YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 27

27
SATTÁÍSWÍṈ ZABÚR.
Ḳhudá ká musíbatzada banda aise dushmanoṉ se ghirá hai, jo us kí halákat ke khwáháṉ haiṉ, aur wuh insán kí madad se mahrúm hokar Ḳhudá kí madad kí darkhwást kartá hai, aur us ke hásil hone kí qawí ummed rakhtá hai. Shurụ́ aur ákhir meṉ ịtiqád ká zikr hai, aur darmiyán meṉ ḳhatre ká bayán aur riháí kí darkhwást. Agar Ḳhudá us kí taraf hokar use apne ḳhándán meṉ qabúl kare, to wuh ásúda hokar salámat rahegá (1—6). Isí yaqín ke sáth wuh minnat kartá hai, ki Ḳhudá use hal ke ḳhatroṉ se bacháe (7—12). Agar use yaqín na hotá ki Ḳhuda us kí yih darḳhwást qabúl karegá, to tabáh hotá; lekin chúṉki use is ká yaqín hai, liházá sabr ke sáth us ki intizárí kartá hai (13, 14).
Dáúd kí Zabúr.
1Yahowáh mera núr aur merí naját hai, maiṉ kis se ḍarúṉ? Yahowáh merí zindagi ká qalạ hai, maiṉ kis se ḳhauf rakhún? 2Jab badkár merí muḳhálafat meṉ qaríb áe táki mera gosht khá leṉ, jab mere muḳhálif aur mere dushman mere pas áe, tab unhíṉ ne ṭhokar kháí aur gir paṛe. 3Agar lashkar mere ḳhiláf lashkarkashí kare, to merá dil na ḍaregá; agar laṛáí mere ḳhiláf barpá ho, tis par bhí maiṉ mutmainn rahúṉgá. 4Maiṉ ne Yahowáh se ek suwál kiyá hai, maiṉ usí kí talásh meṉ rahúṉgá, ki Yahowáh ke ghar meṉ apní ụmr bhar rahúṉ, táki Yahowáh ke jamál ko dekhá karúṉ, aur us kí haikal meṉ daryáft kiyá karúṉ. 5Kyúṉki wuh musibat ke din mujhe apne sáyabán meṉ chhipáegá; apne ḳhaime kí poshídagí meṉ mujhe poshída karegá; mujhe chaṭán kí balandí par rakhegá. 6Aur ab mera sir mere ird-gird ke dushmanoṉ ke úpar baland hogá, aur maiṉ us ke ḳhaime meṉ ḳhushí kí áwáz ke sáth zabíhe zabh karúṉgá; maiṉ Yahowáh kí hamd meṉ gáúṉgá aur nag̣ma-saráí karúṉgá.
7Ai Yahowáh, sun; maiṉ apní áwáz se pukártá húṉ; aur mujh par rahm kar, aur mujhe jawab de. 8Jab tú ne kahá ki “Mere chihre ke tálib ho,” tab mere dil ne kahá, ki “Ai Yahowáh, maiṉ tere chihre ká tálib húṉgá.” 9Mujh se apná chihra na chhipá, g̣usse se apne bande ko na haṭá, tú mera madadgár húá hai; Ai mere naját-dihinda Ḳhudá, mujhe tark na kar, aur mujhe na chhoṛ! 10Kyúṉki mere báp aur merí má ne mujhe chhoṛ diyá hai, par Yahowáh mujhe apne ghar meṉ legá. 11Ai Yahowáh, mujhe apní ráh batlá, aur mere muḳhálifoṉ kí jihat se hamwár raste par mujhe le chal. 12Mujhe mere satánewáloṉ kí ḳhwáhish par na chhoṛ; kyúṉki jhúṭhe gawáh aur zulm kí sáṉs lenewále mujh par uṭhe haiṉ.
13Agar mujhe ímán na hotá ki hayát kí zamín par Yahowáh kí ḳhúbí ko dekhúṉ, to tabáh hotá. 14Yahowáh kí intizárí kar; mazbút rah, aur wuh tere dil ko taqwiyat de; aur Yahowáh kí intizárí kar!

Currently Selected:

Zabúr 27: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in