YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 24

24
CHAUBÍSWÍṈ ZABÚR.
Teíswíṉ zabúr ke áḳhir meṉ Ḳhudá ke ghar meṉ rahne ká zikr húá, aur is zabúr meṉ us ká mufassal bayán hai. Ag̣lab hai ki yih donoṉ zabúreṉ aur pandrahwíṉ zabúr us waqt se taạlluq rakhtí hoṉ, jab Dáúd ne Ạhd ká Sandúq Koh i Saihún par rakhwáyá. Pahle hisse meṉ us Ḳhudá kí tạríf hai, jo paidáish ke haqq se tamám jahán ká Sultán hai (1, 2), aur yih bayán, ki jo us se suhbat rakhá cháhte haiṉ, un ke liye kaun sí aḳhláqí sifateṉ zarúr haiṉ (3—16). Aur dúsre hisse meṉ goyá Ḳhudá ek makán meṉ, jo us ke rahne ke liye árásta húá, dáḳhil hotá nazar átá hai (7—10). Donoṉ hissoṉ ká yihí mazmún hai, ki pákízagí aur ạzamat meṉ Khudá sab se bartar o afzal hai.
Dáúd kí Zabúr.
1Zamin aur us kí mạmúrí, jahán aur us ke báshinde Yahowáh ke haiṉ. 2Kyúṉki usí ne us kí bunyád samundaroṉ par ḍálí, aur use nahroṉ par qáim kiyá hai. 3Yahowáh ke pahaṛ par kaun chaṛhegá, aur us ke makán i muqaddas meṉ kaun qáim rahegá? 4Jo pák-dast aur sáf-dil hai, jis ne apná jí batálat par nahíṉ lagáyá, aur fareb dene ke liye qasm nahíṉ kháí; 5wuh Yahowáh se barakat, aur apne naját-dihinda Ḳhudá se sadáqat páegá. 6Yih nasl us kí tálib hai; tere chihre ke joyáṉ Yạqúb haiṉ. Siláh.
7Ai pháṭako, apne siroṉ ko únchá karo, aur, Ai azalí darwázo, únche ho jáo, aur jalál ká bádsháh dáḳhil ho-gá! Yih jalál ká bádsháh kaun hai? 8Yahowáh, qawí aur qádir, Yahowáh jang meṉ qádir. 9Ai pháṭako, apne siroṉ ko únchá karo, aur, Ai azalí darwázo, unheṉ únchá karo, aur jalál ká bádsháh dáḳhil hogá! 10Yih jalál ká bádsháh kaun hai? Yahowáh, Lashkaroṉ ká Ḳhudá, wahí jalál ká bádsháh hai. Siláh.

Currently Selected:

Zabúr 24: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Zabúr 24