YouVersion Logo
Search Icon

Paidāish 28

28
1Is'hāq ne Yāqūb ko bulā kar use barkat dī aur kahā, “Lāzim hai ki tū kisī Kanānī aurat se shādī na kare. 2Ab sīdhe Masoputāmiyā meṅ apne nānā Batuel ke ghar jā aur wahāṅ apne māmūṅ Lāban kī laṛkiyoṅ meṅ se kisī ek se shādī kar. 3Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe barkat de kar phalne-phūlne de aur tujhe itnī aulād de ki tū bahut sārī qaumoṅ kā bāp bane. 4Wuh tujhe aur terī aulād ko Ibrāhīm kī barkat de jise us ne yih mulk diyā jis meṅ tū mehmān ke taur par rahtā hai. Yih mulk tumhāre qabze meṅ āe.” 5Yoṅ Is'hāq ne Yāqūb ko Masoputāmiyā meṅ Lāban ke ghar bhejā. Lāban Arāmī mard Batuel kā beṭā aur Ribqā kā bhāī thā.
Esau Ek aur Shādī Kartā Hai
6Esau ko patā chalā ki Is'hāq ne Yāqūb ko barkat de kar Masoputāmiyā bhej diyā hai tāki wahāṅ shādī kare. Use yih bhī mālūm huā ki Is'hāq ne use Kanānī aurat se shādī karne se manā kiyā hai 7aur ki Yāqūb apne māṅ-bāp kī sun kar Masoputāmiyā chalā gayā hai. 8Esau samajh gayā ki Kanānī aurateṅ mere bāp ko manzūr nahīṅ haiṅ. 9Is lie wuh Ibrāhīm ke beṭe Ismāīl ke pās gayā aur us kī beṭī Mahalat se shādī kī. Wuh Nabāyot kī bahan thī. Yoṅ us kī bīwiyoṅ meṅ izāfā huā.
Baitel meṅ Yāqūb kā Ḳhāb
10Yāqūb Bair-sabā se Hārān kī taraf rawānā huā. 11Jab sūraj ġhurūb huā to wuh rāt guzārne ke lie ruk gayā aur wahāṅ ke pattharoṅ meṅ se ek ko le kar use apne sirhāne rakhā aur so gayā.
12Jab wuh so rahā thā to ḳhāb meṅ ek sīṛhī dekhī jo zamīn se āsmān tak pahuṅchtī thī. Farishte us par chaṛhte aur utarte nazar āte the. 13Rab us ke ūpar khaṛā thā. Us ne kahā, “Maiṅ Rab Ibrāhīm aur Is'hāq kā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih zamīn dūṅgā jis par tū leṭā hai. 14Terī aulād zamīn par ḳhāk kī tarah beshumār hogī, aur tū chāroṅ taraf phail jāegā. Duniyā kī tamām qaumeṅ tere aur terī aulād ke wasīle se barkat pāeṅgī. 15Maiṅ tere sāth hūṅgā, tujhe mahfūz rakhūṅgā aur āḳhirkār tujhe is mulk meṅ wāpas lāūṅgā. Mumkin hī nahīṅ ki maiṅ tere sāth apnā wādā pūrā karne se pahle tujhe chhoṛ dūṅ.”
16Tab Yāqūb jāg uṭhā. Us ne kahā, “Yaqīnan Rab yahāṅ hāzir hai, aur mujhe mālūm nahīṅ thā.” 17Wuh ḍar gayā aur kahā, “Yih kitnā ḳhaufnāk maqām hai. Yih to Allāh hī kā ghar aur āsmān kā darwāzā hai.”
18Yāqūb subah-sawere uṭhā. Us ne wuh patthar liyā jo us ne apne sirhāne rakhā thā aur use satūn kī tarah khaṛā kiyā. Phir us ne us par zaitūn kā tel unḍel diyā. 19Us ne maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. (Pahle sāth wāle shahr kā nām Lūz thā.) 20Us ne qasam khā kar kahā, “Agar Rab mere sāth ho, safr par merī hifāzat kare, mujhe khānā aur kapṛā muhaiyā kare 21aur maiṅ salāmatī se apne bāp ke ghar wāpas pahuṅchūṅ to phir wuh merā Ḳhudā hogā. 22Jahāṅ yih patthar satūn ke taur par khaṛā hai wahāṅ Allāh kā ghar hogā, aur jo bhī tū mujhe degā us kā daswāṅ hissā tujhe diyā karūṅga.”

Currently Selected:

Paidāish 28: GVR

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in