YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 29

29
UNTÍSWÍṈ ZABÚR.
Is meṉ aur úpar kí zabúr meṉ yih mutabaqat hai, ki Ḳhudá apne logoṉ kí qúwat hai, aur yaháṉ is matlab ká is tarah se bayán hai, ki Ḳhudá kí jo qudrat bárish aur garaj aur bijlí aur ándhí aur túfán se sábit aur áshkárá hai, wuh us kí ummat kí hifázat aur himáyat ke wáste hai, Dáúd ásmání lashkar ko nasíhat kartá hai, ki Apne Bádsháh kí ịzzat karo (1, 2); aur bayán kartá hai, ki Yahowáh kí áwáz is jahán meṉ kyá hí ạjíb o g̣aríb kám záhir kartí hai (3—9); aur kahtá hai ki yih us Ḳhudá kí áwáz hai jo Túfán i Núh ke aiyám meṉ takht-nashín thá, aur jo ab apní ummat ká hámí hai, aur abad tak us kí himáyat karegá aur use barakat bakhshtá rahegá (10, 11). Pichhlí áyat se is zabúr ká matlab khultá hai.
Dáúd kí Zabúr.
1Ai Qádir i Mutlaq ke farzando, Yahowáh ko do, Yahowáh ko ịzzat aur qúwat do. 2Yahowáh ko us ke nam kí ịzzat do; husn i quds ke sáth Yahowáh ko sijda karo.
3Yahowáh kí áwáz páníoṉ par hai; Qádir i zu-l-jalál garjá; Yahowáh baṛe páníoṉ par hai. 4Yahowáh kí áwáz bá qúwat, Yahowáh kí áwáz bá jalál hai. 5Yahowáh kí áwáz arzoṉ ko toṛtí hai, aur Yahowáh ne Lubnán ke bilkull arzoṉ ko toṛ ḍálá hai; 6aur unheṉ bachhṛe ke mánind, Lubnán aur Saryún ko arnoṉ ke bachchoṉ ke mánind kudáyá hai. 7Yahowáh kí áwáz ág ke shụloṉ ke wasíle se chírtí hai. 8Yahowáh kí áwáz bayábán ko kampá saktí hai; Yahowáh bayábán i Qádis ko kampá saktá hai. 9Yahowáh kí áwáz harníoṉ ke pe ṭ girá saktí, aur jangaloṉ ko pat-jhaṛ kar saktí hai; aur us kí haikal meṉ us kí kullíyat “Jalál”! kahtí hai.
10Yahowáh Túfán par taḳht-na-shín thá, aur Yahowáh bádsháh abad tak taḳht-nashín rahegá. 11Yahowáh apní ummat ko qúwat degá; Yahowáh apní ummat ko salámatí kí barakat baḳhshegá.

Currently Selected:

Zabúr 29: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in