YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 38

38
AṚHTÍSWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ ek musíbatzada, jise us ke dostoṉ ne chhoṛ diyá hai, aur jis se us ke dushman saḳht ạdáwat rakhte haiṉ, iqrár kartá hai ki yih sárá g̣am aur dukh us ke gunáhoṉ ká phal hai, aur duạ́ mángtá hai ki Ḳhudá us ke gunáhoṉ ko muạ́f karke us ká dukh dúr kare. Aur do duạ́eṉ haiṉ, ek shurụ (1) aur ek áḳhir meṉ (21, 22), aur un ke bích meṉ tín judá judá faryádeṉ aur dukh ke bayán (2—4, 10—14, 16—20); jis dukh ká Ḳhudá i ạ́lim-ul-gaib áp hí gawáh hai (9), jo beshakk apne bande kí duạ́ ko mustajáb farmáegá (15).
Tazkír#Yạne, Ḳhudá ko yád diláne ke liye. ke liye
1Ai Yahowáh, apne qahr se mujhe tambíh na de, aur na apne g̣azab kí garmí se mujhe sazá de.
2Kyúṉki tere tír mujh meṉ chubh gae haiṉ, aur tera háth mujh par bazor paṛá hai. 3Tere g̣azab ke sabab se mere jism meṉ kahíṉ sihhat nahíṉ; mere gunáh ke báis se merí haḍḍíon meṉ kahíṉ salámatí nahíṉ. 4Kyúṉki merí badíáṉ mere sir se guzar gaíṉ; bhárí bojh ke mánind wuh mere liye bhárí haiṉ. 5Merí himáqat ke báịs se mere gháo badbú karne lage aur bahte haiṉ. 6Maiṉ ainṭh gaya, niháyat hí jhuk gayá; maiṉ sáre din mailá kuchailá chaltá phirtá rahá. 7Kyúṉki merí kamar ḳhushkí se bhar gaí aur mere jism meṉ kahíṉ sihhat nahíṉ. 8Maiṉ ṭhiṭhur gayá, aur niháyat hí pis gayá húṉ; apne dil ke shor macháne se garaj uṭhá. 9Ai Ḳhudáwand, merí sárí ḳhwáhish tere sámhne hai, aur mera áh márná tujh se chhipá nahíṉ.
10Mera dil dhaṛaktá hai; merí qúwat ne mujhe chhoṛ diyá hai; aur merí jin ánkhoṉ meṉ roshní thí, wuh bhi mere sáth nahíṉ haiṉ. 11Mere dost aur mere rafíq merí tambíh ke sámhne se alag khaṛe haiṉ, aur mere aqriba dúr khaṛe húe haiṉ. 12Aur jo merí ján ke ḳhwáháṉ haiṉ, unhoṉ ne phande lagáe haiṉ, aur mere nuqsán ke táliboṉ ne ḳharábí kí báteṉ kahí haiṉ, aur tamám din fareb ke mansúbe sochte haiṉ. 13Aur maiṉ bahire ke mánind nahíṉ suntá, aur gúnge ke mánind húṉ jo apná muṉh nahíṉ kholtá#Yashạiyáh 53:7; Matí 26:62, 63; Yúhanná 19:9.. 14Aur maiṉ us ádmí ke mánind húá jo nahíṉ suntá, aur jis ke muṉh meṉ kuchh jawáb nahíṉ. 15Kyúṉki, Ai Yahowáh, maiṉ ne terí intizárí kí; Ai Ḳhudáwand, mere Ḳhudá, Tú hí jawab degá.
16Kyúṉki main ne kahá, “Mabádá wuh mujh par ḳhush hoṉ!” Mere páṉw ke ṭalne meṉ wuh mujh par phúle haiṉ. 17Kyúṉki maiṉ langṛáne par húṉ, aur merá g̣am hamesha mere sámhne hai. 18Kyúṉki maiṉ apní badí ká iqrár kartá húṉ, apne gunah ke sabab se g̣amzada rahtá húṉ. 19Aur mere jání dushman zabardast haiṉ, aur jo náhaqq mere hásid haiṉ, wuh baṛh gae; 20aur wuh jo nekí ke ịwaz badí ká badla dete haiṉ. Wuh is sabab se mere muḳhálif haiṉ, ki maiṉ nekí kí pairauí kartá húṉ.
21Ai Yahowáh, mujhe na chhoṛ! Ai mere Ḳhudá, mujh se dúr na rah. Merí madad ke liye jaldí kar, Ai mere naját-dihinda Ḳhudáwand!

Currently Selected:

Zabúr 38: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Zabúr 38