YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 34

34
CHAUṈTÍSWÍṈ ZABÚR.
Dáúd ká iráda hai ki Ḳhudá kí jo mihrbání us par zahir ho chukí, us ke liye us kí hamd o saná kare (1, 2), aur auroṉ ko targíb detá hai ki us ke sáth is shukrguzárí meṉ sharík hoṉ (3). Apne tajribe ká muḳhtasar bayán karke (4—6), us se yik natíja nikáltá hai, ki Ḳhudá har waqt apní ummat i ḳháss kí hifázat kartá hai (7—10). Aur ustád ke taur par Ḳhudá kí hifázat ke hásil karne ká taríq batlátá hai (11—14), aur báqí áyaton meṉ sádiqoṉ, balki musíbatzada sádiqoṉ kí salámatí aur sharíroṉ kí halákat ká muqábala kartá hai (15—22).
Dáúd kí Zabúr, jab us ne Abimalik#Yạne, Akís, 1 Sam. 21:10-14. ke sámhne apní samajh ko badal ḍálá, aur us ne use nikalwá diyá, aur wuh chalá gayá.
1Maiṉ har waqt Yahowáh ko mubárak kahúṉgá: us kí hamd hamesha mere muṉh meṉ hogí. 2Merí ján Yahowáh ká dam bhartí rahegí: halím sunenge aur ḳhush honge. 3Mere sáth Yahowáh kí barí hamd karo, aur ham milke us ká nam baland kareṉ.
4Maiṉ ne Yahowáh ko dhúndhá, aur us ne merí suní, aur mere sáre ḳhaufoṉ se merí riháí kí. 5Unhoṉ ne us kí taraf dekhá aur raushan ho gae, aur un ke chihre sharminda na hoṉ! 6Yih musíbatzada chilláyá, aur Yahowáh ne suná, aur use us kí sárí tangíoṉ se bacháyá.
7Yahowáh ká Firishta us ke daṛnewáloṉ ke ird-gird ḳhaimazan hai, aur us ne unheṉ chhuṛáyá hai. 8Chakho aur dekho ki Yahowáh ḳhúb hai; wuh ádmí kyá hí mubárak jo us par bharosa rakhtá hai! 9Ai us ke muqaddaso, Yahowáh se ḍaro, kyúṉki us ke ḍarnewáloṉ ko kuchh kamí nahíṉ. 10Jawán sher hájatmand aur bhúkhe húe, par Yahowáh ke tálib kisí nịmat ke muhtáj na honge.
11Áo, Ai laṛko, merí suno, maiṉ tumheṉ Ḳhudá-tarsí sikhláúṉgá. 12Wuh kaun ádmí hai jo hayát ká mushtáq, aur dinoṉ se ulfat rakhtá hai táki ḳhúbí ko dekhe? 13Apní zabán ko badí se aur apne laboṉ ko darog̣goí se báz rakh. 14Badí se báz á aur nekí kar; salámatí ko ḍhúnḍh aur us ká píchhá kar.
15Yahowáh kí áṉkheṉ sádiqoṉ kí taraf haiṉ, aur us ke kán un kí faryád kí taraf. 16Yahowáh ká chihra badkároṉ ke barạks hai, táki un ká zikr zamín se miṭá de. 17Wuh chilláe aur Yahowáh ne suná, aur un kí sárí tangíon se un ko riháí bakhshí. 18Yahowáh shikasta-diloṉ ke qaríb hai, aur jin kí rúh kuchlí húí hai unheṉ bacháegá. 19Sádiq par bahut símusíbateṉ paṛtí haiṉ, par Yahowáh un sabhoṉ se use riháí baḳhshegá; 20jo us kí sárí haḍḍíon ká háfiz hai, un meṉ se ek bhí ṭúṭne nahíṉ pátí. 21Musíbat sharír ko maut tak pahuncháegí, aur sádiq ke hásid mulzam ṭhahrenge. 22Yahowáh apne bandoṉ kí ján ko maḳhlasí detá hai, aur us ke sáre mutawakkiloṉ meṉ se ek bhí mulzam na thahregá.

Currently Selected:

Zabúr 34: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Zabúr 34