyāh Nabī kī kitāb kī tilāwat kar rahā thā. 29Rūhul-quds ne Filippus se kahā, “Us ke pās jā kar rath ke sāth ho le.” 30Filippus dauṛ kar rath ke pās pahuṅchā to sunā ki wuh Yasāyāh Nabī kī kitāb kī tilāwat kar rahā hai. Us ne pūchhā, “Kyā āp ko us sab kī samajh ātī hai jo āp paṛh rahe haiṅ?”
31Darbārī ne jawāb diyā, “Maiṅ kyoṅkar samjhūṅ jab tak koī merī rāhnumāī na kare?” Aur us ne Filippus ko rath meṅ sawār hone kī dāwat dī. 32Kalām-e-muqaddas kā jo hawālā wuh paṛh rahā thā yih thā,
‘Use bheṛ kī tarah zabah karne ke lie le gae.
Jis tarah lelā bāl katarne wāle ke sāmne ḳhāmosh rahtā hai,
usī tarah us ne apnā muṅh na kholā.
33Us kī tazlīl kī gaī aur use insāf na milā.
Kaun us kī nasl bayān kar saktā hai?
Kyoṅki us kī jān duniyā se chhīn lī gaī.’
34Darbārī ne Filippus se pūchhā, “Mehrbānī karke mujhe batā dījie ki nabī yahāṅ kis kā zikr kar rahā hai, apnā yā kisī aur kā?” 35Jawāb meṅ Filippus ne kalām-e-muqaddas ke isī hawāle se shurū karke use Īsā ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī sunāī. 36Saṛak par safr karte karte wuh ek jagah se guzare jahāṅ pānī thā. Ḳhwājāsarā ne kahā, “Dekheṅ, yahāṅ pānī hai. Ab mujhe baptismā lene se kaun-sī chīz rok saktī hai?” 37[Filippus ne kahā, “Agar āp pūre dil se īmān lāeṅ to le sakte haiṅ.” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ īmān rakhtā hūṅ ki Īsā Masīh Allāh kā Farzand hai.”]
38Us ne rath ko rokne kā hukm diyā. Donoṅ pānī meṅ utar gae aur Filippus ne use baptismā diyā. 39Jab wuh pānī se nikal āe to Ḳhudāwand kā Rūh Filippus ko uṭhā le gayā. Is ke bād ḳhwājāsarā ne use phir kabhī na dekhā, lekin us ne ḳhushī manāte hue apnā safr jārī rakhā. 40Itne meṅ Filippus ko Ashdūd Shahr meṅ pāyā gayā. Wuh wahāṅ aur Qaisariyā tak ke tamām shahroṅ meṅ se guzar kar Allāh kī ḳhushḳhabrī sunātā gayā.
Currently Selected:
Āmāl 8: GVR
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapistaging.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND