Yūhannā 15
15
Īsā Angūr kī Haqīqī Bel Hai
1Maiṅ angūr kī haqīqī bel hūṅ aur merā Bāp mālī hai. 2Wuh merī har shāḳh ko jo phal nahīṅ lātī kāṭ kar phaiṅk detā hai. Lekin jo shāḳh phal lātī hai us kī wuh kāṅṭ-chhāṅṭ kartā hai tāki zyādā phal lāe. 3Us kalām ke zariye jo maiṅ ne tum ko sunāyā hai tum to pāk-sāf ho chuke ho. 4Mujh meṅ qāym raho to maiṅ bhī tum meṅ qāym rahūṅgā. Jo shāḳh bel se kaṭ gaī hai wuh phal nahīṅ lā saktī. Bilkul isī tarah tum bhī agar tum mujh meṅ qāym nahīṅ rahte phal nahīṅ lā sakte.
5Maiṅ hī angūr kī bel hūṅ, aur tum us kī shāḳheṅ ho. Jo mujh meṅ qāym rahtā hai aur maiṅ us meṅ wuh bahut-sā phal lātā hai, kyoṅki mujh se alag ho kar tum kuchh nahīṅ kar sakte. 6Jo mujh meṅ qāym nahīṅ rahtā aur na maiṅ us meṅ use befāydā shāḳh kī tarah bāhar phaiṅk diyā jātā hai. Aisī shāḳheṅ sūkh jātī haiṅ aur log un kā ḍher lagā kar unheṅ āg meṅ jhoṅk dete haiṅ jahāṅ wuh jal jātī haiṅ. 7Agar tum mujh meṅ qāym raho aur maiṅ tum meṅ to jo jī chāhe māṅgo, wuh tum ko diyā jāegā. 8Jab tum bahut-sā phal lāte aur yoṅ mere shāgird sābit hote ho to is se mere Bāp ko jalāl miltā hai. 9Jis tarah Bāp ne mujh se muhabbat rakhī hai usī tarah maiṅ ne tum se bhī muhabbat rakhī hai. Ab merī muhabbat meṅ qāym raho. 10Jab tum mere ahkām ke mutābiq zindagī guzārte ho to tum merī muhabbat meṅ qāym rahte ho. Maiṅ bhī isī tarah apne Bāp ke ahkām ke mutābiq chaltā hūṅ aur yoṅ us kī muhabbat meṅ qāym rahtā hūṅ.
11Maiṅ ne tum ko yih is lie batāyā hai tāki merī ḳhushī tum meṅ ho balki tumhārā dil ḳhushī se bhar kar chhalak uṭhe. 12Merā hukm yih hai ki ek dūsre ko waise pyār karo jaise maiṅ ne tum ko pyār kiyā hai. 13Is se baṛī muhabbat hai nahīṅ ki koī apne dostoṅ ke lie apnī jān de de. 14Tum mere dost ho agar tum wuh kuchh karo jo maiṅ tum ko batātā hūṅ. 15Ab se maiṅ nahīṅ kahtā ki tum ġhulām ho, kyoṅki ġhulām nahīṅ jāntā ki us kā mālik kyā kartā hai. Is ke bajāe maiṅ ne kahā hai ki tum dost ho, kyoṅki maiṅ ne tum ko sab kuchh batāyā hai jo maiṅ ne apne Bāp se sunā hai. 16Tum ne mujhe nahīṅ chunā balki maiṅ ne tum ko chun liyā hai. Maiṅ ne tum ko muqarrar kiyā ki jā kar phal lāo, aisā phal jo qāym rahe. Phir Bāp tum ko wuh kuchh degā jo tum mere nām meṅ māṅgoge. 17Merā hukm yihī hai ki ek dūsre se muhabbat rakho.
Duniyā kī Dushmanī
18Agar duniyā tum se dushmanī rakhe to yih bāt zahan meṅ rakho ki us ne tum se pahle mujh se dushmanī rakhī hai. 19Agar tum duniyā ke hote to duniyā tum ko apnā samajh kar pyār kartī. Lekin tum duniyā ke nahīṅ ho. Maiṅ ne tum ko duniyā se alag karke chun liyā hai. Is lie duniyā tum se dushmanī rakhtī hai. 20Wuh bāt yād karo jo maiṅ ne tum ko batāī ki ġhulām apne mālik se baṛā nahīṅ hotā. Agar unhoṅ ne mujhe satāyā hai to tumheṅ bhī satāeṅge. Aur agar unhoṅ ne mere kalām ke mutābiq zindagī guzārī to wuh tumhārī bātoṅ par bhī amal kareṅge. 21Lekin tumhāre sāth jo kuchh bhī kareṅge, mere nām kī wajah se kareṅge, kyoṅki wuh use nahīṅ jānte jis ne mujhe bhejā hai. 22Agar maiṅ āyā na hotā aur un se bāt na kī hotī to wuh qusūrwār na ṭhaharte. Lekin ab un ke gunāh kā koī bhī uzr bāqī nahīṅ rahā. 23Jo mujh se dushmanī rakhtā hai wuh mere Bāp se bhī dushmanī rakhtā hai. 24Agar maiṅ ne un ke darmiyān aisā kām na kiyā hotā jo kisī aur ne nahīṅ kiyā to wuh qusūrwār na ṭhaharte. Lekin ab unhoṅ ne sab kuchh dekhā hai aur phir bhī mujh se aur mere Bāp se dushmanī rakhī hai. 25Aur aisā honā bhī thā tāki kalām-e-muqaddas kī yih peshgoī pūrī ho jāe ki ‘Unhoṅ ne bilāwajah mujh se kīnā rakhā hai.’
26Jab wuh madadgār āegā jise maiṅ Bāp kī taraf se tumhāre pās bhejūṅgā to wuh mere bāre meṅ gawāhī degā. Wuh sachchāī kā Rūh hai jo Bāp meṅ se nikaltā hai. 27Tum ko bhī mere bāre meṅ gawāhī denā hai, kyoṅki tum ibtidā se mere sāth rahe ho.
Currently Selected:
Yūhannā 15: GVR
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND