YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 30

30
TÍSWÍṈ ZABÚR.
Yih zabúr wabá se bachne ke bạd mazbah banáne aur qurbán chaṛháne aur Ḳhudá kí ịbádat ke haikal maḳhsús karne kí nisbat likhí gai (1 Tawár. 21:26, 22:1, 2). Dáúd Ḳhudá ká shukr kartá hai, ki us ne ạjíb tarah se use halákat se bacháyá hai (1—3); aur Ḳhudá ke sáre logoṉ ko targ̣ib detá hai, ki is mihrbání kí shukrguzárí meṉ sharík hoṉ (4, 5). Apní musíbat barpá hone ke sabab ká zikr karke (6, 7), us duạ́ ká bayán kartá hai jis ke wasíle se wuh dafạ húí (8—10); aur us riháí ke liye, jo us duạ́ ke jawáb meṉ Ḳhudá ne use ịnáyat kí, abadí shukrguzárí ká wạda kartá hai (11, 12).
Zabúr. Bait-ul-Muqaddas ke maḳhsús karne ke liye Dáúd ká Sarod.
1Ai Yahowáh, maiṉ terí tạzím karúṉgá, kyúṉki tú ne mujhe sarfaráz kiyá hai, aur mere dushmanoṉ ko mere haqq meṉ ḳhush nahíṉ hone diyá. 2Ai Yahowáh, mere Ḳhudá, maiṉ ne terí duháí dí, aur tú ne mujhe changá kiyá. 3Ai Yahowáh, tú ne merí ján ko qabr se uṭháyá; tú ne gaṛhe ke girnewáloṉ meṉ se mujhe jiláyá hai.
4Ai us ke muqaddaso, Yahowáh kí hamd meṉ nag̣ma-saráí karo, aur us kí quddúsí ke zikr meṉ us ká shukr karo. 5Kyúṉki us ká g̣azab pal bhar ká hai, us kí razámandí meṉ zindagi hai: roná sham ko shabbásh hogá, aur subh ko ḳhushí.
6Aur maiṉ ne apní iqbálmandí meṉ kahá, ki “Abad tak na ṭalúṉgá.” 7Ai Yahowáh, tú ne apní razámandí se mere paháṛ ke liye qúwat qáim kí; tú ne apná muṉh chhipáyá, maiṉ ghabrá gayá.
8“Ai Yahowáh, maiṉ tujh ko pukárúngá, aur Yahowáh ko rahm ke liye pukárúṉgá. 9Mere ḳhun meṉ kyá faida jab maiṉ gaṛhe meṉ girúngá? Kyá ḳhák terá shukr karegí? Kyá wuh terí amánatdárí bayán karegí? 10Ai Yahowáh, sun, aur mujh par rahm kar; Ai Yahowáh, mera madadgár ho.”
11Tú ne mere liye mere mátam ko nách se badal ḍálá hai; tú ne mera ṭáṭ kholá, aur ḳhushí se merí kamar bándhí hai; 12táki jalál terí hamd meṉ nag̣ma-saráí kare, aur ḳhámosh na rahe. Ai Yahowáh, mere Ḳhudá, maiṉ abad tak terá shukr karúṉgrá.

Currently Selected:

Zabúr 30: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in